Logo

EID ASHAAR

oey koi nhi jaana

Posted on 9/21/2008 11:47:12 PM

Bahut achi

Bahut khoobsurat
Umdha aurr, what an excellent read.

Posted on 9/25/2008 5:53:03 AM

QUEEN VICTORIA:
Aayee hai Eid aaj bhi har saal ki tarhaa

Par, aise ke, tarab ka koi silsilaa na ho


Pichhle baras thaa khauf, tujhe kho na doon kahin

Ab ke baras duaa hai teraa samnaa na ho


Assalam O Alaikum

*Very Nice jee...!

Posted on 9/25/2008 11:09:15 AM

QUEEN VICTORIA:
maiN ne chaaha tujhe eid pe kuchh nazar karooN
jis meiN ehsaas ke sab raNg hoN raushan raushan
jis meiN aaNkhoN ke taraashe hu-ai moti laakhoN
jis meiN shaamil ho mere qalb ki dhaRhkan dhaRhkan

eid ke chaaNd ko dekh ker
mere lab kap-kapaaye
per yeH duaa
is saal bhi
mere honToN se azaad na hui
ke
ai kHuda!!!
ab ke mujhe chaaNd maiN us ka chehra
dikhaai na de....

dastoor hai duniya ka magar yeH to bataao
hum kis se mileiN kis se kaheiN eid mubarik?

Eid ka din hai gale aaj to lag ja zaalim
rasme-duniya bhi hai, mauqa bhi hai, dastoor bhi hai

chaand dekha teri aaNkhoN meiN na honToN pe shafaq
milti julti hai shab-e-gHam se teri deed ab ke
dil dukha hai, na voh pehlaa sa, na jaaN taRhpi hai
ham hi gHaafil the ke, aayee hi nahiN Eid ab ke ..

iss meharbaan ki nazr-e-inayat ka shukria
tohfa dia hai eid pe hum ko judaai ka

hum ne is saal bhi paayi na tere gHam se nijaat
hum ne is saal bhi na dekha eid ka chaaNd



Posted on 9/25/2008 11:09:59 AM

QUEEN VICTORIA:
Aaye Khuda kar too unhain bhi Eid ki khushiyan naseeb
Jin kay dam say ham bhi hain aour hay hamaari Eid bhi

Iss baras koi hassen khwab na tha Ankhon main
Iss baras ham say bhi daikha na gaya Eid ka chand

Eid aayi hay musarat ki payami ban ker
Woh musarat jo teri deed say wabasta hay

Eid ka din bhi shab-e-matam hay meray wastay
Jis khushi main woh na aaye woh khushi achi nahein


*Buhat khoobsurat Dil se...!

Posted on 9/25/2008 11:12:39 AM

QUEEN VICTORIA:
1

Gheron Main Hai Jo Shaad Usay Eid Mubaarak
Jis Ko Nahi Hum Yaad Usay Eid Mubaarak

Ma'Soom Se ArmaanoN Ki Ma'Soom Si Duniya
Jo Kar Gaya Barbaad Usay Eid Mubaarak

2

Jo ShakhS Kho Gaya Hum Se Andheri RaahoN Main
Usi Ko Dhoond K Lao K Eid Aayi Hai..

3

BichhRay HuoN Ki Yaad Main AaNkheN Udaas HaiN
Ay Subh-E-Eid.. Ghar Ko SajauN To Kis Tarah ??


*Brilliant Work...!

Posted on 9/25/2008 11:14:44 AM

~CHANDNI~:
Rapunzel:
mein tu dhund rhi hun








awww mera chand


ye bi apka hai


Posted on 9/25/2008 12:26:47 PM

Assalam O Alaikum

*This is For My Dr.Ma'am and All the members...!



Posted on 9/26/2008 9:31:40 PM


Posted on 10/2/2008 12:18:30 PM

boht khoooooooooooooooooob

Posted on 10/5/2008 6:41:22 AM

Im missing U QV

Posted on 10/5/2008 12:27:43 PM

QUEEN VICTORIA:










Jitni baar paron phele se achi laghti hai, sab ye collection.

Barri Eid bhi aa rahi hai. Do lafzon se to Eid ka mazza nahi aye gha.

Posted on 10/25/2008 6:53:54 AM

QUEEN VICTORIA:
bas
me ja rahi hun



In the time of crisis I was not hurt by the harsh words of my Enemies but by the silence of my Friends. - William Shakespeare     

..........Bohut achi.

Posted on 3/9/2009 2:31:48 AM

Eid ka best gift ye topic tha QV sis

Posted on 3/24/2009 10:37:47 PM