Logo

awards

per phaday nahi honay chahiye.
hope 4 the very best k ainda phaday na ho.

Posted on 11/29/2006 8:52:29 AM

hanje nahin honayc haey lakin pata nahin meray he kyion ho jatay hain hum to koshish kartay hain or kartay rahayngay kay ayenda na hon

Posted on 11/30/2006 12:02:18 AM

so best of luck 4 future

Posted on 11/30/2006 9:09:24 AM

thanko je boht boht bus yeh duayen hi kam ati hain boray waqt main

Posted on 12/1/2006 1:11:55 AM

yaa dua buhat bari cheez hain.kismat badal deti hain.

Posted on 12/1/2006 9:08:17 AM

parents kays ath ager doston ki bhi mil jayen to kyia hi bat hai bonus hai woh to

Posted on 12/2/2006 1:20:06 AM

yaa really

Posted on 12/2/2006 8:32:05 AM

wesay ajkal aik boht masla hai pata nahin chalta kon apna hai kon parayia student life say laykay life kay end tak politics hi chalti hai

Posted on 12/5/2006 1:47:22 PM

meri friend kehti hain kay dunya main sirf aik rishta hain jo zindagi kay har raastay main tumhara sath deta hain woh hain Maa ka rishta iskay baad Father ka rishta aata hain aur baaki rishtay kisi kaam kay nahi woh sirf wakti hain.do you agree?

Posted on 12/6/2006 8:40:28 AM

kafi had tak lakin pora nahin
mainay esi mayen bhi daykhi hain jo apnay fayeday kay liay bachon kay sath bora karti hain or baz dafa hamayn koye esa mil jata hai jo hamara apna to nahin hota lakin time pay apno say bharkay sath dayta hai insaneyiat or pyiar abhi dunyia main khatum nahin huwa yeh kahin bhi kisi bhi rishtay main mil jata hai

Posted on 12/7/2006 12:17:25 AM

ab mera opinion yeh hain kay dunya main koi bhi rishta mukar sakta hain laikin apni Maa ka nahi.unkay bachay jaisay bhi ho wo hamesha unkay liye haazir hoti hain.
aur baki rishtay jaisay achay friends etc yeh kismat se miltay hain.

Posted on 12/7/2006 8:41:58 AM

agree lakin sometime esay yar loog mil jatay hain qismat say jo qismat say hi mil saktay hain or jahan tak bat hai maa ki to woh hum main say aksar kay pas hoti hai isliay hum unki woh kadar nahin kartay jo kay karni chaye

Posted on 12/8/2006 1:16:01 AM

yaa
maa se ziyada dunya main koi Azeem nahi.

Posted on 12/10/2006 7:54:41 AM

beshak is main to kisi kism kay shaq ki koi bhi gunjayesh hi nahin hai saray rishtay apni jagha par maa to maa hi hai

Posted on 12/11/2006 1:38:47 AM

jee bilkul

Posted on 12/12/2006 7:40:18 AM

wesay apkay nazdeek mother kay bad konsa rishta hai father ya bro/sis

Posted on 12/13/2006 1:09:04 AM

i think phir Father ka rishta aata hain.
aap ki nazar main konsa rishta Maa k baad aata hain?

Posted on 12/13/2006 8:01:18 AM

zeyiada cases main to father ka hota hai lakin sometimes bro/sis ka zeyiada hota hai lakin meray nazdeek father ka hai

Posted on 12/14/2006 1:31:56 AM

yaa bro\sis bhi hain per itna nahi jitnay Father
hotay hain.

Posted on 12/14/2006 7:43:14 AM

acha apkay koi esay friends hain jin say ap apni batayn share kar layti hain personal

Posted on 12/17/2006 1:27:31 AM

yaa apni sari friends say.
hum 16 best friends hain school aur college kay zamanay say.hum sabhi apni personal baatein aik doosray se share kartay hain.

Posted on 12/17/2006 7:37:49 AM

hen 16 oye hoye kyia bat hai yeh to kaflay ka kafla hai pora loog aik ko taristay hain or ap 16

Posted on 12/18/2006 12:52:31 AM

waisay kuch school kay zamanay say best friends hain jabkay kuch college kay zamanay say.aksar ki engagement ho chuki hain jab kay meri ek friend ki kuch months pehlay shaadi bhi ho gaye.hum sab baatein share kartay hain.
ab aap bataye kay aap apni baatein kin say share kartay hain?

Posted on 12/18/2006 8:02:37 AM

main kisi say apni batayn nahin share karta mera aik dost hai 9 saal porana su say bhi aik limit say zeyiada share nahin karta main apni batayn apnay tak hi rakhna pasend karta hon

Posted on 12/20/2006 1:44:17 AM

per i think yeh shayad ladkiyon ki aadat hain kay woh apni baatein share karti hain jabkay ladkay share nahi kartay.

Posted on 12/20/2006 8:29:11 AM

kafi had tak yeh bat sahi hai lakin har insaan ki apni personality hoti hai kuch loog chatay hain kay woh apni batayn dosron kay sath share karayn jabkay kuch loog meri tarahn kay apni batayn srif apnay tak hi rakhna pasend kartay hain

Posted on 12/21/2006 1:38:34 AM

yaa main to share karti hoon phir us per woh apna opinion bhi deti hain.

Posted on 12/21/2006 8:36:27 AM

acha tarika hai wesay is say apko baz dafa koi achi chez mil jati hai dosron say

Posted on 12/23/2006 1:29:16 AM

yaa bilkul

Posted on 12/23/2006 8:27:36 AM

lakin sometime loog apki batayn dosron ko bhi bata daytay hain

Posted on 12/30/2006 12:54:48 AM