Logo

BOHUT KASHISH HAI :)

BOHUT KASHISH HAI
____________________

Bahut kashish hai . . ..
Aankh mila kar phir, unhe muskura ke jhukane mein,
Bahut kashish hai yuun, nazakat se sharmane mein.
Hazaaron naghme fiza mein bikhar gaye jaise,
Bahut kashish hai unko labon par sajaane mein.

Naram kalaaiyon mein pehni hai rangeen churiyaan,
Bahut kashish hai un haathon ki mehndi rachane mein.
Gulaab se chehre ko, Zulfon ki chhav mein hai chupaya,
Bahut kashish hai aise mei chehre ke muskurane mei
Faasley hain itne, K milne ki surat na dikhai de,
Bahut kashish hai lekin in faaslon ke fasaane mein
Sharaab bahut buri cheez sabhi jaante hai, lekin
Bahut kashish hai peene ke liye maykhane jaane mein
[^][^][^][^][^][^][^][^][^][^][^][^][^][^][^][^][^][^][^][^][^][^][^]

Regards

TASHI(F)

Posted on 9/10/2003 1:31:11 AM

wah wah wah wha

Posted on 9/10/2003 1:55:41 AM

This is fintastic!
u have a great taste of poetry!
<><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><>
<><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><>

Chehre pe mere zulf ko phelao kisi din!
Kya roz garjte ho baras jao kisi din!
Razon ki tarah utro mere dil mein kisi shub!
Dastak pe mere haath ki khul jao kisi din!
Pairon ki tarah husan ki barish mein naha lon!
Badal ki tarah jhoom k ghar aao kisi din!
Khushboo ki trah guzro mere dil ki gali se!
Phoolon ki tarah mujh pe bikhar jao kisi din!
Guzrein jo mere ghar se tu ruk jaein sitare!
Is tarah meri raat ko chamkao kisi din!
Mein apni har aik saans isi raat ko de don!
Sar rakh k mere seeney pe so jao kisi din!


fasi,...,...,???????

Posted on 9/10/2003 10:20:44 PM

awwwwwwwwwwwwwwww this is really sucha gr8 poetry Fasi jee? :):):)
hai Allah muj se ucheee choice tao app kee hey poetries mey. mai tao buss try maarti hon. hehehehehe
well thanks alot k appriciating my poetries.
and pls u also keep posting ur lovely poetries here theek hai, will look forward to read more of ur poems!
tk crs of ur self

regards

Tashi(F)

Posted on 9/10/2003 10:47:47 PM

hehehehe humari bhi sun leigiey

Zara muskura ke naqab utha tujey shouk nigahoun ka salam hai
Jo nazar nazar ko pila gai muejey us ki nigahoun se kaam hai
Terey chune ke baad kiya kahoun kiya ho gaya hai
chaman ki har kali khil ke gulab ho gai hai
Terey hountoun se takra ker shabnum bhi sharab hogai hai
Teri aankhoun se peenay ke baad meikahne mein janat ki raat ho gai hai

Posted on 9/11/2003 3:11:43 AM

wah waaaaaaaaaaah
wonderful shair jani bhaiya
really so much meaningful!
keep posting ur fav poetry collection. i luv reading them! :)

Tashi(F)

Posted on 9/13/2003 1:17:06 AM

Shukriya Tashi jee
mein aur bhi post kerta rahoun ga

Posted on 9/13/2003 2:04:02 AM

LOL, OK THANX JANI BHAI :)

TASHI(F)

Posted on 9/13/2003 2:11:41 AM

ahan real nice..

Posted on 9/13/2003 2:18:08 AM

thankuz thankuz 2hot4u jee :)

Tashi(F)

Posted on 9/13/2003 2:27:00 AM

like the lyrics of bohat kashish hai specially da 1st ones

Posted on 9/13/2003 4:39:27 AM