°- FAIZ -°

5465 views 92 replies
Reply to Topic
Ashii

Age: 125
Total Posts: 31001
Points: 0

Location:
France, France
here s a whole topic dedicated to one of my fav poets

FAIZ AHMAD FAIZ






Raat yun dil mei teri, khoi hui yaad aai
jaise veerane mei chupke se bahaar aa jaae
jaise sehra mei hole se chale baad e naseem
jaise beemar ko be-vaj'he karaar aa jaae.


from Naksh e Faryadi
Posted 12 Feb 2005

Ashii says
one of my favvv one again,,, harrr aik sher jaise dil ki awaz



kab yaad mei tera saath nahi, kab haath mei tera haath nahi
sadd shukr k apni raaton mei, ab hijr ki koi raat nahi

mushkilhein agar halaat wahan, dil bech a'ain jaan de a'ain
dil waalo koocha e janaan mei kya aise bhi halaat nahi

jiss dhaj se koi maktal mei gaya, woh shaan salamat rehti hai
yeh jaan to aani jaani hai, iss jaan ki to koi baat nahi

maidan e wafa darbaar nahi, yaan naam o nasb ki puch kahan
aashiq to kissi ka naam nahi, yeh ishq kissi ki zaat nahi

gar baazi ishq ki baazi hai, jo chaho laga do darr kaisa
gar jeet gae to kya kehna, haare bhi to baazi maat nahi

from Zindan Naam (written in Montgomry jail)
Posted 12 Feb 2005




Posted 12 Feb 2005

SALL said:

one of my favvv one again,,, harrr aik sher jaise dil ki awaz



kab yaad mei tera saath nahi, kab haath mei tera haath nahi
sadd shukr k apni raaton mei, ab hijr ki koi raat nahi

mushkilhein agar halaat wahan, dil bech a'ain jaan de a'ain
dil waalo koocha e janaan mei kya aise bhi halaat nahi

jiss dhaj se koi maktal mei gaya, woh shaan salamat rehti hai
yeh jaan to aani jaani hai, iss jaan ki to koi baat nahi

maidan e wafa darbaar nahi, yaan naam o nasb ki puch kahan
aashiq to kissi ka naam nahi, yeh ishq kissi ki zaat nahi

gar baazi ishq ki baazi hai, jo chaho laga do darr kaisa
gar jeet gae to kya kehna, haare bhi to baazi maat nahi

from Zindan Naam (written in Montgomry jail)


Nice Sall
Posted 12 Feb 2005

paki_fan says
nice sall
Posted 13 Feb 2005

Ashii says
thnxxx

nice FAIZ



wait for the rst
Posted 13 Feb 2005

Ashii says

Hum k thehre ajnabi itni mulakaton k baad
phir banein ge aashna kitni madaraton k baad
kab nazar mei aae gi be-daag sabze ki bahaar
khoon k dhabbe dhulein ge kitni barsaton k baad
the bohot be-rehm lamhe khatm e dard e ishq k
thi bohot be-mehr subhein meherban raaton k baad...
dil to chaha par shikast e dil ne mohlat hi na di
kuch gile shikwe bhi kar lete munajaton k baad..
unn se jo kehne gae the Faiz jaan sadka kiye
an-kahi hi reh gai woh baat sab baton k baad...


Shaam e Shehr e Yaran, 1974
and u ll b surprised to learn this poem's title
DHAKKA se wapsi per

Posted 13 Feb 2005

Doctor Sam says
Mere chaara gar ko naveed ko, saf-e-dushmanaaN ko khabar karo
Wo jo qarz rakhtay thay jaan per, Wo hisaab aaj chuka diya

Sall, if u have complete ghazal, aap yahan zaroor post kerain...
Posted 13 Feb 2005

Doctor Sam says
bohat khoobsoorat sher hey ye, lekin afsos mere paas poori ghazal nahi hey, SALL agar aapki collection main ho to....
wese mujhe ummeed thi k aap Faiz ka topic zaroor chairdain ge.
Posted 13 Feb 2005

Doctor Sam says
a very charming piece of poetry By Faiz

Hum ne ummeed k saharay per
toot ker yun hi zindagi ki hey
Jistarah tum se aashqi ki hey
Posted 13 Feb 2005

