dhoondo ge agar mulkon mulkon milne k nahi nayaab hein hum
tabeer hai jiss ki hasrat o gham, ae hum-nafaso woh khaab hein hum
me hairat to hhasrat ka maara khamosh khara hu sahil par
darya e mohabbat kehta hai,,, aa kuch bhi nahi pa-yaab hein hum
ae dard e mohabbat kuch tu hi bata,, ab tak yeh muamma hal na hua
hum mein hai dil e betaab nihan, ya aap dil e betaab hein hum
laakhon hi musaafir chalte hein,, manzil pe pohonchte hein do aik
ae ehl e zamana kadr karo,, nayaab na hon kamyaab hein hum
murgaan e qafas ko phoolon ne ae Shaad yeh kya kehla bheja
aa jao jo tum ko aana ho aise mein abhi shadaab hein hum