Logo

06 Dec 1992

Babri Mosque India

Q: Kiya iss Masjid ko Shaheed kernay say Koyee fayeda hua...?

Q: Jis wajah say yeh shaheed ki gayee, Kya issay Shaheed kernay waalonn nay woh haasil ker liya?

Q: Kya Raam Janam Bhoomi, iss jaga per honay ka koi Saboor Mila aaj tek?

Q: RIOTS mainn aaj tek jitnay log meray unn koi hisaab hay?

Q: Syaasat danonn ki Siyaasat kahan tek ponhchi aur ab woh iss baaray mainn kya kehtay hainn?

Posted on 12/5/2006 3:09:11 PM

in saab baatoon ka eik hee jawab hai NA . NO

Posted on 12/5/2006 3:19:41 PM



HISTORICAL VIEW

   

Posted on 12/5/2006 3:31:22 PM

new_beau:
Babri Mosque India

Q: Kiya iss Masjid ko Shaheed kernay say Koyee fayeda hua...?

Q: Jis wajah say yeh shaheed ki gayee, Kya issay Shaheed kernay waalonn nay woh haasil ker liya?

Q: Kya Raam Janam Bhoomi, iss jaga per honay ka koi Saboor Mila aaj tek?

Q: RIOTS mainn aaj tek jitnay log meray unn koi hisaab hay?

Q: Syaasat danonn ki Siyaasat kahan tek ponhchi aur ab woh iss baaray mainn kya kehtay hainn?


hum is topic ke baray meai debate ker rahay thay, college meai

deeko ajj kal ka zamana kaffiron ka hai,

Mazab rakna ek bhoot muskil kaam hai

abhie indian Appeal ker raha hai globally ke loog unko mitiee (yeah you heard me right, BRICKS) day takay udder Mandir banay

Kissy aur loogon ka Duwa ker ne wallie jaga torr ker kuch milta hai? nahie

idder Wales meai (IN THE UK NEXT TO ENGLAND)
pooray 24 saal se Masjid banay meai lagay rahay hai, idder kissy ne choorie kiyah thay Saray pessay.

koi be insaan ALLAH ke dua nahie ker sakta kissy totay zameen per.

thats my views anyways

sowwie for bad spelling

Posted on 12/5/2006 4:42:27 PM

I am talking about Humanity only at the moment...

They did it but what they achieved nothing....

Posted on 12/5/2006 6:49:14 PM

yaa you are right sir.
politicians mazhab ko hatyaar kay tor par istimaal kartay hain.yeh sirf aik political game hain.

Posted on 12/6/2006 8:15:23 AM


Sayasat ki jaib garam ho rahi hai aur to kuch nahi. Apni sayasat aur seat ko bachanay k liye.


Posted on 12/6/2006 8:52:37 AM

new_beau:
Babri Mosque India

Q: Kiya iss Masjid ko Shaheed kernay say Koyee fayeda hua...?

Q: Jis wajah say yeh shaheed ki gayee, Kya issay Shaheed kernay waalonn nay woh haasil ker liya?

Q: Kya Raam Janam Bhoomi, iss jaga per honay ka koi Saboor Mila aaj tek?

Q: RIOTS mainn aaj tek jitnay log meray unn koi hisaab hay?

Q: Syaasat danonn ki Siyaasat kahan tek ponhchi aur ab woh iss baaray mainn kya kehtay hainn?


Nice Topic N.B.
Mujhe lagta hei ki main is topic par jyada acchi tarah se remark kar sakta hoon kyon ki mei ek Indian Hindu Hoon. Is saare masale par mere personal remarks hein...

Q1. India mein Hinduon aur Muslims ke beech ki khaai aur barr gai. Phaida sirf Political Parti ko hua.

Q2. Kahte hein ki "koi bhi kisi ko thorre waqt ke liye bewkoof bana sakta hei jyadaa waqt tak nahi." Thorre waqt ke liye ye party power mein aa gai thi lekin ab unke haal vapas se kharaab ho gae hein.

