Date 25 december 2003 time 2:25 lahore model town B block market
sahat sardi paar rahi thi ...hum 5 dost jo kay pancho kay pancho he Velay hain aksaar raat kay 3 bajay tuk tandoor paar beth kaar logoon ki buraeyaan kartay rehtay thay...uss din be beth kaar uncle jimmy kay apni nokarani kay sath taza ishq ki bateen kaar rahay thay...kay bilkul samnay nawaz sharif park wali road sei hameen aik sayaa sa chalta nazar ayaa..uss ki chaal mein halki sei larkharahat thi...sub sei pehlay usay imran nein dekha jo kay aksaar hamen apni bahadari kay kisay sunata rehta tha...uss nein haam sub ko uss sayee ki taraf matvajoo karnay kay leye kaha wo dekoo kya hai ( ye tu uss nein hameen baad mein batya kay uss nein ye kaha tha warna uss wakt tu uss ki awaz bilkul aesi nikli thi jesay changa manga kay jungle ki poorani train ki seti nikalti hai)...hameen samaj tu kuch na ayaa magar uss ki udri hoyee rungat or nazreeen dekh kay haam nai foraaz uss taraf dekha..woe sayaa aab thora Qareeb aa geya tha ore saaf pata chal raha tha ye koi Auraat hai..jis kay baal khulay hoyee thay ore woe intahaii zeyada zevaar pehnay hoyee thi....yakeen kareen woe intahaii hobsuraat thi mein nein apni zindagi mein kabi itni khubsurat aurat nahi dehi thi...mein uss ko dekhna mein itna magaan tha kay mujay pata he nahi chala kaab sab dost uth kay bhaag geye hain ore mein akela he reh geya hoon...mujay jub apnay akelay rehnay ka ahsass hoaa tu mein nein Ami jee keh kay tandoor sei chulang lagayee ore zulfi kay phutay kay nechay guss geye jaha pehlay sei aram kartay hoyee aik kuttay nein bhoonk kay mera istukbaal kea...ghoor sei dekhnay paar pata chala woe kutta nahi woe tu apna imran hai daar kay mari jis kay mun sei kuttay jesi awaz nikli thi...mein nein imran sei pocha baki sub kaha hai tu uss nein esharay sei batyaa kamran masee hameeda kay ghaar ghuss geya hai ..nizam uss charsi munnavar ki razayee mein hai (nizam hum mein sei sub sei saaf suthara banta hai kabi kisi dosray kay glass mein pani nahi peta kisi dosray kay utray hoyee kapray nahi pehanta magar..)...ore adnan mein nein juldi sei pocha tu uss nein batayaa woe meray nichay hai...mein nein juldi sei adnan ko us kay nichay sei nikala warna uss ka akhri wakt aanay mein kuch he second reh geye thay ku kay imran hum seb mein sei sub sei hata kutta hai...mein nein dobara road ki taraf dekha tu uss auraat ko tandoor kay bilkul pass khara hoyaa dekha ..chehray sei kuch pareshaan lug rahi thi....mein nein socha hum aesi he daar rahay hain kya pata bechari koi musebaat ki mari ho ore uss ko hamari zaroorat hoo...ye he baat mein nein imran sei kahi tu uss nein apna bhenss jesa sir tezi sei hilana shuru kaar dea ore sath mein ghult shulat ayeeteen paarta raha...uss ayeet partay dekh kay mein nein be juldi sei koi ayeet yaad karnay ki koshish ki tu mujay ahsass hoyaa mujay tu savayee alhamduliah kay ore kuch be nahi aata..uss wakt mujay apnay muhalay kay molvi sahib bohot yaad ayee jo maar maar kay hameen ayeteen yaad karvatay thay magar hum nein be zid pakri hoyee thi kay chahay kuch be ho jayee tum sei ayeteen yaad nahi kaareen gey...usss wakt mujay aesa luga jesay molvi sab hanss rahay hoon ore kah rahay hoon dekha bachoo uss wakt yaad kaar letay tu ajj ye din na dekhna parta....mein nein rushak sei imran ki taraf dekha jo sir hilayee ayeet paar ayeeet parta ja raha tha..mein nein usay phir toka yaar lugta hai woe pareshaan hai shaeed rusta bhool geya hai aooh chultay hain uss sei pochatay hain usi koi problem tu nahi magar uss nein phir inkaar mein sir hila dea akheer jub mein nein useay gheraat deli kay tum tu barayee bareyee bateen kartay thay kay mein nein waha ye kea waha woe kea aab kya hoaa..kehnay luga yaar woe tu insaano ka mamla tha magar ye tu koi churail lugti hai ..mein nein kaha nai yaar koi churail nahi koi bachari aurat hai aoaah dekhtay hain..ye kah kay mein phutay kay nichay sei nikal ayaa allah ka naam lei kar jo kay hameen sirf aesay wakt he yaad aata hai uss ki taraf chal para ...mujay chalta hoaa dekh kaar imran ore adnan be meray pechay aa geye jin ko dekh kay meri himat kuch bhaar geye...hameen aata dekh kaar uss nein palat kaar hamari taraf dekaa uffff uss ki aankoon sei hoon nikal raha tha mein ghabra kaar 2 qadam pechay hath geya magar ghoor sei dekhnay paar pata chala woe hoon nahi uss ki aankoon ka rung tha jo kay laal surah tha...uss nein foraan he kaha excuse me...ye sun kaar meri jaan mein jaan ayee kay churalloo ko kaha english aati hai ye koi musebaat ki mari hoyee auraat he hai..excuse mein kya app mujay bata saktay hain children hospital ko kon sa rusta jata hai.....apnay lehjay sei mujay wo koi bohot achay handaan ki suljhi hoyee hatoon lugi...mein nein kaha jee app ghulat aa geye hain agar app nawaz sharif hospital sei sedhi road kay sath sath chalti tu waha pohanch jati yaha sei app ko bohot lumba paray ga ore ore agay tu verana he verana hai raat kay ess time tu ess taraf sei koi be nahi jata mujay lugta hai app ko rastoon ka pata nahi esee leye app ess taraf chali ayee....magar uss nein hanss kaar jawab dei don't worry mujay kuch nahi ho ga app sirf mujay bata dei yaha sei agay kaha jana hai mein yaheen sei jaoon gey ..mera bacha bohot bemaar hai ore mujay uss ko dekhnay jana hai dekhnay jana hai dekhnay jana hai kahti hoyee woe veranay ki taraf chal paari....haam mein sei kisi ki itni himat na hoyee kay usey roak sakeen... uss wakeyee kay baad hum sub apnay apnay ghar chalay geye ore sub ko he bohaar ho geye... uss kay baad hum nein raat ko tandoor paar behanay sei toba kaar lei ..ess wakyee kay aik month baad hamaray muhalay ki aik larkay kay pagal honay ki itla mili jo kay mera bacha bemaar hai mera bacha bemar hai chilata rehta hai..pata chala kay woe larka be raat ko tandoor paar behta rehta tha dostoon kay sath magar uss din woe akela tha ....ore sunanay mein ayaa hai kay uss larkay nein uss aurat kay sath badtameezi karnay ki koshish ki thi....
