Logo

Poetry


Assalam O Alaikum

*Buhat khoob...!

Posted on 5/18/2009 12:58:49 AM

sun_shine:

Assalam O Alaikum

*Buhat khoob...!


WalaikumAssalaam

thanks
(mujhe hi keh rahi theen na? )


Posted on 5/19/2009 12:03:24 AM

Yeh na samjho ke tujh ko bhulaye baithe hain
Teri yaad ko dil main chupay baithe hain
Deikh lete hain jab bhi gi chahta hai surat teri
Teri tasweer ko hum aina banaye baithe hain

Posted on 5/20/2009 12:04:45 AM

VEEEERY FINE...Good
shaista:
Yeh na samjho ke tujh ko bhulaye baithe hain
Teri yaad ko dil main chupay baithe hain
Deikh lete hain jab bhi gi chahta hai surat teri
Teri tasweer ko hum aina banaye baithe hain
W@h Bohat Khoob ...

Posted on 5/20/2009 11:45:11 AM


thanks

someone did send it to me. bahut hi achi lagi thi.

Posted on 5/20/2009 11:58:16 PM


Posted on 5/22/2009 2:14:30 PM


Nice. bahut acha.


Posted on 5/22/2009 7:37:16 PM

shaista:

Nice. bahut acha.

Yeh to udass dino k mayooskun lamhat ki shairi hai jo laboon p aa gai.....aor bass.....

Posted on 5/23/2009 11:01:48 PM

yeh special aap k liaay....

Dil ki dhaRkan ha khyalon main mere rehta ha
kyun ha wo jo sawalon main mere rehta ha?


jis ko dekha na khab us se wafa karta houn
dil ke aaine main main us se mila karta houn

main nai janta ye kis ki talab ha muj ko?
kis ka armaan iradon main mere rehta ha

khwab ha wo mera taaber dilayon kaise?
apni hasrat ko main taqdeer banayon kaise

muj ko milta ha sakoon us ka tasavur kar ke
wo ishara jo isharon main mere rehta hai

kis ki tareef main likhi ye ghazal kiya janon?
kis ko kehta houn MuhabbaT ka kanwal kiya janon?

main tu bas aik hi umeed main rehta houn sada
us ko dekhon jo nazron main mere rehta ha...


Posted on 5/23/2009 11:54:47 PM

Salam to all...
yahaan kooch aor ASHAAR aap ki khidmat main paish hain...Yaqeenan aap ko Zaoor pasand Aain gay


Posted on 5/26/2009 11:47:28 AM


Posted on 6/1/2009 1:44:13 PM

sash ji aap pure written urdu samjh leti hain?

Posted on 6/1/2009 1:45:44 PM

lildude:
sash ji aap pure written urdu samjh leti hain?
YES .... I KNOW URDU VERY WELL... WRITING AND REEDING

Posted on 6/1/2009 3:38:55 PM

Waqt bhi chal raha hai usi raftaar se,
Meri zindagi me sab kuch thehra kyon hai?
Gile shikwe ruk jaate hai hontho tak aake,
Har lafz pe khamoshi ka pehra kyon hai?
Dil kahta hai mohabbat nahi khata hai ye,
Phir dil ki deewar par tera chehra kyon hai?
Aur bhi zakhm hai tere zakhmo ke siva,
Tere hi zakhm ka daag itna gehra kyon hai?


Posted on 6/1/2009 3:39:35 PM


nice poetry

ji haan, main written urdu bhi samjh leti hoon.


Posted on 6/1/2009 5:47:02 PM


Dil hi dil main tumse pyar kiya karte hain
Aankhon se tera deedaar kiya karte hain
Yuun to namumkin hai tera kissi rah se guzarna
Phir bhi har rah pe tera intezaar kiya karte hain

Posted on 6/1/2009 5:48:30 PM


Loog kaanton se bach ke chalte hain
Hum to phoolon se zakhm khaaye hain
Tum to ghairon ki baat karte ho
Hum ne to apne bhi aazmaye hain


Posted on 6/1/2009 5:49:31 PM

Shaista Jii...

[email protected]@H BOHAT KOOB...
DONO HE LAJWAB HAIN...W@H

meri taraf say ...
chand ashaar...

