Logo

~*~My collection-~*~old & new~*~

your turn..

Posted on 12/18/2007 8:43:13 AM


Posted on 12/19/2007 6:40:22 AM

WAH WAH WAH

Posted on 12/20/2007 7:40:51 AM



gr8 poems tashu

Posted on 12/22/2007 8:48:57 AM

thanx dears

Posted on 12/22/2007 8:25:49 PM

A RAB Aaj Phir Se Ye Mojza Kar De
.
Us Ki Chahat Ka Phir Se Silsila Kar De
.
Qabooliyat Ki Wo Ghari Batla De Mujh Ko
..
Main Jo Mangoon Mujh Ko Ataa Kar De
.
Tujhe Waasta A KHUDA Tere Mehboob Ka
.
Us Ke Dil Main Meri Jaga Kar De
.
Dikha De Tu Rang Apni Qudrat Ka
.
Tapte Sehra Ko Tu Behta Huya Darya Kar De
.
Parhne Waale Se Hai Ye ILtija Sajid Ki
.
Mere Haq Main Faqat Apni Dua Kar De

Posted on 12/23/2007 5:06:46 AM

thx pari

Posted on 12/24/2007 5:12:12 AM

chalo khawab ankhon main saja kar dekhtay hain
chalo hum kisi ko apna bana kar dekhtay hain

khoon k rishton say aitbar to uth gaya
chalo benam rishtay bana kar dekhtay hain

zindagi asaan ho jaey shayad hamari
chalo haath ki lakeerain mita kar dekhtay hain

andheri shab to kisi surat katti nahi
chalo ghar apna jala kar dekhtay hain

humain maloom hai k tum nay hamara hona nahi
chalo tum par yeh zindagi luta kar dekhtay hain

Posted on 12/24/2007 7:29:43 AM

Toot jaate hain sabhi rishte mager

Dil se dil ka raabta apni jagah

Dil ko hai tujh se na milne ka yaqeen

Tujh se milne ki dua apni jagah



Mast nazron se dekh lenaa tha

Ager tamanna thi aazmane ki

Hum to behust youn hi ho jaate

Kya zaroorat thi muskurane ki



Chehrey per banawat ka gussa,

Aankhon say chalakta pyaar bhi hai,

Is shauq_e_ada ko kya kahiye

Inkar bhi hai iqraar bhi hai,



Kal mila waqt to zufain suljha doonga

Aaaj uljha hoon zara waqt ke sulajhne main

Yoon to sulajh jatee hain uljhee zulfain

Umar kat jati hai waqt ke sulajhe main



Dil ko manana gar hota aaasaaan

Na karta kisi ko yoon ye pareshaan

Tanha na rahta bhari mehfil main

Na hoti woh halat jo ho na bayaan



Khudaa jab husn deta hai

Nazaakat aaa hee jati hai

Kadam chun chun kar rakhti ho

Kamar balkha he jaati hai

Posted on 12/24/2007 11:05:40 AM


Posted on 12/25/2007 3:43:23 PM


Posted on 12/26/2007 4:00:24 PM

Youn Lipat thi hein Darakhton Se Hawaein ke na pooch
Bagh Se Aati hein Ab Esi Sadaein ke na Pooch

Kitne Shadaab Zamanon Mein Tujhe Chaha tha
Aur ab itni hein Banjar ye Fizaein ke na pooch

Aashna Log bhi Anjaan bane phirty hein
Aesi Badli hein Zamanein ki Adaein ke na Pooch

Na tera Phool sa chehra na Mehkta Anchal
Khushk ltni hein Judaee ki Hawaein ke na pooch

Jese ik Perh pay chalti ho Musalsal Aare
Mere is Dil ne Sahee hein Wo Jafaein ke na pooch

Aik Tanha Dil Shair Pay Qayamat ki Tarha
Aesi Omdi hein Masaib ki Ghataein ke na pooch

Posted on 12/26/2007 4:00:58 PM


keep rocking guyz

Posted on 12/26/2007 9:25:47 PM

thank you

Posted on 12/27/2007 7:50:21 AM

nice

Posted on 12/27/2007 11:37:28 PM

ye kesi tishnagi si reh gai hai
konsi khahish adhori reh gai hai
ye kiska rasta dekhti hein ankhein
ye kiski aas baki reh gai hai

Posted on 12/28/2007 2:20:03 AM

Well Done gusy Keep it..up.. :)

Posted on 12/28/2007 2:31:25 AM

nice King N tasha


and all of u

Posted on 12/28/2007 6:38:33 AM

thanx to all


Posted on 12/28/2007 7:32:42 AM

zindagi sey kabhi kuch chaha hi nahi
jo bhi chaha kabhi mila hi nahi

khawahishat ke aik kamray mai band ho kar reh gaye hain
manga tha tujhe khuda say magar, kise aur ke hokar reh gaye hain

ashiq banaya tha tumne lamha ba lamha
magar ashique ke asaar aik dam say,
sar par hawi hokar reh gaye hain

teri jodayee ab dil ko nahi bhati
teri yaadoon mai ahista ahista ghamgeen hokar reh gaye hain

ab tera intezaar nahi hota
ab teray khwaboon mai jee nahi saktay
yehi teri soochoon ki wajah se
ab hum loogon mai badnaam hokar reh gaye hain

zindagi say kabhi kuch chaha hi nahi
o meray yaar jo bhi manga kabhi mila hi nahi
is se pehle hum teray ghum mai doob jayain bachalo humay
warna hum is duniya se roswa hokar reh gaye hain!