app loog aaj be uss lakray ko model town ki roadoon mein phirta hoa dekh saktay hain...jo kay pagloon ki tarha chilata rehta hai ha ha mera bacha bemar hai ha ha mera bacha bemar hai..
agar kisi kay sath koi es tarha ka sach vakeyaa hoa hai tu woe be sub kay sath shair kaar sakta hai .Magar sirf sacha wakyee!!!
Age: 124
7757 days old here
Total Posts: 24391
Points: 0
Location:
United States, United States
chaar dost hote hain, raaton ko kisi jaga par bethte hain aur logon ki burayan karte hain, phir unko ek aurat nazar aati hai wo darr jaate hain, aur chup jaate hain, baad mein ek ko khayal aata hai ke shayad raasta bhool gayee ho ye aurat phir wo usskay paas jaate hain wo excuse me bol kar children care center ka raasta poochti hai wo batate hain aur kehte hain ye raasta lamba hai aur tum doosre raaste se jao, to wo kehti hai nahin mera bacha beemar hai, aur phir chali jaati hai kuch dino baad ek aadmi unkay town mein pagal hojata hai aur kehta rehta hai mera bacha beemar hai...sunnay mein aata hai ke ussne uss aurat ke saath koi badtameezi ki thee...
Age: 124
7784 days old here
Total Posts: 31001
Points: 0
Location:
France, France
hmm,,, thnx nasi bacha,,, waise acha hua na phir to,, par iss mei darne ki kya baat hai,, jo karo ge wohi wapis mile ga,, this is life,, nothing to b scared
waise yeh story galt hai coz ""phir unko ek aurat nazar aati hai wo darr jaate hain, aur chup jaate hain"" ehemmm,, aisa hota hai kya bhala
Age: 124
7445 days old here
Total Posts: 2288
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
sahat sardi paar rahi thi ...hum 5 dost jo kay pancho kay pancho he Velay hain aksaar raat kay 3 bajay tuk tandoor paar beth kaar logoon ki buraeyaan kartay rehtay thay...uss din be beth kaar uncle jimmy kay apni nokarani kay sath taza ishq ki bateen kaar rahay thay...kay bilkul samnay nawaz sharif park wali road sei hameen aik sayaa sa chalta nazar ayaa..uss ki chaal mein halki sei larkharahat thi...sub sei pehlay usay imran nein dekha jo kay aksaar hamen apni bahadari kay kisay sunata rehta tha...uss nein haam sub ko uss sayee ki taraf matvajoo karnay kay leye kaha wo dekoo kya hai ( ye tu uss nein hameen baad mein batya kay uss nein ye kaha tha warna uss wakt tu uss ki awaz bilkul aesi nikli thi jesay changa manga kay jungle ki poorani train ki seti nikalti hai)...
hehe baki khud read karoo...mein nein itni mehnat sei likhi hai koi read kaar kay bata sakta hai kay mein kahaneyaa likh sakta hoon kay nahi ???? actually mujay ye khush fehmi hai kay mein writer bun sakta hoon
Age: 124
7445 days old here
Total Posts: 2288
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
thanks Yas for liking my story actually hum sub dost sardiyoon mein aaj jula kay jinbhootoo kay kisay shuru kaar detay hain..meray pass bohot sei stories hain agar tumheen pasand hain tu mein tum ko sunata rahoon ga
Age: 124
7445 days old here
Total Posts: 2288
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
sall jee mein nein apni ankoon sei aik shaks paar jin aatay dekha hai bohot sei logoon nein usay pakar rukha tha ore woe bed sei 5,5 feet upaar uthata tha ore phir wapis aata tha phir uthata tha ore phir wapis aata tha ore tum keh rahi ho jin bhoot kuch nahi kehtay
Age: 124
7445 days old here
Total Posts: 2288
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
mera dada kehta tha kay jin sirf khoobsurat aurtoo paar aata hai jub woe teez khusboo laga kay baal khulay choor kay bahir nikalti hain ..ess leye tumheen darnay ki zaroorat nahi kekekeke