Dil Tootanay tay....

37469 views 1310 replies
Reply to Topic
wafakadard

Age: 125
Total Posts: 6204
Points: 0

Location:
United States, United States
Hi friends, I am Sunny Malik your new and OLD friend
Here you will find Poetry of Pain......
if anyone like to read about pain so you are on right place here.......... if you like to so plz send some too.... but everyday you will get something new here Umed hai time acha guzaray gha ap ke saath


mujhey phool na dena mujhey unse nafrat hai
dena hai to kaantey dedena mujhey unki aadat hai
woh chubtey hain zhakham detey hain imandari se
phool to bewafa hotey hai , doka detey hain wafadari se!!! (Sunny)
Posted 31 Jan 2005

wafakadard says
WOW Stop stop stop
mujay kuch kaynaa hai

ooo bahto khob
Posted 07 Mar 2005

wafakadard says
bewafa ne badi wafa ke saath hume daga diya
humari ehmiyat uske nazron me kya hai ye bata diya..
Posted 07 Mar 2005

wafakadard says
Nazer mila na sakey uss sey Uss Nigah key baad
wohi hey haal hamara joo hoo Gunah key baad
Mey ney kissi aur Sim't Na moora Khud koo
kissi ki Chah na thi Dil mey teri Chah key baad
Posted 07 Mar 2005

wafakadard says
mien is ki shakel ko dil say uttar daetin hon
kabhi kabhi tou mien khud ko bhi mar daeti hon
yeh mera haq hay kay mien ossay thora dukh bhi doon
mien chahat bhi tou ossay bayshumaar daetin hoon
Posted 07 Mar 2005

wafakadard says
Ye Shab-e-Firaaq ye bebassi,hain qadam qadam pe udaasiya'n
Mera saath koi na de saka,meri hasratein hain dhuaa'n dhuaa'n
Posted 07 Mar 2005

wafakadard says
Posted 08 Mar 2005

Dua_786 says
Very nice
Posted 08 Mar 2005

paki_fan says
nice sunny
Posted 08 Mar 2005

wafakadard says
sukria
Posted 09 Mar 2005

paki_fan says
yeh emotion kiun bhai sahib?
Posted 09 Mar 2005

Fairl_Girl says
Talaash karo koi tumhe mil jayega,
magar humari tereh tumhe koun chahega,
zarur koi chahat ki nazaar se tumhe dekh le,
magar aakhein hamari kaha se layega

Posted 09 Mar 2005

genius says
Posted 10 Mar 2005

paki_fan says
Posted 10 Mar 2005

paki_fan says

"ye intazaar Galat hai ki shaam ho jaaye
jo ho sake to abhii daur-e-jaam ho jaaye

Khudaa-na Khvaastaa piine lage jo vaa_iz bhii
hamaare vaaste piina haraam ho jaaye

mujh jaise ri.nd ko bhii tuu ne hashr me.n yaa rab
bulaa liyaa hai to kuchh intazaam ho jaaye

vo sahan-e-baaG me.n aaye hai.n may-kashii ke liye
Khudaa kare ke har ik phuul jaam ho jaaye

mujhe pasand nahii.n is pe gaam-zan honaa
vo rah-guzar jo guzar-gaah-e-aam ho jaaye"


Posted 10 Mar 2005

paki_fan says
zindaa huu.N is tarah ki Gam-e-zindagii nahii.n
jalataa huaa diyaa huu.N magar roshanii nahii.n


wo muddate.n huii.n hai.n kisii se judaa hue
lekin ye dil ki aag abhii tak bujhii nahii.n


aane ko aa chukaa thaa kinaaraa bhii saamane
Khud usake paas merii hii nayyaa gaii nahii.n


hoTo.n ke paas aaye ha.Nsii , kyaa majaal hai
dil kaa muaamalaa hai koii dillagii nahii.n


ye chaa.Nd ye havaa ye fizaa, sab hai maa.nd maa.nd
jo tuu nahii.n to in me.n koii dil-kashii nahii.n
Posted 10 Mar 2005

Dua_786 says
very nice
Posted 10 Mar 2005

genius says
Posted 10 Mar 2005

Fairl_Girl says
Posted 10 Mar 2005

paki_fan says
Posted 11 Mar 2005

wafakadard says
oooooooo Paki bahot khob
ooooooooooooooooooooooooooooooooooooo
genius ap nay to HAD he kar diiiiiiiiii bahto achay hain
Posted 11 Mar 2005

wafakadard says
Mein shaame dil ki lagi ko bujhane ayaa tha
tumhari yaad do dil mein basane ayaa tha
naa poocha haal tune mere dil ka humdum
Mein tujhko dil ki kahani sunane ayaa tha
Posted 11 Mar 2005

wafakadard says
jatey jatey vo ek neshani dey gayee,
umer bhar duhura sakoo eysi kahani dey gayee,
hum too reh gaye peeyasey,
per humri palko ko vo pani dey gayee
Posted 11 Mar 2005

Fairl_Girl says
Posted 11 Mar 2005

paki_fan says







veryy nice   









duniyaa jise kahate hai.n jaaduu kaa khilonaa hai
mil jaaye to miTTii hai kho jaaye to sonaa hai


achchhaa saa koii mausam tanahaa saa koii aalam
har vaqt aa ronaa to bekaar kaa ronaa hai


barasaat kaa baadal to diivaanaa hai kyaa jaane
kis raah se bachanaa hai kis chhat ko bhigonaa hai


Gam ho ki Khushii dono.n kuchh der ke saathii hai.n
phir rastaa hii rastaa hai ha.Nsanaa hai na ronaa hai
Posted 12 Mar 2005

paki_fan says
jo bhi log muhabbat kiya kartay hain

khod apnay aap ko barbad kiya kartay hain

zindagi un ko phir jehanum si lagti kuon hay

jo khod shooq say zahar-e-ashiq piya kartay hain
Posted 12 Mar 2005

paki_fan says
"Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata
Jo Beet Gaya Hai, Woh Guzar Kyon Nahi Jata

Sab Kuch To Hai, Kya Dhundti Rehti Hai Nigaahein
Kya Baat Hai, Mai Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata

Woh Ek Hi Chera To, Nahi Sare Jahan Mein
Jo Door Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata

Main Apni Hi Uljhi Hui, Raho Ka Tamasha
Jate Hain Jidhar Sab, Main Udhar Kyon Nahi Jata

Woh Naam Jo Na Jane Kab Se, Na Chehra Na Badan Hai
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata"
Posted 12 Mar 2005

Fairl_Girl says
Posted 12 Mar 2005

Fairl_Girl says
Har kasi ka dil hai kasi ka piyaar sa roshan
Yeh roshni agar na ho to zindagi adhori hai
Tanha katana in raston ko asaan nahi
Zindagi ka har mor pa koi humsafar zarori hai
Posted 12 Mar 2005









Posted 12 Mar 2005

paki_fan says
Posted 13 Mar 2005

Reply to Topic