Beej muhabbat kaa mujh mein boo gaeii hey
khushboo ban key mujh mein samoo gaeii hey
dill dharaktaa hey naam jiss kaa ley ley kar
wo hastii mujh sey jaaneyn kahaan khoo gaeii hey
khud ko sochaa too raaz yehii khulla hey
muhabbat ka khameer mujh ko milla hey
laakh chahoon bhee too khud ko badal sakta naheyn
iss hisaar-e-muhabbat sey nikal saktaa naheyn
joo chahey koii adawat rakhey
joo chahey koii banawat rakhey
dill kaa haal too meraa khuda jaaneyn
dill mera buss chahat rakhey
khud ko sochaa too raaz yehii khulla hey
muhabbat ka khameer mujh ko milla hey
yeh dard o alam yeh ranj o gham
hoo jaeyn gey ik din khatam
zindaggii phir muskuraaeyey gii
ghatta bhaar kii chaheyey gii
muhabbat sey milla hey joo bhee
joo naheyn milla woo bhee
nagha mein aks uss ka sadda rahey gaa
dill pey naqsh wo sadda rahey gaa
khud ko socha too raaz yehii khulla hey
muhabbat ka khameer mujh ko mila hey
ayey guzrey waqt gawaah rahnaa
ayey guzrey waqt gawaah rahnaa
apnii rawayatoon ko qaaiam rakhaa hey
apnii muhabbatoon ko daaiam rakha hey
khud ko sochaa too raaz yahii khulla hey
muhabbat ka khameer mujh ko milla hey,,,,,
apni ik taaza nazam aap kii nazar khudhii mein uljhi hoeii khudhii ko khoojtii hoeii yeh nazam bardasht kijeyey