oo well,,, 
yahan hum baat karein ge HISTORY ki 
   
Tazak e Pakistan hum ne Tazak e babri/jahangiri k mukable pe kaha 
yani k jo likhna hai likh do,, kaun hai rokne wala 
apna raaj hai,, hehehehee... 
 
 
   
 
come on yar,, mazak nahi hai yeh, daant mat nikaliye,, b serious  
let s start from sub-continent only, zyada purane murde baad mei ukhar lein ge 
hmm, mujhe sahi se yaad nahi par shayad Mehmood Gaznavi se baat start hoti hai,, aur uss ki jeet aur hukoomat k tareekon ki detail mei jaae bager dhaeen se mohammad bin kasim pe pohonch jati hai,, wahan bhi hum sirf yeh yaad rakhte hein k aik choti si umer k larke ne jung jeeti,, Masha Allah 
agay kya hua,, kuch dhuwan sa hai,, nazar nahi aata 
khair
Moghols ko kaun nahi janta,, moghols nahi hote to india/pak ki jitni value aaj hai (touristic) woh bhi na hoti... sab naik, parhezgar aur aadil badshah,, masoom se log jinn ka kaam sirf majidein ya tasveerein banwana tha,, ya phir maqbare 
ya phir kambakht hinduon ki sazishon se masloom awaam ko bachana 
uss k baad bechare makkar angrezon ka nishana ho gae,, aur hum ne bari muskhil se apne buzurgon ka khoon baha k pak banaya 
Pak k logon mei bhi unhi bahadur logon ki ruuh hai,,, itni himmat aur jurrat se 1965 ki jung jeeti,, 1971 mei kuch black out ka sama tha, kuch yaad nahi kya hua, kaise hua................. 
lo jiii,, 
hum ne aap ko sub continent ki musalmanon ki history 15 min mei likh di 
kya inaam mile ga ?? 
wohi jo nasaab ki kitabein likhne walon ko milta hai ??? 
adaab arz hai  
