Iss se pehlay keh shaam ho jaey 
aur tu bila wajeh badnaam ho jaey 
aoo wapis ghar jaein. 
aur gaaon ke baher chorahe se 
hum apne apne daggar jaaein 
phir itfaaq se kabhi zindgi ke sharah par 
jab hum hoon apni apni rah par 
humare raaste aik doojay se takraa jaein 
tu bina pehchanay aik doosre ko 
ban ke ajnabi hum guzar jaein 
chahein tu aaj door bhi hum jaa sakte hein 
aur ik duniya nai hum basaa sakte hein 
lekun woh jo dekh ke hum ko jeete hein 
aur jin ko chod ke hum chale hein 
un ko bhi munh dikhana hey samaaj ko 
waqt badly ga hey yeh mujh ko yaqeen 
lekun bebas wa majboor hey piyaar aaj tu 
iss se pehlay keh shaam ho jaey 
aao wapis ghar jaaein .......... 
SALMAN