main nay aaj hi aik movie daikhi hai VEER ZAARA acchi lagi,,,rona bhi aaya issi tarha ki aik Pakistani movie bhi daikhi thi kuch arsa pehlay shaid oos ka naam "KHOAY HO TUM KAHAN" ya kuch aur tha shan aur zara sheikh ki... aisi hi kuch aur movies hain jin main sab ka aik hi moral hota hai"INDO PAK frienship". in sab main youth ko yeh bataya jata hai k hum aik hain mazhab, sarhad, hakoomat ya politics sab hum ko alag karnay ki koshish kertay hain , hum log kal bhi aik thay aaj bhi aik hain. aaj kal hum naach ga ker aik doosaray k shows(artists) attend ker k yeh sabit karnay main lagay hain k hum ko alag karna ghalat tha.iss cheez ko hum aman qayam karnay ki koshish kahtay hain.
iss tarha ki movies daikh ker hamesha meray zahan main kuch sawal uthtay hain..............! 1- kya "DO QOUMI NAZRIYA" Sir sayad ahmed khan ki ghalati thi. 2- kya jin logon nay 1940 main Pakistan resolution k pass honay say lay kar 1947 tak struggle ki woh waqt zaya kya? 3- kya 1965 main Pakistan ko bachanay k liye honay wali shadatain bekaar thin? 4- Kya Quid e Azam nay iss din k liye hamain Pakistan diya?
kya koi mujhay yeh bata sakta hai k aaj jo pegham hamian diya ja raha hai hamari manzil woh honi chahiye...kya waqaye hum aik hain ya hamin hona chahiye
Age: 124
7665 days old here
Total Posts: 47705
Points: 0
Location:
Bouvet Island, Bouvet Island
I am Agree Queeny ...
But ...
Kia aap chahti hain k .... 1965 wali Shahdteen Fir say hooon .... Kia aap chahti hain k Pakistan main jo Bomb Blast aur Firing k Waqiat ho rahay hain ....Wo hotay rahay hain .......
I think nahi chahti hoon ... PAKISTAN INDIA freindship zaroori nahi hai k ....Is say Pak Ind aik hi country ban jain .. Ya 1947 say pehlay jaisa tha waisa ho jai .kia Freindship ka ye mean hota hai ..i think nahi .... .. Aap janti hain k Pakistan India dono Atom Bomb Rakhtay hain ......Ager pak ind aik dosray say nafrat kartay rahay .. Aik aur jung chir sakti hai ... to bachay ga kia..kuch nahi ....
Hazoor Kareem(PBUH) sula ko pasand kartay thay ... Haan Jab Kufar e Makkah nay zaida hi tang kia to Hazoor Kareem (PBUH) nay un k khilaf Jungain bhi larin... TO kia ab india hum say sula karna chahta hai to kia ...kia hum un say nafrat karain ...??? to kia hum un k dosti k hath ko jhatak dain ??? Dosti just dosti hai is ka ye meanz nahi hai k Pakistan India fir saay aik mulk ban jain gai ....
Age: 124
7849 days old here
Total Posts: 56416
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
ary wel said ka yah hi maqsad hay sis jee kay ham agree hayn ap say .. moghy to khod yah mall milap koch khas passend nahi yahn uae may dekho ..indian paki ko kitna bora samghty hayn
Age: 124
7648 days old here
Total Posts: 10089
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
.. well .. u r rite .. aj kal ye saab jo ho raha hai bilkul ghalat hai .. hamaray actors ka unki taraf jana unka hamaree taraf aana.. ye saab fazool hai.. hamaree kabhee bhee india say dosti nahi hoo saktee.. .. haan sulah say rahein .. par ye bhee nahi kay aik doosray kay ser par char jain..
Age: 124
7515 days old here
Total Posts: 6984
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
TWO NATIONS THEORY YA AZADI KAY LIYE HAMARE STRUGGLE, wrong nahin thee..hindo aur muslims do alag nations hain un donon kay rehnay kay tareeqay alag hain tu agar aik alagg mulk main rehna chaha muslims nay tu yeh galat nahin tha..per yeh bhi sach hay kay indians aaj bhi pakistan ki existence ko accept nahinker paye aur yehi koshish ki koshish kertey hain kay pakistan aaj bhi hindustan ka hissa hay..... aik alag mulk banna galt nahin tha per hamare beech mian jo nafratain hian woh galat hain kiya humaree doosrey countries kay saath friendly relations nahin hay agar issi tarha pakistan aur india main bhi friendly relations hon tu acha hay is ka hergiz yeh mutlub nahin kay pakistan ko banana galat tha
Age: 124
7307 days old here
Total Posts: 75
Points: 0
Location:
Turks and Caicos Islands, Turks and Caicos Islands
noway mam i wonder why these questions appear in your mind.Hum na kabi aik thay ore na kabi hoon gey.ye sub neye ore kachay zehnoo ko mutasir karnay ka drama hai.
