zindagi kay angan main;
taar taar daman main;
dard aur hairat ki;
zakhm zakhm tasveerein;
nafratoon kay mausum ki;
bayguman tehreerrein;
jaisi sari batoon ka ;
dard say hi ho nata;
jaisi sub ki ankhoon say;
jhankta ho sanata;
bas hai ik tanhai;
jo diloon main dar ayy;
mehfloon main ja kar bhi;
dil sakoon nahin pata;
anganoon main rastoon main;
bolta hai sanata;
phir bhi dil kay daman main;
taar taar daman main;
qabr jaisi veerani;
raat jaisi khamosi ;
bas gaya hai sanata;
bas gaya hai sanata;
door asmanooon say;
noor sa koi utray;
koi tu kiran utray warna
zindagi main tu ;
malgaji andhairoon ka;
sham kay lutairoon ka;
bas gaya hai sanata;
bas gaya hai sanata;
mulgaji andhairay main
zindagi ki sham ayyy
ratt aur sawaira bhi
jaisi hoon hum maini;
zindagi main meri tu ;
bus gaya hai sanata
bus gaya hai sanata
bus gaya hai sanata