Logo

Junaid’s Poetry (OwN)

junaidrauf:
Jab Chaho Wapas lay laina Mujh se
Apni Tasveerain
Jin par kabhi Jalty Honton ki Mohrain Saabt karta tha mein
Seeny se Laga kar So jata tha mein

Teri Angoothi
Jissy Apni Ungli mein Pehan kar
Chooma karta tha mein

Tera Woh Istimal Shudda TISSUE
Jiss se Tera lams or Khushboo
Dono Mila karty thy mujhy

Woh Gift Paper
Jiss Mein Khushboo Lapait kar di thi Mujhy Tu nay
Or uss par Laga woh Chota sa Card bhi
Jo Iss liyan Nahi Phainka
k Tere Haath ka Lams hai
Khaloss hai
Pyar hai
Uss Mein

Sab Kuch Sanbhal kar rakha hai
Aaj bhi Mein nay
Jab Chaho Wapas Lay Laina mujh se
Han Agar!
Lauta sako to Lauta daina mujh ko
MERA WAJOOD!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!


nice ji

Posted on 6/17/2005 10:09:33 AM

Mujhy kiya hoa
Kuch bhi to nahi
Baat kiya hai
kuch bhi to nahi

Dil Sulagta hai to Dhwan to uth'ta hai
Dard hotta hai to Ankh to Chalakti he hai
Kiyon pochty ho
Hoa kiya Majra
Kuch bhi to nahi

Shikkayat kabhi karty hain hum
To Bura Manty kiyon ho
Hamary Dil mein Bura
Kuch bhi to nahi

Dekho Deewany ki Baat ka
Bura Manty nahi
Deewana Deewany k siwa
Kuch bhi to nahi

Baat ka Dil se lagga layna
Najany kahan se Seekha mein nay
Warrna Baat kiya thi
Kuch bhi to nahi

Posted on 6/19/2005 4:40:54 PM

very nice

Posted on 6/24/2005 1:52:19 PM

Thanks Maha Raja

Posted on 7/20/2005 10:08:16 PM

Chalo yun Karo
Talkhiyan Mujhy Day kar
Mithas sari Tum Sameet Lo

Yeh Sub Haseen Rutain Tumhare Naam
Yeh Uddas Shamain mere liyan Chor do

Yeh Muskurahatain Tumhara Hissa
Inn Anson ko mere liyan Chor do

Gulab Lamhon se Tum Zoindagi Saja lo Apni
Kanto se Daman Bhar Laita hun Mein

Yeh Shokiyan,Shararatain Tumhara Naseeb
Lao Yeh Karb ka Pairahan mujhy Day do

Lo Sameet lo tum Har Khushi Jana!
Mujhy Gham k Sagar Mein Doob Jany do

Aab Zara Socho to
Kiss k Pass kiya aya?

Kiss k Hissy mein Gulab aya?
Kiss k Muqaddar mein Azab aya?

Battao to Zara Mujh ko
Iss Sary Hissab ka kiya Jawab aya?

Posted on 7/20/2005 10:08:35 PM

Khud Dooriyun ka hai Talab Gar to mein kiya karun
Mohabbat se hai Bay Zar to mein kiya karun

Aina Khany mein Mang kar Baseerat ki Aziyat
Aab Rota hai Zar Zar to mein kiya karun

Kiss nay Kaha tha k Gulabun ki Umeed Rakh
Aab jo Aya Muqaddar mein Khaar to mein kiya karun

Tujhy he Lahaq tha Wafa ka Marz Bohat
Aab Ruswa hai Sar-e-Bazar to mein kiya karun


Mein Tamam Umar Dhonta he raha
Mila na Wafa ka Koi Kharidar to mein kiya karun

Posted on 7/31/2005 4:53:55 PM

Teri Chokhat se uthoonga to kahan jaunga
Tu nay bhi jo Thukkraya to Kahan jaunga

Sary Din ka Thakka Hara Musafir hun Mein
Hoggai Sham aab mein Kahan jaunga

Aab Shehar mein hai kaun mujhy Dekhny Wala
Mein Saj Sanwar kar Bhala kahan Jaunga

Sahilon par Bhatkna Hawaon ki Tarhan Muqadar hai mera
Sahil ko Chor kar mein Bhala Kahan Jaunga

Aab Akhri sahara hai Mohabbat Mere liyan
Woh bhi na mujh ko Milli To Kahan Jaunga

Posted on 8/20/2005 3:02:20 PM

Subha ki Har Kiran Tujh ko Mera Slama Day gi
Apna Rakhna Bohat Khayyal Yeh tujh ko Paigham daygi

Hawa ka har Jhonka yeh Kahyga Tujh se
Mein karunga Yaad tu Jab bhi Saans Lay gi`

Mehkty Phool jab Tum ko Salami Daien
To Jan laina
Mere liyan Tum Khas Ho aisse
Zindagi Sanso ki Mohtaj ho jaisse

Posted on 8/29/2005 4:33:37 AM

Kaash Aissa ho kabhi
k Ainy se Tu Ubhry
Mera Aks ban kar

Kaash Aissa ho kabhi
k Chand Ban kar mere Angan mein tu Uttry
or Chandni ban kar mujh mein Simmat jaye

Kaash Aissa ho Kabhi
k Tu Mehky Raat ki Rani ki Tarhan
or Khushboo ki Tarahn mere Wajood se Lipat jaye

Kaash aissa ho Kabhi
Kaash Aissa ho kabhi

Posted on 8/30/2005 12:54:14 PM


Posted on 9/2/2005 12:20:38 AM

Thanks

Posted on 9/2/2005 3:12:26 AM

junaidrauf kahaan hooo

Posted on 1/16/2008 9:47:43 AM

im here wafakadard Poetry karni he chor di hai halat waqt sab badal gaya hai bus hum hain or Gham e Rozgar zindagi aisse badal gai hai k sab kuch barbad he hogayaho jaisse khair kuch new jaisse he likha zarror Post karunga Mujhy Yaad rakhny ka bht bht bht bht Shukkriya

Posted on 1/18/2008 7:06:51 PM