Logo

Ye Chand Or Ye Abr-e-Rawan Guzarta Rahe

Ye Chand Or Ye Abr-e-Rawan Guzarta Rahe,
Jamal-e-Shaam Tah-e-Aasman Guzarta Rahe.

Bhara Rahe Tere Khushboo Se Tera Chaman,
Bas Ek Mousam Amber-e-Fishan Guzarta Rahe.

Sa'atain Tere Lehje Se Phool Chumte Rahein,
Dilon Ke Saaz Pe Tu Naghma Khawan Guzarta Rahe.

KHUDA KARE TERE AANKHAIN HAMESHA HANSTE RAHEIN,
Diyar-e-Waqt Se Tu Shadman Guzarta Rahe.

Main Tujh Ko Dekh Na Paon To Kuch Malal Nahein.
Kahein Bhi Ho Tu,Sitara-e-Shadman Guzarta Rahe.

MAIN MANGTE HON TERE ZINDAGI QIYAMAT TAK,
Hawa Ki Tarha Se Tu Jawidan Guzarta Rahe.

Mera Sitara Kahein Toot Ker Bikhar Jaye,
Falak Pe Tera Khat-e-Kehkishan Guzarta Rahe.

Main Tere Chaon Main Kuch Dair Beth Lon Phir,
Tamam Rasta Be Saiban Guzarta Rahe.

Main Tujh Ko Dekh Sakon Aakhre Basarat Tak,
Nazar Ke Samne Bas Ek Sama Guzarta Rahe.

Main Tera Sath Na De Paon Phir Bhi Tera Safar,
Gulab-o-Khawab Ke Darmiyan Guzarta Rahe.
[email protected]
[email protected]
03462005518

Posted on 4/4/2007 10:58:27 PM


Posted on 4/5/2007 11:23:57 AM