Logo

ISHTIAQ AHMED & IBN-E-SAFI

Bazigaar:
just wondering...anyone ever read or still read the novels from ishtiaq ahmed? he writes jasoosi novels for kids/youngsters...

also, how about ibn-e-safi's imran series...?



Ham To Names To Yaad Nahin Rahtay Kisi kay Bi,,,

Imran Series Yeah Bro Read Kartay Thay And Ham Bach Jhank Laitay Thay But Chotay Thay To Jadugaron And Pariyon Ti Kahnaiyan Diada Pachand Thien


Hmmm Kisi Ko Pata Hay Who Wrote NANHAY JASOOS?

Posted on 2/27/2005 10:20:23 PM

yaroo.............chacha ko bhool geye kya.....aray yaar apna Sung-he..........phir kaleyaa urff jozaf......phir apnay nawab sahib.......janab Jeemo jheenga be tu thay.....Pagloon ki aanjaman kay Niralay khan sahib ......

I must say im a huge fan of Ibn-e-safi ...............takreeban 20,20 baar uss ka aik aik novel paar chuka hoon...phir be jub be parta hoon aik neya he maza aata hai......

na sirf imran series balkay.....jassosi duniya....ore other novels written by ibn-e-safi..........

mein tu samjata tha sirf mein he parta hoon ibn-e-safi ko.......magar yaha tu poora jahan hai........

ishtiaq ehmad kay bachpan mein parta tha aab nahi.......ya phir Mazhar kaleem ki Chalosak Malosak ore Angloo Bangloo series................kya zamana tha woe be.........

mein nein takreeban haar novel nigar ko parha hai.....S.H.Muntoo.....Ibn-e-insha.....Mumtaz Mufti.....bano kudsia......Moha-u-din nawab.......yunas butt........Ashfaq Ahmad........Qudrat ulla shahab........ore be hazaroon.............paar jo baat Ibn-e-safi mein hai woe kisi mein be nahi..............
Great he was!

Posted on 2/27/2005 11:57:56 PM


Posted on 2/28/2005 1:11:48 AM

faradiya:
mein nein takreeban haar novel nigar ko parha hai.....S.H.Muntoo.....Ibn-e-insha.....Mumtaz Mufti.....bano kudsia......Moha-u-din nawab.......yunas butt........Ashfaq Ahmad........Qudrat ulla shahab........ore be hazaroon.............paar jo baat Ibn-e-safi mein hai woe kisi mein be nahi..............
Great he was!


u r gone maddd fredddyyy...
how can u compare mufti, shahab, insha, ashfaq to ibn e safi
aur upper se keh rahe ho he s bettar than them




grooowwwwwwwwwwww uppppppppp !!!

Posted on 3/1/2005 11:25:12 PM

lol...bandar kiya janay adrak ka sawad

Posted on 3/1/2005 11:27:23 PM

bandar ??
ohh u mean freddy

theek

Posted on 3/1/2005 11:46:31 PM

did anyone ever read BAPSI SIDHWA ???

Posted on 3/4/2005 2:40:31 PM

never heard of em

Posted on 3/4/2005 5:25:52 PM

yarrrrrr,,
im sure everyone has watched 1947 earth,, amir khan's movie,,
it was based on her novel,,, "ice candy man" (or something like that)
she s a paki parsi living in khi,,,

Posted on 3/6/2005 11:38:02 PM

ohh acha...interesting

Posted on 3/6/2005 11:39:36 PM


woh kya kehte hein

ohh han.........
lol...bandar kiya janay adrak ka sawad

Posted on 3/6/2005 11:43:59 PM

woe kya kehtay hain apna sall bibi.............kambahaat tu nai chukhi he nahi..aesa kuch kaar kay............

Believe or not .......mujay jo laga mai nai woe he likha....ibn-e-safi ki books ki sirf ye he quality nahi thi kay un mei bohot zeyada suspense ya phir hakekat kay kareeb taren hoti thi......balkay aesay aesay message hotay thay jo baki writers kay buss ki baat nahi..........woe message aik baar parnay sei samaj nahi aatay....magar baar baar uss ki book parnay sei ....bohot ahesta ahesta samaj aatay hain.......................essi leye tu mai nai kaha tha .....jub be uss ki books parta hoon haar dafa aik neya he maza aata hai................................

