Assalam O Alaikum
*One of My favourite Poem
Halakoo Ab jo tum Baghdad Ao gay...!
Halaku ab jo tum Baghdad aaoge
to sail-e-khuuN se Dajlaa apne saahil dho chukaa hogaa
yahaaN ek aur lashkar, aatish-o-aahan ka lashkar
chhaonii Daale paRaa hogaa
kaii sau saal se yeh shahar apnii be-sukuunii meN
kabhii soyaa na thaa, so aaKhir so chukaa hogaa
Halaaku ab jo tum Baghdaad aaoge
yahaaN lasheN milengii, lekin unke sar nahiiN honge
saroN kaa ek minaara
tumhaare shahar meN aane se pahle
ban chukaa hogaa
galii-kuuche, saraayeN, khaanqaaheN, qahvaa-Khaane
apne saaye ke muqaabil haath phailaaye khaRe honge
kutub-khaanoN kii Khaakastar uRhaaii jaa chukii hogii
navaadir boriyoN meN bat chuke hoNge
kalaam Allah ke naayaab nusKhe aur sahiife
ki jin ki diid se taariiKh kaa siinaa munavvar thaa
jalaaye jaa chuke hoNge
Halaku ab jo tum Baghdad aaoge
Alif Lailaa ki raateN daastaanoN se nikal kar
dhuup kii chaadar lapeTe ret ke TiiloN pe baiThii
qissa-goyoN, taajiroN, sahraanvardoN, shaatiroN, aur shahzaadgoN ka
rastaa tak rahii hongii
(ki dekheN shahar meN kab raat aatii hai)
Halaaku ab jo tum Baghdad aaoge
Ali Baba ke sone ke Khariite, Khema-o-khargaah sab luT chuke honge
jahaaN ashwah taraaz-o-hiila-gar Marjeena rahtii thii vahaan ek aur hii duniaa ke nau sar baaz baiThe haiN
yahaaN miTTii me jaduu hai, zamiin sonaa ugaltii hai
havaa meN tel ki buu hai
Halaaku ab jo tum Baghdad aaoge
to phir vaapas na jaaoge