KHUD SE ROOTHOON TO KAEE ROZ NA KHUD SE BOLOON
PHIR KISI DARD KI DEWAR SE LAG KAR ROO LOON
TU SAMANDAR HAI TO PHIR APNI SAKHAWAT BHI DEKHA
KIA ZAROORI HAI KEMAIN PIYASS KA DAAMAN KHOLOON
MAIN KE EK SABR KA SEHRA NAZAR AATA HOON TUJHEY
TU JO CHAHAY TO TERE WASTEY DARYA ROO LOON
Mohbbat karna koi zulm nahi,
Agar ki jaye usool se,
Khuda ko bhi muhabbat thi,
Apne rasoul se
that was one heavy shaer mr nice guy keep it up
(f) arz karti hoo(f)
tor de har aas ki dori,
ansoon main kya rakha hai,
ishq, mohabbat, baatein hain sab,
baaton me kya rakha hai,
kismat me jo likha hai woh aksar ho ke rehta hai,
chand laakirein uljhe si ,
aur haathon me kya rakha hai.[angel]
US NE SAKOOT-E-SHAB MAIN BHEE APNA PAYAM RAKH DIYA
HIJR KI RAAT BAAM PER MAH-E-TAMAM RAKH DIYA
US NE NAZR NAZR MAIN HE AISE BHALEY SUKHAN KANE
MAIN NE TO US KE PAON MAIN SARA KALAM RAKH DIYA
DEKHO YE MERE KHAWB THEY,DEKHO YE MERE ZAKHM HAIN
MAIN NE TO SAB HISAB-E- JAAN BARSARE AAM RAKH DIYAA
AUR FARAZ CHAHIYAIN KITNEE MOHABBATAIN TUJHEY
MAAOON NE TERE NAAM PER BACHOON KA NAAM RAKH DIYA
(f) arz karti hoo (f)
khushioon ki arzoo mein muqadar bhi sogaya,
andhi chali kuch aisi kay apnay bhi khogaya,
kia khoob tha tumhara yeh andaaz dostoo!!!
humdard ban kay aye they kaatay chuboo gaye.[angel]
SILSILEY THOR GAYA WO SABHEE JATE JATEY
WARNA ITNE TO MARASIM THEY K AATE JAATEY
US KI WO JANE USEY PASS-E-WAFA THA KE NA THA
TUM FARAZ APNI TARAF SE TO NIBHATEY JATEY
Es se pehlay ke bewafa ho jayen
Kiun na aey dost hum juda ho jayen
Tu bhee heeray se ban gaya pather
Hum bhee kal jane kia se kia ho jaayen
Bandagee ham ne chor dee hai Faraz
Kia karen log jab khuda ho jayen
(f) arz karti hoo (f)
tera saath nahi par saanson main teri saans baki hai,
tu nahi par dil mein teri yaad baki hai,
yeh dil toota tha teri bewafai se,
teri bewafai tu nahi par uska diya dard baki hai.[angel]
Jab Paas Ho To Rukh Se, Nigahain Na Morna
Jab Dour Ho To Mera, Tasavvur Na Chorna
Aye Dost!!! Dil Lagane Se Pehle Ye Sonch Le
Mushkil Bahut Hai, Rishton Ki Zanjeerain hain Torna
Mujhey khwahishoon ka sarab de
Mujhey ek adhora sa khawb de
Mujhey aansoon ka de kuch sila
Mere rutjagoon ka hisab de
Tu na her sawal pe sir jhuka
Mujhey de koee to jawab de
Karoon sab dukhoon ka main khaatima
Mujhey zehr de ya sharab de
Na sakoon mile na hoon besakoon
Mujhey es tarha na azab de