aesay mulik mein hum kesay reh saktay thay jaha muslims ko woe loog jobs he nahi detay thay. muslims kay pass koi karobaar be nahi tha.sub kuch hindo kay pass tha. na he mazhabi aazadi thi . rozana fasadaat hotay thay. hindu ore muslim 2 alehdaa quoomeen hain.
Age: 124
7370 days old here
Total Posts: 4265
Points: 0
Location:
Antarctica, Antarctica
haan, hum dushmani choor sakte hain, we can live as two peacefull nations but eik hone ki baat naheen karni chahye.. na hi woh Quad e Azam ka khwaab tha na hi humaare jawaan is liye shaheed hue hain...
eik baar tuut gaye to jur naheen sakte aur na hi jurna chahye. lekin peacefull next to each other rehne main koi ghalt baat naheen hai...
Age: 124
7315 days old here
Total Posts: 4
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
hi......first of all Mr shahrukh plz its a serious topic take it seriously...........India aur Pakistan ki dosti naheen ho sakti coz India ye naheen chahta aik taraf muzakrat karta hae tau doosri taraf LOC.......Hindustan ki Qasam jaisee against Pk movies banata hae.....tau agar ye baat hae tau wo hum se aab itna piyar keun karne laga hae after 57 years???????? the reason is k India ko Kashmir aur Siachin pe billions of dollars spend karna parte hain jo uss k Economic super power bunanay mai aik bari rakawat hain...so wo inn prblms ko solve karna chahta hae.........aur ye k India ab pk ke saath doosti pe movies banata hae......ye bilkul ghalat hae their each movie contains some stuff against pk.................e.g.,in Mai hoon na Shahrukh says "Sir nisf sadi mai pehlee dafa Paki's ne doosti ka haath barhaya hae tau India iss ko kaisay reject kar sakta hae??".....similarly in Masti Ajay Dev gan says" Yaad rakho teen cheezan kabi seedhi naheen ho sakteen 1_Kutay ki dumm 2_Paroosi mulk ki niyat 3_Sikandar k haathon se mori hooi gardan..............ye donnon movies unn dinon relaese hoi theen jab india apnay Amman Pasand honay ka propaganda kr raha tha ............India aur Friendship?????????HUH................(i'm frm Azad Kashmir)
Age: 124
8070 days old here
Total Posts: 6924
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
laiba_khan said:

CHUK KE RAKHO!
queen.. mein ne ye movie abhi tak nahi dekhi, or agar dhekh bhi loonga to for EMOTIONAL ENTERTAINMENT! samghey?
Age: 124
7768 days old here
Total Posts: 26285
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
BadShaH1 said:
CHUK KE RAKHO!
queen.. mein ne ye movie abhi tak nahi dekhi, or agar dhekh bhi loonga to for EMOTIONAL ENTERTAINMENT! samghey?
waisay main nay bhi shayed pehli baar koi new movie jaldi daikh li hai socho zara kal ho na ho main nay abhi tak poori nahin daikhi
aur badsha salamat kash kabhi aap log dances aur songs ki emotional entertainment say hat ker oon dialogues per bhi ghour ker liya karain jon Pakistan k khilaf bolay jatay hain
behar haal mera sawal kuch aur tha maqsadmovies ko discuss nahin karna tha...thanx
Age: 124
7370 days old here
Total Posts: 4265
Points: 0
Location:
Antarctica, Antarctica
yes, india kehta hai ke friendship ka haath hum ne pehle bharaaya lekin films main jo dialogue kehte hain woh pakistan ke itne khilaaf hote hain and the industry is also sponsored by the government to yeh wohi baat hui na ke moon par doost banne hain lekin peet pe churra dhoons rahe hain....
Age: 124
7648 days old here
Total Posts: 10089
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
simple Kashmir hamara hai .. hamain dein dein .. awein main kaab say bacharay kashmiriyoon par zulm hoo raha hai .. suna hai aj kal kashmir problem discuss hoo raha hai b/t pakistan n india.. ... lets see baat banti hai kay nahi..