Kaanton Se Guzar Jaanaa Sholon Se Nikal Jaanaa

Phuulon Kii Bastii Main Jaanaa To Sambhal Jaanaa


Din Apnii Chiraagon Ki Maanind Guzarte Hain

Har Subah Ko Bujh Jaanaa Har Shaam Ko Jal Jaanaa



Bachchon Hi Si Fitrat Hai Ham Ahl-e-muhabbat Ki

Zid Karnaa Machal Jaanaa Phir Khud Hi Sambhal Jaanaa



Vo Shakhs Bhalaa Mera Kyaa Saath Nibhaayegaa

Mausam Ki Tarah Jis Ne Siikhaa Hai Badal Jaanaa





Posted on 6/2/2009 12:09:14 PM


Posted on 6/2/2009 4:38:37 PM


nice again

Posted on 6/3/2009 10:45:04 PM

kooch Ashaar aor aap ki nazar....

Jab Tuta Hai Dil Toh Phir yaad Kyu Na Karoon
Unki Yaadon Se Dil Ko Azaad Kyu Na Karoon
Kaheta Hai Dil Woh Bhul Gaye Hume Toh Kya
Ki Hai Mohabbat Toh Unhe Yaad Kyu Na Karoon
Cheen Li Unho Ne Meri Jeene Tak Ki Ummid
Apni Zindagi Khud Hi Barbaad Kyu Na Karoon
Likhi Hai Kismat Mein Jo Gumon Ki Parchaayi
Tanhaiyon Se Hi Fir Dil Shaad Kyu Na Karoon
Hum Mar Bhi Gaye Toh Unhe Milengi Khushi
Marne Ki Koshish Har Saas Ke Baad Kyu Na Karoon

Posted on 6/4/2009 1:25:52 PM


   

Posted on 6/10/2009 12:11:57 AM

Thanks ...
Shaista Jii...Poetry ki pasandeedgi ka Shkria
Iss k mutaaq kia khiyal hai aap ka...


Jab Tuta Hai Dil Toh Phir yaad Kyu Na Karoon
Unki Yaadon Se Dil Ko Azaad Kyu Na Karoon
Kaheta Hai Dil Woh Bhul Gaye Hume Toh Kya
Ki Hai Mohabbat Toh Unhe Yaad Kyu Na Karoon
Cheen Li Unho Ne Meri Jeene Tak Ki Ummid
Apni Zindagi Khud Hi Barbaad Kyu Na Karoon
Likhi Hai Kismat Mein Jo Gumon Ki Parchaayi
Tanhaiyon Se Hi Fir Dil Shaad Kyu Na Karoon
Hum Mar Bhi Gaye Toh Unhe Milengi Khushi
Marne Ki Koshish Har Saas Ke Baad Kyu Na Karoon

Posted on 6/10/2009 11:16:38 AM


Posted on 6/10/2009 5:20:24 PM


very nice!!

bahut hi acha hai

Posted on 6/10/2009 10:39:54 PM


yeh ab main sun rahi thi:

guloN meN rang bhare, baad-e-nau-bahaar chale
chale bhii aao ke gulshan kaa kaarobaar chale

qafas udaas hai yaaro, sabaa se kuchh to kaho
kahiiN to bah�r-e-Khudaa aaj zikr-e-yaar chale

kabhii to sub�h tere kunj-e-lab se ho aaGhaaz
kabhii to shab sar-e-kaakul se mushk-baar chale

baRaa hai dard kaa rishtaa, ye dil Ghariib sahii
tumhaare nam pe aayeNge Ghamgusaar chale

jo ham pe guzrii so guzrii magar shab-e-hijraaN
hamaare ashk terii aaqibat saNvaar chale

huzuur-e-yaar hu�ii daftar-e-junuuN kii talab
girah meN le ke gariiban ke taar-taar chale

maqaam �Faiz� ko�ii raah meN jaNchaa hii nahiiN
jo kuu-e-yaar se nikle to suu-e-daar chale

Posted on 6/10/2009 10:40:33 PM

Shaista... jii W@H...
Bohat he Lajawab Ghazal hai...
jisay Mehdi Hasan Sahib Ne Bohat khoob gaya hai
[email protected]@H...
Chalay bhe aao k Gulshan Ka Karobar Chalay...

Posted on 6/11/2009 10:29:58 AM


ji haan.
yeh jo main sun rahi thi kissi nayi awaaz ne gayi thi, lekin ghazal ke saath na insafi nahin hui. was very nice.


Posted on 6/11/2009 3:44:21 PM

Dard Se Hamara Rishta Na JoRna
Ay Jaan Hame Tanha Na ChoRna
Milenge Bahut Tumhe Zindagi Ke Safar Mein
Guzarish Yahi Hai Ke Hamse Kabhi Muh Na Modhna

Posted on 6/12/2009 2:05:57 PM


Posted on 6/12/2009 7:19:05 PM