Posted on 3/8/2005 11:16:53 PM


Posted on 3/9/2005 2:33:41 AM

woh kya kehte hein fradi putar
SHATTAAAPPP !!

ibn e safi is good,,, no doubt, par shahab n mufti r pillars of urdu litteratur
ab jaise,, hmmm farhat abbas shah and wasi shah itne famous urdu poets hein,, but u cant say that they r better than iqbal or ghalib
kya naaaaaaaaaaa..
jahan tak hidden messages ki baat hai to aap ki akal baki writers k messages samajh nahi sakti, iss mei kissi ka kya kasoor
bongooo daaaasss



bazu bezar apna angotha sambhal k rakhein aap
fredy ki tareef mei waste mat kijiye isse

Posted on 3/9/2005 8:33:33 PM

woe kya hai na apna sall bibi....ye jo writers loog hotay hain asal mai apni batoon/kahanioon kay zareyee apna message logoo tuk pohnchanay ki koshish kartay hain....famous woe hota hai...jis ki bateen logoon ki aaqal shareef mai aa jati hain.......iqbal nein jub SHIKWA likha tu uss pay kufir ka fatwa laag geya...kue kay baat logoo ki samaj mei nahi ayee......paar jub uss nein samjayee JAWABAY SHIKWA likh kay tu woe aik great poet kehlayaa...ghalib ki misal be app kay samnay he hai...................................essi tarha app ko ibn-e-safi ki samaj he nahi ayeee.........paar afsoos tumheen samjnay kay leye woe khud tu aalaamy bala sei tashreef nahi la saktay kheer sei...ess leye humeen he app sei maghaz khapana paray ga....

mai nein jub be mufti,shahab,ya apnay baba sahib ashfaq ahmad ko parha mai ore ulajta he geya....meri soch ko koi rukh milnay ki bajayee ore bataknay lagi..........jis kay natejay mai depress ho jata.....

ibn-e-safi ore baki writers bakool tumharay ya yun keh loo bakool duniya waloo kay jo kay urdu adaab kay pillar shillar hain mein sirf nashay ka farak hai....no doubt kay mufti,shahb ka nasha bohot teez hai.......aik daam aadmi ko asmanoo pay pohancha deeta hai.....paar ussi tarha aik daam utar be jata hai...................phir sir mai dard wagera.....jisay hatam karnay kay leye meray khaal mei sharabi loog nimboo shimbo chatay hain....woe kya kehtay hain angrezi mai hang over bool kay....

magar ibn-e-safi ka nasha bilkul poorani sharab ki tarha hai bohot ahesta ahesta charta hai......parnay waloo ko mehsoos he nahi hota kay woe suroor mai aa chuka hai....woe tu jub banda Aab Buss kah kay uthta hai tu usay pata chalta hai woe tu poori bottal charha chuka hai......ore soroor mahenoon rehta hai........


loog depression khatam karnay kay leye tara tara ki medicine letay hain.....exercise kartay hain paar mai jub be depress hoa mai nai ibn-e-safi ko parha......haeraat angeez door pay....muj mai jeenay ki umaang paeeda ho jati...haar cheez acchi lagnay lagti.....


essi difference ki waja sei mei ibn-e-safi ko enn sub pay tarjeeh denay par majboor ho geya..............

vesay kabi kahi sei milen(muskil he hai) ibn-e-safi kay nayaab novel's....na woe imran series hai na jasoosi duniyaa....like mufti wagera nei likhay hain kaheen sei mil jayeen tu aik baar parh kay dekhna.........


Posted on 3/13/2005 12:09:55 AM


Posted on 3/13/2005 12:19:37 AM

i never said mujhe ibn e safi ki samajh nahi i
i didnt read him a lot,,, par jitna parha it wasnt bad

khair now it got ur point
faradiya:
mai nein jub be mufti,shahab,ya apnay baba sahib ashfaq ahmad ko parha mai ore ulajta he geya....meri soch ko koi rukh milnay ki bajayee ore bataknay lagi..........jis kay natejay mai depress ho jata.....
..........no doubt kay mufti,shahb ka nasha bohot teez hai.......aik daam aadmi ko asmanoo pay pohancha deeta hai.....paar ussi tarha aik daam utar be jata hai
............
loog depression khatam karnay kay leye tara tara ki medicine letay hain.....exercise kartay hain paar mai jub be depress hoa mai nai ibn-e-safi ko parha......haeraat angeez door pay....muj mai jeenay ki umaang paeeda ho jati...haar cheez acchi lagnay lagti.....

no doubt abt it,,,,,

all depends on wot ur r looking for,,,,
agar aap asl zindagi ko bhoolne liye books ka sahara lete hein to ibn e safi is obv one of the best options


yeh baki writers beshak mere fav hein,, par yep,,,
inhi ne mera "bigra" hua dimag aur "kharab" kiya hai

Posted on 3/13/2005 4:49:17 PM

me by nature mushkil pasand aur woh kya.... non conformist hu
bohot deir tak dhoke mei nahi reh sakti
i need to face the reality
beshak phir mera hi matha ghoomta hai,, par it s stronger than me








ehem....
btw freddy putar khair te hai na
"sharab ka nasha"   teiz kaise ho, utara kaise jae, surooorrrr.........
ehemm ehemm,,, kidher hote hein aaj kal


ahhhhh khe khe khe

Posted on 3/13/2005 4:52:39 PM

wahi jaha khud hameen apni khabar nahi............

ye reality hoti kya hai ???????????????????????????????

hey have you ever read Rahim Guls "Janat Ki Talash","Tan ta ra ra"......If you really want to face reality you should read Janat ki Talash.........................im sure after reading it you will forget rest!

