Chamakte Chand Ko
Singer:GHULAM ALI
huuun huuuum aaaa aaa-
(chamakte chand ko
chamakte chand ko tuta hua tara bana dala 
meri aawargi ne mujhko aawara bana dala
chamakte)
bara dilkash bara rangeen hai yeh shehar kehte hain 
yahan par hain hazaron ghar gharon mein log rehte hain
mujhe is shehar ne galiyon ka banjara bana dala
chamakte chand...
main is duniya ko aksar dekh kar  hairaan hota hun 
na mujhse ban saka chhota sa ghar,din raat rota hun
Khudaya  tune kaise  ye jahan sara bana dala
chamakte chand...
mere malik, mera dil kyun tadapta hai, sulagta hai
teri marzi , teri marzi pe kiska zor chalta hai
kisi ko gul, kisi ko tune angara bana dala
chamakte chand...
yehi aagaz tha mera, yehi anjam hona tha 
mujhe barbaad hona tha, mujhe nakaam hona tha
mujhe taqdeer ne taqdeer ka mara bana dala
 
   
 
chamakte chand...