Palkon pe aanso'on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka
zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka
jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso'on ko chupaya na jaa saka
kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka
bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka
woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka
tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka
tere chahat mein ho gaya hoon deewana sanam
kasam se iss deewangi mein hi mar jaayenge hum .
tu chand hoti hain tho ho jaate hain hum chakor
tu zubby banti hain tho hum ban jaate hain victor
tu ek kadam badati hain tho hum dus kadam
tu dil kehti hain tho jaan de denge hum
tera rog lag chuka hain ab koi ilaaj nahi hamara
saat janmo tak ab intezaar karega ye deewana
Na jane fir apni mulakat kab hogi jo adhuri rahi woh baat kab hogi
Dil to lamha lamha unki yaad mei duba, ab shaam ke baad na jane raat kab hogi.
kadam kadam pe hawaon se talukh rakhna,
dosti ke daur pe dosti ka aasra rakhna,
hamari yaadon ki khushboo jarur aayegi,
aap bas apne dil ka darwaja khula rakhna.
har karz dosti ka ada kaun karega,
jab hum hi nahi rahenge to dosti kaun karega,
aiye khuda mere doston ko salamat rakhna,
varna mere jeene ki dua kaun karega.