barason ke baad dekha ik shakhs dil-ruba sa
ab zehn mein nahi hai par naam tha bhala sa
abruu khinche khinche se, aankhein jhuki jhuki si
baatein ruki ruki si, lehja thaka thaka sa
alfaaz the k jugnuu aavaaz k safar mein
ban jaaye jangalon mein jis tarha raasta sa
khaabon mein khaab uss k yaadon men yaad us ki
neendon mein ghul gaya ho jaise k rat-jagaa sa
pehle bhi log aaye kitne hi zindagi mein
woh harr tarah se lekin auron se tha judaa sa
agli muhabbaton ne woh na-muraadiyan di
taaza rafaaqton se dil tha dara dara sa
kuch yeh k muddaton se ham bhi nahi the roye
kuch zehr mein bujha tha ahbaab ka dilaasa
phir yuun hua k saavan aankhon mein aa basey the
phir yuun hua k jaise dil bhi tha aabla sa
ab sach kahein to yaaro ham ko khabar nahi thi
ban jaaega qayaamat ik vaaqeya zara sa
tevar the berukhi k andaaz dosti k
woh ajanabi tha lekin lagta tha aashna sa
hum dasht the k dariya,, hum zehr the k amrit
naahaq tha zoam hum ko jab woh nahi tha pyaasa
hum ne bhi uss ko dekha kal shaam ittefaqan
apna bhi haal hai ab logo 'Faraz' ka sa