Logo

Dil Tootanay tay....

Dard mein doobe hue naghme to hazaron hai.
Magar saaze dil toot gaya ho to bajaye kaise.
Bhoj hota jo ghamon ka to utha lete.
Zindagi ka bhoj ho to koi uthayen kaise.

Posted on 4/15/2005 5:51:08 AM

daaG duniyaa ne diye zaKhm zamaane se mile
ham ko ye tohafe tumhe.n dost banaane se mile

Posted on 4/15/2005 5:51:17 AM

Zindagi ka bojh uthaaye na uthe hai
Aahon me apni hasti doobi rahe hai
kaisi chubhan kaisi khalish si rehti hai
Jaane kis safar pe hum chale hain

Posted on 4/15/2005 5:51:32 AM

ye jo dard hai seene me,
tabhi to maza hai jeene me,
gar dard nahi hota to socho,
kya khaak maza hota peene me.

Posted on 4/15/2005 5:51:42 AM

ye sharaab hi hai jisne sahara diya mujhe,
isse ne hi jeena sikhaya mujhe,
warna kya diya iss duniya ne,
bus baar baar nakara aul loota mujhe.

Posted on 4/15/2005 5:52:24 AM

Very nice WAFA                             

very good collection

Posted on 4/15/2005 1:44:37 PM

JANUBABY:
Dil Jaal kar Khaak Huwa Aankhon say roya na gea..
Zakham Kuch Aesy Laagey Pholon Per Soya Na gea..




Posted on 4/15/2005 1:46:24 PM

GR8 WORK SUNNY

Posted on 4/15/2005 10:51:15 PM


tumhare bad khone ke liye abb kuch nahi baki

magar khone se darta hoon

main abb sone se darta hoon

Posted on 4/15/2005 10:52:03 PM

Tumse vafaayein bahut main karoongi
Kasam teri ab yeh dil kisi ko na doongi
Aa tujhe bata doon mere dil mein kya hai
Dil lene waale tujhe jaan apni doong

Posted on 4/15/2005 10:53:23 PM

very nice guys

Posted on 4/16/2005 2:23:08 AM

Thanks

Hey nice poetry JB

Posted on 4/17/2005 10:09:10 PM


Meri sada hi palat kar mujh hi se takraaye
Safar ke dasht mein jab bhi tujhe bulaaun main

Posted on 4/17/2005 10:09:26 PM

wafakadard:
Thanks

Hey nice poetry JB
thx sunny

Posted on 4/17/2005 11:52:06 PM


Posted on 4/18/2005 12:22:34 AM

JANUBABY:
Tumse vafaayein bahut main karoongi
Kasam teri ab yeh dil kisi ko na doongi
Aa tujhe bata doon mere dil mein kya hai
Dil lene waale tujhe jaan apni doong



Nice

Posted on 4/18/2005 12:24:21 AM


Posted on 4/18/2005 12:54:50 AM

Mila na koi ahl-e-wafa to kya hoga
taras k rehgaya shouq-E-jafa to kya hoga
janab ko apne shabab pe hai bauhat garooor
jab shabab hi dagha de gaya to kya hoga

Posted on 4/18/2005 12:04:33 PM


Posted on 4/20/2005 7:55:13 AM

KHUD JAMANE KO MOHABBET HAI NIGHO SE MERI,
MEIN GAR ANKH UTA LOO TO LOG BURA KAHTE HAI,
MUJHE FURSAT NAHI MILTE IBADAT SE TERI,
JANE KISKO YEH LOG KHUDA KAHTE HAI.

Posted on 4/20/2005 7:55:50 AM

very nice

Posted on 4/20/2005 12:17:43 PM

wafakadard:




Posted on 4/20/2005 12:18:07 PM

aj kohi reply he nhi

Posted on 4/21/2005 6:21:14 AM

ye jo ham hijr mein deewaar-o-dar ko dekhte hain
kabhee saba ko kabhee naamaabar ko dekhte hain

woh aaye ghar mein hamaare KHuda ki kudrat hai
kabhee ham unko, kabhee apane ghar ko dekhte hain


nazar lage na kaheeN uske dast-o-baazoo ko
ye log kyon mere zakhm-e-jigar ko dekhtain hain?

Posted on 4/21/2005 11:34:21 AM

nice

Posted on 4/23/2005 12:32:09 AM

Thanx

Posted on 4/23/2005 5:27:22 AM

Kuch peete hai, gum bhulane ke liye
Kuch peete hai, duniya ko dikhane ke liye
Na pooch mujhse saaki, mere peene ka sabab
Aur hum to peete hai , hosh me aane ke liye.

Posted on 4/23/2005 7:21:41 PM

Ek gham ka hi toh sahara hai warna har ek pal bhari hai,
Ab toh iss fiza mein saans bhi lena dushwar hua hai...

Posted on 4/23/2005 7:28:06 PM

nice

Posted on 4/23/2005 11:30:59 PM

Exquisite:
nice
Sukria

Posted on 4/24/2005 8:45:29 AM