Logo

" Khuda ka bot "





Posted on 8/9/2005 1:12:30 AM



just wanted 2 share and...

sahi tarha samajh nahin aya sab

any1?

Chall?

Posted on 8/9/2005 1:14:07 AM

lagta hay writer ko hi dhondh kar samajhna parhay ga lolzzz

Posted on 8/9/2005 7:50:57 PM


balichhh
mujhe khud samajh nahi i abhi


i think matlab yeh hai k artist ko perfection sirf Khuda ki zaat mei nazar aati hai,,,,,,,,
insaan aur zindagi sisakti hui hakeekatein hein,,, and he suffers with all this misery,, iss sab se niklane liye he chose GOD

hmm,, khair baad mei sahi se parhu gi,,
yeh writer thora sa khiske la hai

Posted on 8/10/2005 10:01:47 AM

ji hamain bi kuch samajh nahin aya tha isi liyay post ki thi yah story

khiske la   

well ait baat hmm maybe kay

jo logon nay usay saza di, wo sahi tha or ghalat??

matlab, saza ka haq to ALLAH kay pas hay na?

and he was poor and,,, hmmm

Posted on 8/10/2005 8:09:22 PM

Insaan MATLAB PARAST hay....Jo uss kay Paas hota hay...Uss ki qader nahin kerta...aur Jo nahin hota...uss ki talab ussay Awaargi ki taraf lay jaati hay...Apnay Bhataknay ko woh WIJDAAN ya NIRWAAN ki talaash ka naam deta hay....Khuliyaat-e-baden per research kernay waala....Apnay hi MIND WAVES kay Circles mainn Gum ho jaata hay ...Aur Deewaangi ki Taraf yeh uss ka Pehla Qadem hota hay...

Hamaaray Paas ... Aik Nizaam-e-Hayat-e-Kaamil mojood hay...ALLAH hamari SHEHRAG say qareeb hay...Humainn kisi But ki Zaroorat nahin....

Posted on 8/10/2005 10:20:24 PM

naya bhai jii
thora asaan yarr

""Hamaaray Paas ... Aik Nizaam-e-Hayat-e-Kaamil mojood hay...ALLAH hamari SHEHRAG say qareeb hay...Humainn kisi But ki Zaroorat nahin""
harr koi hamari tarha lucky nahi hota,, k paida hote hi bana banaya nizam e hayaat e kamil mil ja'ain usse

Posted on 8/12/2005 9:44:58 AM

I was JUST EXPLAINING... tHORA hARD HO GAY ATOU bAAT NAHIN...hAMARI balich behna bohat Samajh daar hay...Samajh jaye gi

Posted on 8/14/2005 9:44:13 PM