Doctor Sam says
isay continue rakhiye ga,
ho sakta hey main 1 / 2 din yahan posting na ker sakoon
Posted 13 Feb 2005

kiran says
Posted 13 Feb 2005

kiran says
here doc sam mere se kabool karain yeh ghazal ager bura na lage to..
Posted 13 Feb 2005

Ashii says
thnx sam,,
see yahan kiran bhi hein jo achi cheezein post karti hein
dont miss her posts ;)
thnxx a lottt kiran


i ll only add one more sher (hope u wont mind)

karo kaj jabeen pe sar e kafan, mere kaatlon ko guman na ho
k guroor e ishq ka baank-pann pas e marg hum ne bhula diya
Posted 13 Feb 2005

Ashii says
here s one more from Mere Dil Mere Musafir

ab k baras dastoor sitam mei kya kya baab eejad hue
jo katil the maktool hue, jo saed the ab sayyad hue

pehle bhi khizan mei baag ujre par yun nahi jaise ab k baras
saare boote patta patta ravish ravish barbaad hue

*pehle bhi tawaf e shama e wafa thi rasm mohabbat walon ki
hum tum se pehle bhi yahan Mansoor hue Farhaad hue

ik gul k murjhane per kya gulshan mei kohraam macha
ik chehra kumhla jaane se kitne dil na-shad hue

Faiz, na hum Yusuf na koi Yakoob jo koi hum ko yaad kare
apni kya, Kuna'a mei rahe ya Misr mei ja abaad hue
Posted 13 Feb 2005

cutefriend says
gud
Posted 14 Feb 2005

Doctor Sam says
OOOO gr8, lagta hey is ghazal ki kashish mujhe aaj phir khench laayi hey, otherwise main ne 2 din baad posting kerni thi,
well thanx a lot Kiran.....
And Sall,
u r always Zabardast
Posted 14 Feb 2005

Ashii says
thnx cf n sam



here s one more poem by Faiz from Zindan Naama
Montgomery jail 15/05/1954.

*tere honton k phoolon ki chahat mei hum
daar ki khushk tehni pe waare gae
tere haathon ki shamon ki hasrat mei hum
neem tareek rahon mei maare gae*

suliyon per hamare labon se pare
tere honton ki lali tapakti rahi
teri zulfon ki masti barasti rahi
tere hathon ki chaandi damakti rahi
jab ghuli teri rahon mei shaam e sitam
hum chale aae, laae jahan tak kadam
lab pe hurf e ghazal, dil mei kandeel e gham
apna gham tha gavahi tere husn ki
dekh kayam rahe iss gavahi pe hum
hum jo tareek rahon mei maare gae

na rasaee agar apne takdeer thi
teri ulfat to apni hi tadbeer thi
kis ko shikva hai gar shok k silsile
hijr ki katl-gahon se sab ja mile
*katl gahon se chunn kar hamare alam
aur niklien ge ushaaq k kaafle
jinn ki raah e talab se hamare kadam
mukhtasar kar chale dard k faasle*

kar chale jinn ki khatir jahan gir hum
jaan ganva kar teri dilbari ka bharam
hum jo tareek rahon mei maare gae.


Posted 14 Feb 2005

Fairl_Girl says
wow ssall ji gr8
Posted 14 Feb 2005

Doctor Sam says
its just Wow....

Zabardast
Posted 15 Feb 2005

SALL said:

thnx cf n sam



here s one more poem by Faiz from Zindan Naama
Montgomery jail 15/05/1954.

*tere honton k phoolon ki chahat mei hum
daar ki khushk tehni pe waare gae
tere haathon ki shamon ki hasrat mei hum
neem tareek rahon mei maare gae*

suliyon per hamare labon se pare
tere honton ki lali tapakti rahi
teri zulfon ki masti barasti rahi
tere hathon ki chaandi damakti rahi
jab ghuli teri rahon mei shaam e sitam
hum chale aae, laae jahan tak kadam
lab pe hurf e ghazal, dil mei kandeel e gham
apna gham tha gavahi tere husn ki
dekh kayam rahe iss gavahi pe hum
hum jo tareek rahon mei maare gae

na rasaee agar apne takdeer thi
teri ulfat to apni hi tadbeer thi
kis ko shikva hai gar shok k silsile
hijr ki katl-gahon se sab ja mile
*katl gahon se chunn kar hamare alam
aur niklien ge ushaaq k kaafle
jinn ki raah e talab se hamare kadam
mukhtasar kar chale dard k faasle*

kar chale jinn ki khatir jahan gir hum
jaan ganva kar teri dilbari ka bharam
hum jo tareek rahon mei maare gae.





