*Barish ka pehla qatraa aa kay
Jab who pyasi Zameen say milta hay
Us millan ki khushi main bay ekhtiyaar
Zameen kay Rooh Rooh se
Mast Khushbu ummad see aati hay
Aur thandi hawa kay mast jhonkay
Woh khushbuu simytay banho'n main
Chaltay hain Ounchi nichee Rahoo main
Zameen kay syraab honay ka jashan mannaty hain
Chaar su khushbu bikhair daytay hain
Dil kay bhee hotay hain hazar rang
Jitnay moosam hain saaray es main hain
Chahatun kay hazaro rang gullab
Pyaar kay jitnay hain moosam sarray
Kooray kagaz kee tarha hain abb tak
Kabhi too koi awarra baddal
Pyaar ka ban kay banjarra badal
Bhoolay say aa kay kabhee barsay too
Rooh tek ess say sairaab hoo jaye
Or phir is ke khushbu say
Barish main daddu bhi nikal aatay hain
main soochta hoon daddu kyun nikley
daddu soochta hai k yeh kyun nikla
isi sooch bachaar main barish tham jati hai
main apney ghar ko chala jata hoon
daddu apney ghar ko chala jata hai