Posted on 12/28/2007 12:13:12 PM

sad nice...

Posted on 12/29/2007 8:47:42 AM


Posted on 12/30/2007 4:07:43 AM

thx guyz

Posted on 12/30/2007 5:16:00 AM

good work tasha mg

Posted on 12/30/2007 5:16:50 AM

The crashing of the ocean
The setting of the sun
The whispering of the willow
The way the river runs...

The way the eagle's calling
The way the panther leaps
The way the stars keep falling
The way the hollow sleeps

In the golden of the daytime
And the ebony-hued night
In the brooding of the darkness
And the brilliance of the light

The breathing of a baby
The love a mother gives
The sounds of laughing children
The life a father lives

These things are precious to the heart
They take the breath away
But they can never match the beauty
I see in you today.

Posted on 12/30/2007 5:16:51 AM

nice.....

Posted on 12/30/2007 5:22:34 AM

thx sister
thx zk


Posted on 12/31/2007 4:42:28 PM

   kaha tha na
   is tarah sotay huye mat chor k jana
   mujhe besha jagga dena
   bata dena
   muhabbat k safar mein sath meray chal nahi sakten
   judai k safar mein sath meray chal nahi sakten
   tumhain rasta badalna hai
   mere had se nikalna hai
   tumhain kis baat ka dar tha
   tumhain jane nahi deta
   kahen pe qaid kar leta
   aray pagli muhabat ki tabiet mein zabardasti nahi hoti
   jisay rasta badalna ho usay rasta badalnay se
   jisay had se nikalna ho usay had se nikalnay se
   na koi rok paya hai
   na koi rok paye ga
   tumhain kis baat ka dar tha
   mujhe beshak jagga detay
   main tum ko dekh hi leta
   tumhain koi dua deta
   kam az kam yun to na hota, mere sathi haqeeqat hai
   tumharay baad khonay k liye kuch bhi nahi baqi
   magar khonay se darat hoon
   main ab sonay se darta hoon.

Posted on 12/31/2007 4:42:57 PM

December Se Kya Poochtey Ho?
Yeh To Ek Muhar Hay
Ek Seel Hay Jo Zindagi k Ek Baab Par
Ek Saal k Ikhtetaam Par
Aaj Lag Jaye Gi
Poochna Hay To
In Dhool Urratey March, April Aur September Se Poocho
October Aur November Ki Un Udas Shaamon Se Poocho
Yaa Agar Poochna Hay To
January, February Ki Thathartii Kuhar Aalood Shaamon Se Poocho
May, June, July, August Ki Jhulastii Veeran Dopehron Se Poocho
Vo Chehrey...
Jo In Bey Dard Maheenoo Ki Bhooki Khokh Mein Ja Samaye
Vo Yaadein...
Jo Ruton Ki Badaltii Tareekhon Se Qata Nazar
Dil Mein Angaron Ki Tarah Dehaktii Rahein Gi
Saal Palat Saktey Hain
Din Tareekhon Ka Bhais Badal Badal k Aa Saktey Hain
Vohi Har Maheeney Ki Yakum Do Aur Phir Untees Tees
Magar Yeh Ooper Neechay Girti Tareekhein
Din Ki Kokh Se Janam Leta Ek Aur Din
Khuwah Kitna Hi Naya Kiun Na Ho
Ujla Aur Roshan Kiun Na Ho
Vo Beetey Sunehri Lamhay
Vo Man Chahey Chehrey
Vo Roothay Bichrrey Apney
Vo Payaron Ki AnBhool Yaadein
Vo Meezan-e-Amal Mein Barhtey Har Lamhey k Khasaarey Ka Ehsas
Kon Sa Baras...
Kon Sa Din...
Kon Sa Pal...
Phir Se Mana Kar La Sakta Hay
Apni Jholi Mein Bhar Kar La Sakta Hay
December Se Kya Poochtey Ho?
Yeh To Ek Sham Mein Dhal Kar Aaya Hay
Naram Garam Yaadon Ka Monh Band Sarmaya Hay
Aakhrii Shab December k Hawaley Kar k
Yakun January Mein Ja Samaye Ga
December Se Kya Poochtey Ho...???

Posted on 1/1/2008 6:53:41 AM

wow good ji


Posted on 1/1/2008 10:52:24 AM