here s a whole topic dedicated to one of my fav poets
FAIZ AHMAD FAIZ
Raat yun dil mei teri, khoi hui yaad aai jaise veerane mei chupke se bahaar aa jaae jaise sehra mei hole se chale baad e naseem jaise beemar ko be-vaj'he karaar aa jaae.
Age: 124
7777 days old here
Total Posts: 31001
Points: 0
Location:
France, France
hum aaaaaaaaaa gae
yeh kya ho raha hai
chup kar jao ab saare hum sher arz karne lage hein
bahaar aae to jaise yak baar laut aae hein phir adam se woh khaab saare, shabaab saare jp tere honton pe marr mitae the jo mitt k harr baar phir jiye the nikher gae hein gulaab saare jo teri yaadon se mushkbu hein jo tere ushaaq ka luhu hein ubal pare hein azaab saare malaal e ahvaal e dostan bhi khumar e aagosh e meh-washan bhi gubaar e khatir k baab saare tere hamare savaal saare, javaab saare bahaar aae to khul gae hein nae sire se hisaab saare........
Age: 124
7777 days old here
Total Posts: 31001
Points: 0
Location:
France, France
hmmm... sochne do
dasht e tanhai mei,, ae jaan e jahan larzan hein teri awaaz k saae tere honton k saraab... dasht e tanhai mei doori k khas o khaak tale khil rahe hein tere pehlu k saman aur gulaab...
uth rahi hai kahin kurbat se teri saans ki aanch apni khushbu mei sulagti hui madham madham door ufaq paar chamakti hui katra katra gir rahi hai teri dildar nazar ki shabnam....
iss kadar pyaar se,, ae jaan e jahan rakha hai dil k rukhsaar pe iss wakt teri yaad ne haath yun guman hota hai darche hai abhi subh e firaq dhal gaya hijr ka din aa bhi gai wasl ki raat...