Doctor Sam:
sall... ye aik baat jo mujhe shuru se ajeeb lagi hey... ab jese aap ne kaha hey k agar wo namaz nahi parhta to naa'at se kon sa sawab milay ga...
pata nahi kion mujhe ye baat ajeeb lagti hey... agar koi aik banda aik acha kaam nahi karta to kya wo koi doosra acha kaam bhi na karay...
namaz k farz hone ki behas se alag...
agar ab aik banda namaz nahi parhta to kya wo naa'at ya koi doosra acha kaam bhi na karay..
Naa'at ko shoq se sunna bhi mera khayal hey bohat achi baat hey... aor kya pata koi naa'at suntay suntay seedhay raastay pe aa jaye...
well sall... i m sure.. aap meri baat ka bura nahi maanain gi.. ye baat mere mind main kafi arsay se thi.. aor aap ki post to bus aik source bani hey...
see yar,,, me ne yeh nahi kaha k naat sunna galt baat hai
me sirf itna keh rahi hu k farz poore kiye bager aap nafil parho,, iss mei kharabi koi nahi hai par its not logic
kya yeh ehsaas e gunah se peecha churane ka tareeka nahi hai ???
maqsad aik ache kaam se rokna nahi hai,, all i want to say is pehle zaroori kaam to kar lo
i read once,, farz poore kiye bager nafil (naat, of wazeefa wagera) pe zor rakhna aise hai jaise aap khet mei beej daale bager uss pe dawaai ka chirkao karo
one thing is sure aap k khet mei keere nahi honge,, par kheti bhi nahi hogi
its simple
i hope u understand my point...
ibadat ka matlab sirf apne dil ko khush karna nahi hota,, pehle Allah ki marzi poori karo phir apni
aap ki post ne hamara dil chooor choor kar daala
haaaaaae,, koi daktar ko samjhae,, hamare nazuk dil pe aise waar na kiya karein