Posted on 3/15/2005 12:17:37 AM

""hum wahan hein
jahan se hum ko bhi
khud hamari khabar nahi aati""




jannat ki talash
naam suna hai,, par abhi nahi,,
ive 5 unread books,, aur jo abhi 5 mn pehle khatam ki hai uss ne humein uthaa k thaaaaa kar k zameen pe pathkha hai,, balke kehna chaiye pataal mei pohoncha diya hai

NEED A BREAKKKKKKKKKKK

Posted on 3/15/2005 3:42:58 AM

ibn-e-safi...ahh

Posted on 3/15/2005 7:16:11 AM

Salam To All
Buddies,
I am Emmad from Isb, i hope u buddies r doing fine
mates i need couple of books of Ishtiaq ahmed specially khas numbers like Ghar ka Samandar.
If any one have it and wana sell pls let me know
i am really amazed tht people still read his books i have my own collection of 250 books of him and still purchasing them
i have also his first ever novel Packet ka Raaz in which he introduces Inspector Jamshed and his Family
i am really happy to join u people in this run
pls do reply i would be really gr8 full to u all
best regards to All
Emmad

Posted on 6/11/2006 3:28:30 AM

Hey guys,

I stumbled accross this forum and saw u guys talking bout my fav icons.

How about "Ronal, Revta, Sheelak, Sea-moon, Jeeral, Markosh, Slaughter (or Slaater), zyamata and others..."

I have Ishtiaq Ahmed's collection with the top most "Sunehri Chattaaan" and "Jazeerey ka Samunder" and "Baatil Qayaamat"

want to talk more..


Posted on 12/5/2007 7:09:02 PM

o,bhayya fan-fan
kya topic dhoond nikala tum ne
hamare ghar k paas aik library hoti thi,hum behen bhai us se roz aik novel lete thay aur aglay din tak sab us ko perh ker wapis ker dete thay,rozana aik novel jaise koi race lagi ho
ibn-e-safi ko itna nahi perha lekin mazhar kaleem aur ishtiaq ahmed k novel to hum chaat lia kerte thay.
haan,us library ka naam tha arooj library aur hum behen bhaioun ne vo poori library perh rakhi thi
good ol'days

Posted on 12/6/2007 5:31:18 PM

FanFan:
Hey guys,

I stumbled accross this forum and saw u guys talking bout my fav icons.

How about "Ronal, Revta, Sheelak, Sea-moon, Jeeral, Markosh, Slaughter (or Slaater), zyamata and others..."

I have Ishtiaq Ahmed's collection with the top most "Sunehri Chattaaan" and "Jazeerey ka Samunder" and "Baatil Qayaamat"

want to talk more..




i've read all and own most of them too

my fav character in the series was Jayraal...cuz he was brave and ba-asool...even jamshed party/kamran mirza party & shoki brothers liked jayraal

Posted on 12/7/2007 7:08:40 AM

nikama:
o,bhayya fan-fan
kya topic dhoond nikala tum ne
hamare ghar k paas aik library hoti thi,hum behen bhai us se roz aik novel lete thay aur aglay din tak sab us ko perh ker wapis ker dete thay,rozana aik novel jaise koi race lagi ho
ibn-e-safi ko itna nahi perha lekin mazhar kaleem aur ishtiaq ahmed k novel to hum chaat lia kerte thay.
haan,us library ka naam tha arooj library aur hum behen bhaioun ne vo poori library perh rakhi thi
good ol'days


mere ghar ke pas ek book store thaa....udher se every month new novels gayab ho jatay thaay...i wonder why

Posted on 12/7/2007 7:10:19 AM

jaiye jaiye
parh li aap ki jannat ki talash bhi
huhhh,,, wasnt bad par aisa bhi ab nahi kuch jo sab se alag ho

aik baat ko khench k itttnnnaaa lamba kiya hua hai

wots next

Posted on 12/9/2007 6:05:04 PM

I would LOVE LOVE LOVE to post in this topic. I have read IMRAN SERIOUS alot. I am BIG FAN .

Jisay hi waqt milta hay yahan kuchh add keroon ga..

Aik word yaad aa gaya...Mazhar Kaleem MA ki Imran Serious mainn bohat use hota hay .. "LA MAHAALA"

Posted on 12/20/2007 9:34:44 PM

new_beau:
"LA MAHAALA"


ye to kisi novel ka naam ho sakta hae

Posted on 12/22/2007 3:03:51 AM

lol ... aap paa jii ho ... "Farooq nahi .... (Inspector Jamsheed series waly) ....

Posted on 12/22/2007 3:18:55 AM