Logo

ABHI MOSAM NAHI BADLA


Abhi mausam nahi badla
abhi kuchh der hai baqi
kisi ki saaf nazron mein
wohi andekhi anjani
abhi barsaat hai baqi
abhi wo baat hai baqi
jo lafzon tak nahi pohnchi
isharon mein rahi zinda
dilason tak nahi pohnchi

bisaat-e-dil pe waqt ne
abhi to chaal chalni hai
humein hi jeet jana hai
humein hi maat honi hai
jo kheench le jaan bhi
abhi wo rog hai baqi
abhi wo jog hai baqi
jismein dasht samandar atay hein
aag hawa ban jati hai
raat ghaneri hoti hai
aur rastay ghoom ke atay hein

abhi mausam nahi badla
badal jaye to achha hai



Posted on 3/2/2007 10:07:13 AM

wah wah nice poetry good job

Posted on 3/2/2007 11:23:08 AM


Posted on 3/2/2007 2:57:18 PM

nice

Posted on 3/2/2007 7:54:27 PM


Posted on 3/2/2007 8:27:28 PM


Posted on 3/3/2007 11:35:36 AM


Muqabla....


Posted on 3/5/2007 3:32:07 PM


Posted on 3/6/2007 2:41:12 PM

nice one

Posted on 3/6/2007 5:08:37 PM


Posted on 3/7/2007 11:11:48 AM

KING OF JB:
acha jee


Q ji?

Posted on 3/7/2007 8:03:30 PM

KING OF JB:
kidher hoon dihan bhai


mujhay kya pata aap kidhar hain...
i am tau here he...


Posted on 3/8/2007 9:05:28 AM


ohoo... mai samjha poch rahay hain main kidhr hooon... mujhay dhoooond lo...


Posted on 3/16/2007 8:50:22 AM

Magar yeh poetry hay kis ki ?

Posted on 3/16/2007 3:28:52 PM


Poet ke....

poet ka naam nahi pata...


Posted on 3/17/2007 10:52:16 AM

copy right ka muqadma ho sakta hai

Posted on 3/18/2007 3:56:46 PM


Posted on 3/18/2007 4:50:12 PM


Chori to nahi kee...
sirf share kee hai...


Posted on 3/20/2007 11:28:12 AM