Logo

~*~ IK CHHOTAY BACHAY KI AAP BEETI ~*~

~*~ IK CHHOTAY BACHAY KI AAP BEETI ~*~

Main so raha tha maan ki god main kay daffatan kya hua
Meri maan nay mujhay yak dum jaga kay rakh diya

Ik qayamat e sughra aaye gher main hamaray
Aur saray gher ko hila kay rakh diya

Yakbargi kamray say mujhay nikala is terha
Kay gher kay malbay say main bach jaoon kisi terha

Meray daikhtay hi daikhtay chit zair ho gaye
Aur saath hi meri maan bhi dhair ho gaye

Paon nazer aaya maan ka to dil tarap gaya
Baqi tha jism sara pathron main chhupa hua

Nazrain jisay dhoondti thin aur jisay meri talash thi
Pass yeh pari meray baba ki lash thi

Os ka haath tha meri taraf berha hua
Jaisay keh raha ho, meray laal bhaag ja

Main chhota sa bacha kaisay jaoon in ko chhor ker
Jee chahta tha lippat jaoon in say dor ker

Mager pathron say tha chehra atta hua
Aur jism tha in ka tukron main bata hua

Her taraf thi cheekh o pukaar aur shor tha
Raat ka sannata, barish aur serdi ka zor tha

Ro ro kay meri aankhain hi khushk ho gaye
Sochta tha kay maan meray baghair kaisay so gaye

Paon bojhel haath zakhmi chala maan ki taraf
Chhoo kay daikha oos ko who thi thandi baraf

Khaincha aur jhanjhora maan phir bhi na uthi
Albata aik eent mujh per bhi aa giri

Aaj paas reh kay bhi kaisa ho gaya
Mujhay thand main chhor kay tanha hi so gaya

Aankhain pathra gaye hain intezaar main
Utho maan tarap raha hoon bukhaar main

Raat gehri ho rahi haikhof kay hain saye dabay huey
Kahan hai meri behen bhi nazon say pali hui

Lagta hai wo sab bhi akailay hi so gaye
Main reh gay hoon tanha wo sab kho gaye


MUJAHID HUSSAIN RIZVI

Posted on 11/11/2005 2:59:02 PM


Posted on 11/11/2005 8:42:59 PM


Posted on 11/12/2005 2:29:21 AM


Posted on 1/9/2006 2:23:51 AM

ki hoya

Posted on 1/9/2006 6:59:49 PM

yaar itni dukhi poetry sunai hai...aur main buhat emotional si larki hoon so...

Posted on 1/10/2006 3:20:29 AM