Logo

main har haal may muskurata rahoon ga

kahan ansoo-on ki ye soghat ho gi
naey loag hon gay nai bat hogi

main har haal may muskurata rahoon ga
tumhari muhabat agar sat ho gi

chiragon ko ankhon may mehfooz rakhna
bari durr tak rat hi rat ho gi

chiraghon ki lo se sitaron ki zo tak
tumhen main miloon ga jahan rat ho gi

jahan wadeon may naey phool aey
hamari tumhari mualkat hogi

musafir hain hum bhi musafir ho tum bhi
kisi moaR par phir mulakat hogi

Bashir badar

Posted on 11/5/2006 10:49:47 PM

very nice   


musafir hain hum bhi musafir ho tum bhi
kisi moaR par phir mulakat hogi


yeh safar hai k khatam hee nahi hota

Posted on 11/5/2006 10:54:53 PM

very very nice and true wow i like it

Posted on 11/5/2006 10:57:27 PM

~Fragi~:
very nice   


yeh safar hai k khatam hee nahi hota


fragi sahab safar zindgi k sath e khatam hota hai. balkay shyad tab b nai tab aik naya safar shuru ho jata hai

Posted on 11/6/2006 3:41:21 AM

Asman se Tapki:
~Fragi~:
very nice   


yeh safar hai k khatam hee nahi hota


fragi sahab safar zindgi k sath e khatam hota hai. balkay shyad tab b nai tab aik naya safar shuru ho jata hai



wohi na safar tu kabhi na khatam honey wala hia

Posted on 11/8/2006 12:38:11 PM