Talooq is tarha toora nahi karte....
K phir se joorna dushwaar ho jaye...
Hayat aik zeher main dubi hui talwaar ki manind....
Muhobbat Is tarha chora nahi karte...
Rawadari ka hargiz rasta chora nahi karte...
Muhobbat main sabhi aik dosre ko azmate hain....
Magar aisa nahi karte...!!!
K har umaid har imkan toot jaye...
Kahan tak chanchni ho dor yeah andaza rakhtey hain...
Hameshah char dewari main darwaza rakhtey hain....
Judai mustakil ho to zindagi zindaan ho jaye....
To suno!!!!
Jenay se mun moora nahi kartey....
Muhobbat is tarha chora nahi kartey....
thx
and takay un all old mem ko yaad rukha jay and un kay olds topics ko dobara open kiya jay and all new user ko pata hoo kay kitnain achy achy mem yahan ay and hain..
and wo bi asa ban ker dakahayin..