Q3. yah abhi tak disputed issue hei. Cannot say anything. Par mere personal views hei ki is baat se koi fark nahin parrta ki vahan par Ram Janm-Bhoomi hei ki nahin. Ye savaal laakhon logon ki jindgi se, unke aman-chain se barrkar nahin ho sakta. Mere khayal se ye agar proove bhi ho jae ki vahan par Ram-J-Bhoomi hei tab bhi
ye jo kadam uthaya gaya tha (mousque ko torrne ka) sarasar galat tha. usase behtar tha ki Ram aur Rahim ko sath kar diya jata. Yane Hindu aur Muslim dono aakar vahan par saath prayer karte aur poori duniya ke samne bhaichaare ki ek misaal kayam karte.

Q4 and 5. Siyasatdaano ko aaj bhi agar is issue ko barrkane mein fayada dikhega to vo aaj bhi logon ki jaan ki, aapsi aman-chain ki parvah na karke is issue ko use kar sakte hei. I hate politics

Posted on 12/6/2006 11:49:59 AM

one Q Danie

kiya sirf politicians hee is sey fiada uthana chathey they ?? kiya indian hindus ko bhi ram mander sey intrest hai abhi bhi ??? ager hai tu wahan per banta kiyoon nahi ???

Posted on 12/6/2006 12:01:15 PM

but it was religously motivated, people died all because of ignorace

Posted on 12/6/2006 4:35:52 PM

Thanks for your Comments Danie...My View was the same...

Posted on 12/6/2006 5:05:50 PM

is sawal ka jawb pehle hi sab ne de dia hay

Posted on 12/6/2006 10:56:58 PM

~Fragi~:
one Q Danie

kiya sirf politicians hee is sey fiada uthana chathey they ?? kiya indian hindus ko bhi ram mander sey intrest hai abhi bhi ??? ager hai tu wahan per banta kiyoon nahi ???


Yes Fragi Bro,
Is issue se sirf politicians ko hi faida uthana tha. Aam Hindu aadmi ko isme koi interest nahin hei. Iski do wazah hei..

1. sabse pahli wazah Hinduism khud hei. Isko samjhne ke lie "hinduism" ko samjhna parrega. Jo ki bahut hi lengthy and time-taking job hei.Related to this topic ki Hunduism mei koi "Kattarta" (I will hv to choose right word) ki koi jagah nahi hei. Jis tarah muslims apne bacchon ko mazhabee-taleem bhi zaroor dete hei, hindus mei aesa koi system nahin hei. Jis tarah ek muslims ko bahut se religious and social rules follow karne parrte hein (like 5 waqt ki namaz,Roze rakhna etc.)hindus ke liye koi bhi religious rule nahin hei. Everything has many-many options and thus it is totally optional. Even one Individual can set his own rules and schedule for him. So I mean to say that Hindus never take their religen so strongly and say seriously. Logon ko wakai koi fark nahin parrta ki agar ek mandir banta hei ya nahin banta hei. Agar logon ko isme wakai Interest hota to mei samjhta hoon ki isme ek din se jyada ka time nahin lagta. But infact people don't mind it. They already have lot of temples. Even if u know every hindu use to have a small temple or say reserveed place for God. Ye sab to mahaz ek political stunt tha.

Posted on 12/7/2006 9:29:26 AM

thz danie

hum sab ka bhi yehi khiyaal hai

Posted on 12/7/2006 9:51:20 AM

thnx danie
aap ka comments dena hum sab se zyada behtar hai
coz we think as paki muslims
but u know the situation better than us


i ve just one thing to say
indies hon ya pakis,,, jahil logon ko hankane liye koi bhi issue ja'iz hai


yeh topic dekh k mere zehn mei first time aik sawal utha hai
agar yeh pb indian masjid ki bajae pakistani church ya temple k baare mei khara ho
to hum logon ka reaction ka hoga

Posted on 12/9/2006 10:08:55 PM