Yah To Meri Bi Fav Ho Gai

Keep On Posting More Sall

Apni Nai Kar Daina Aap Post
Posted 15 Feb 2005

Ashii says
thankuuuuu
areyyy,, tumhein kya pata yeh meri apni hi ho






Ku e sitam ki khamshi abaad kuch to ho
kuch to kaho sitam kasho, faryaad kuch to ho
bedaad-gar se shikwa e bedaad kuch to ho
bolo, k shor e hashr ki eejad kuch to ho

*marne chale to sutoot e katil ka khauf kya
itna to ho k baandhne paae na dast-o-pa
maktal mei kuch to rang jame jashn e raqs ka
rangeen lahu se panja e sayyad kuch to ho
khoon per gavah daaman e jallad kuch to ho
jab khoon baha talab karein bunyaad kuch to ho*

gar tan nahi, zuban sahi, azaad kuch to ho
dashnam, nala hahu, faryaad kuch to ho
cheekhe hai dard, ae dil e badbaad kuch to ho
bolo k shor e hashr ki eejad kuch to ho
bolo k roz e adl ki bunyaad kuch to ho

from Zindan naama - 13/04/1955
Posted 17 Feb 2005

Ashii says
Posted 18 Feb 2005

SALL said:

thankuuuuu
areyyy,, tumhein kya pata yeh meri apni hi ho






Ku e sitam ki khamshi abaad kuch to ho
kuch to kaho sitam kasho, faryaad kuch to ho
bedaad-gar se shikwa e bedaad kuch to ho
bolo, k shor e hashr ki eejad kuch to ho

*marne chale to sutoot e katil ka khauf kya
itna to ho k baandhne paae na dast-o-pa
maktal mei kuch to rang jame jashn e raqs ka
rangeen lahu se panja e sayyad kuch to ho
khoon per gavah daaman e jallad kuch to ho
jab khoon baha talab karein bunyaad kuch to ho*

gar tan nahi, zuban sahi, azaad kuch to ho
dashnam, nala hahu, faryaad kuch to ho
cheekhe hai dard, ae dil e badbaad kuch to ho
bolo k shor e hashr ki eejad kuch to ho
bolo k roz e adl ki bunyaad kuch to ho

from Zindan naama - 13/04/1955




Majaak nai talain chall
aap ti itni achi neva


Hmmmm.... Jeh Wali Bohat muchkil hai
motay motay words chamaj tich to aey di? khekhe

Posted 18 Feb 2005

Ashii says

karobari / balich
yeh kya ho raha hai
koi mujhe batata kyun nahi




pehle batao who r u
phir i ll translate it for u
Posted 18 Feb 2005

SALL said:


karobari / balich
yeh kya ho raha hai
koi mujhe batata kyun nahi




pehle batao who r u
phir i ll translate it for u



Ophooo Chall its Me Na Balichhh Aul Toon Ho Da
Posted 18 Feb 2005

Ashii says
to karobari kaun hai
Posted 18 Feb 2005

SALL said:

to karobari kaun hai



Main Hi Hon Na Sis se majak me bnaya tha na ,,,,
Posted 18 Feb 2005

kiran says
Posted 18 Feb 2005

Doctor Sam says
Asslam-o-alekum
i m back G
King of Jb, beleive me i was just thinking k ye peom post karoon,
and it is here
hmmmm chalain koi baat nahi...
Posted 19 Feb 2005

Doctor Sam says

Dono Jahan teri Mohabbat main Haar k
Wo ja raha hey koi shab-e-ghum guzaar k


Sall g, ye ghazal b post kerain...
Posted 19 Feb 2005

Reply to Topic