
Dua'ae khair chalo aaj uun mangtay hain
nai zameen naya aasman mangtay hain
boht ziada nahi, faqt itna mangtay hain
aadmio'n ki bheer main chand insaan mangtay hain
iss qadar masno'ee ho chuki hain ye ronaqain
faroogh'e fitrat ko shahar'e bayaban mangtay hain
jo bakhsh chuka hai tu, ab tak wo'hi mangtay hain
teri zameen pe nafiz tera farman mangtay hain
diloo'n ke qufal jis se khul jaye
phir aik bar wo'hi furqan mangtay hain
qayamatain barpa ho rahi hain roz-o-shab aisi
aman ke wastay ab hashar ka maidan mangtay hain