Logo

NICE**POETRY**(SALMAN)

Safar me muskeelen aayen to zurrat aur badhati hai,
Koi jab rasta roke to himmat aur badhti hai !

Meri kamzoriyon par jab koi tankeed karta hai,
wo dusman kyon na ho usse muhabbat aur badhti hai !

Zaroorat me azizon ke agar kuch kaam aajao,
Rakam bhi doob jati hai adawat aur badhati hai !

Tera masoom as chehra chhupalun aankhon me,
Nazar mujhko na tu aaye to dhadkan aur badhti hai !

Agar bikane pe a jao to ghat jate hain daam aksar,
Na bikane ka irada ho to keemat aur badhti hai !   

Posted on 7/4/2007 12:14:12 AM

nice poem Keep it up


Posted on 7/4/2007 9:24:21 AM

kewl

Posted on 7/4/2007 3:22:00 PM

nice

Posted on 7/4/2007 11:00:31 PM

good work

Posted on 7/6/2007 5:55:25 AM


Posted on 7/6/2007 12:41:14 PM

Un Ki Surat ‘ Un Ki Sadagi Hai Wahan

Main ‘ Mere Bechargi Hai Yahan

Jinn Ki Surat Ko Chand Bhi Taknay Ko Tarasta Hai

Mere Taknay Se Kya Farq Parta Hai Wahan

Aggar Cheh Bhool Hoi Tera Naam Lia Main Ne

Har Shakhs Ki Zubaan Pe Charcha Hai Tere Naam Ka Yahan

Un K Chehray Ko Main Kis Cheez Se Tashbeh Dun

Phool Kahan ‘ Chand Kahan ‘ Un Ka Chehra Kahan

Un K Honay Se Mere Shairoon Main Hai Dam Warna

Main Kahan ‘ Mere Shair Kahan ‘ Mere Shaire Kahan

Un K Andaaz Ko Jo Likhnay Beaithoon Main WASIM

Un Ka Andaaz Kahan ‘ Mera Andaaz-E -Bayaan Kahan


Posted on 7/6/2007 11:42:54 PM


Posted on 7/7/2007 2:18:01 PM

nice

Posted on 7/7/2007 6:08:09 PM




    

Posted on 7/7/2007 8:24:03 PM

Aansu nahi thamte hain aankhon main abhi tak
Jaate hue rota woh mujhe chorr gaya tha


Armano ki Duniya ke anmol se sapne
pal main woh mere saamne sab torr gaya tha


Jaan deta tha meri her baat pe lekin yun hi
Besabab Duniya se mera rukh morr gaya tha


Din ki tanhayi ka gham, raaton ki uddasi hamraah
Saare ghamon se rishta mera jorr gaya tha


Aey kaaaaash koi jaa ke usse pooche
Yahan kis ke sahare pe mujhe chor gaya tha

Posted on 7/12/2007 11:43:16 PM