Logo

Teray Baray Mainn Jab socha nahin tha


Terey baarey mein jab, socha nahin tha
Mein tanha tha magar, itna nahin tha

Teri tasveer sey karta tha baatein
Merey kamrey mein ' Aaina ' nahin tha

Mein tanha tha magar, itna nahin tha

Samander ne Mujhey, Pyaasa hi rakha
Mein jab Sehra mein tha, Pyaasa nahin tha

Mein tanha tha magar, itna nahin tha

Manaaney roothney ke khail mein Hum,
Bichhar jaaein gey, Yeh socha nahin tha

Mein tanha tha magar, itna nahin tha

Suna bund kar leen, Uss ne Aankhein
Kai Raaton sey Woh, soya nahin tha

Mein tanha tha magar, itna nahin tha

Posted on 11/29/2003 8:48:20 AM

superb


nice

Posted on 12/1/2003 11:10:36 PM

zabardast ghazal hai na yeh

Posted on 12/5/2003 1:12:43 PM


superb
____________-
shy_princess
[email protected]
aik baat kahoun ager sunatey ho .

Posted on 12/5/2003 2:02:56 PM


fantastic
___________-
shy_princess
[email protected]
aik baat kahoun ager sunatey ho .

Posted on 12/5/2003 2:10:03 PM