°- FAIZ -°

5405 views 92 replies
Reply to Topic
Ashii

Age: 124
Total Posts: 31001
Points: 0

Location:
France, France
here s a whole topic dedicated to one of my fav poets

FAIZ AHMAD FAIZ






Raat yun dil mei teri, khoi hui yaad aai
jaise veerane mei chupke se bahaar aa jaae
jaise sehra mei hole se chale baad e naseem
jaise beemar ko be-vaj'he karaar aa jaae.


from Naksh e Faryadi
Posted 12 Feb 2005

Yah Kia Ho Raha Hay

Chall Ta Topic Hay Jah TO Hooooooooa Hi Thaaaaaaa
Posted 19 Feb 2005

King of jb said:



Very Nice
Posted 19 Feb 2005

kiran said:



Kiran Aap Ki Pasand Hamaisha
Posted 19 Feb 2005

Challlllll Moreeeeeeee Pleaseeeee

Meri Train Nikal Jay Di
Posted 19 Feb 2005

Awaaara says
FaIz iS An aWeSoMe PoEt!

LovE HiS PoEtRy
Posted 20 Feb 2005

Ashii says
mg pa jii
dil e mann musafir mann
'shab e gham buri bala hai'
'humein kya bura tha marna agar aik baar hota'
well known lines of Ghalib
London, 1978
from "Mere dil mere musafir"


Shaam e Firaq vvvv nice kiran
last sher...
"akhir e shab k humsafar Faiz na-jaane kya hue
reh gai kiss jaga saba, subah kidher nikal gai"
Posted 20 Feb 2005

Ashii says
thnxx allllll



for u sam
dono jahan teri mohabbat mei haar k
woh ja raha hai koi shab e gham guzar k

veeran hai mai-kada, khm o saghar udaas hein
tum kya gae k rooth gae din bahaar k

ik fursat e gunah mili, woh bhi chaar din
dekhe hein hum ne hosle Parwardigar k

dunya ne teri yaad se begana kar rdiya
tujh se bhi dilfareib hein gham rozgaar k

bhoole se muskura to diye the woh aaj Faiz
mat puch walwale dil e na-kardakar k


Naqsh e Faryadi
Posted 20 Feb 2005

paki_fan says
very nice everyone
Posted 20 Feb 2005

Doctor Sam says
well,
Nice to c the Ghazal...
Thanks Sall
y have u stopped...
keep posting...
Really, u r having good sense of poetry...
I think Duniya main 2 e log hain jinka zouq bohat acha hey...Doosray to AAP hain
aor First.....
Main....
Posted 24 Feb 2005

Ashii says
thnx paki n DS

ehemmm,,
hamari choice achi






"aap ki yaad aati rahi raat bhar"
chandni dil dukhati rahi raat bhar

gah jalti hui, gah bujhti hui
sham e gham jhilmilati rahi raat bhar

koi khushbu badalti rahi pairhan
koi tasveer gaati rahi raat bhar

phir saba saya e shaakh e gul k tale
koi kissa sunati rahi raat bhar

jo na aaya usse koi zanjeer e darr
harr sada per bulati rahi raat bhar

ik umeed se dil behelta raha
ik tammana satati rahi raat bhar..

from "mere dil mere musafir" (moscow 1978)

ehemm,, kuch yaad aaya,,
aaaapp ki yaaaad
aatiii rahiiii
raaattt bharrrrrrrrrr..
Posted 25 Feb 2005

Doctor Sam says
Sall g
ye kehne ki zaroorat to nahi hey na
k
Bohat achi hey
Posted 25 Feb 2005

Ashii says
Posted 25 Feb 2005










Posted 25 Feb 2005

Doctor Sam says
aor kuch irshaad kerain...
WO wali poem perh ker kuch maza kharab ho gya hey
Posted 25 Feb 2005

Doctor Sam says
aor kuch irshaad kerain... Sall g
WO wali poem perh ker kuch maza kharab ho gya hey
Posted 25 Feb 2005

Ashii says
faiz corner mei sirff FAIZ



woh buuton ne daale hein waswase, k dilon se khauf e Khuda gaya
woh pari hein roz qayamatein, k khyal e roz e jaza gaya

jo nafs tha khaar e gulu bana, jo uthe the haath luhu hue
woh nishaat e aah e seher gai, woh wakkar e dast e dua gaya

jo talab pe ehd e wafa kiya, to woh qadr e rasm e wafa gai
sar e aam jab hue muddaee, to savaab e sidk o safa gaya

from Shaam e Shehr e Yaraan
Posted 25 Feb 2005






Posted 25 Feb 2005

SALL said:

thnx paki n DS

ehemmm,,
hamari choice achi






"aap ki yaad aati rahi raat bhar"
chandni dil dukhati rahi raat bhar

gah jalti hui, gah bujhti hui
sham e gham jhilmilati rahi raat bhar

koi khushbu badalti rahi pairhan
koi tasveer gaati rahi raat bhar

phir saba saya e shaakh e gul k tale
koi kissa sunati rahi raat bhar

jo na aaya usse koi zanjeer e darr
harr sada per bulati rahi raat bhar

ik umeed se dil behelta raha
ik tammana satati rahi raat bhar..

from "mere dil mere musafir" (moscow 1978)

ehemm,, kuch yaad aaya,,
aaaapp ki yaaaad
aatiii rahiiii
raaattt bharrrrrrrrrr..



LOOOooooOOooooOOoooOOoooOOoove Dich One Na Chaaaaaallllllllllllll

And Ahmed Jahanzaib nay to aul bi pyara kar dia ga tal
Posted 25 Feb 2005

"woh pari hein roz qayamatein, k khyal e roz e jaza gaya"

Right     Cool One Chall

Posted 25 Feb 2005

Ashii says
i love that song too,,
but jahanzeb only took the first line,, baki lyrics fark hein

hmmmm... doosri wali bhi mujhe bohoott pasand hai



nice DR,,
hmm,, lemme post a poem by Amjad Islam Amjad,,
ther k
Posted 26 Feb 2005

Doctor Sam says
Sall g aisa kerain
amjad islam amjad ka topic alag bana lain...
i just love his poetry....
i cant express....
Posted 26 Feb 2005

Amjad Islam Amjad Ij My Fav 2 Na I Call Him My Baba Ji

And " Yah Jo Raig-e-Dasht-e-firak Hay" Ij My Fav Poem
Posted 26 Feb 2005

Doctor Sam says
Sall G
most probably
ye ghazal Faiz ki hey

Tum aaye ho na shab-e-intazar guzri hey
Talash main hey Sehar baar baar guzri hey

aap post kerian G
Posted 27 Feb 2005

Doctor Sam says
Khoye ho tum Kahan

Sall G
Posted 01 Mar 2005

Ashii says
yep FAIZ ki hi hai
aaj shaam mei

Posted 03 Mar 2005

Doctor Sam says

Prem katha ka Unt na koi
kitni baar isay dohraien
preet ki reet anokhi sajan
kuch na mangain sab kuch paien
Faiz un se kya baat chupi hey
Hum kuch keh ker kion pachtaien
Posted 03 Mar 2005

Doctor Sam says
Sall g kahan hain aap

no postings aaajkal...

y?
Posted 04 Mar 2005

Ashii says
oupss,,
here i am sam
hum thora sa busy the




tum aae ho na shab e intezar gurzi hai
talash mei hai saher baar baar guzri hai

junoon mei jitni bhi guzri b'kaar guzri hai
agarche dil pe kharabi hazaar guzri hai

hui hai hazrat e naseh se guftagu jiss shab
woh shab zuroor sar-e-kue yaar guzri hai

woh baat saare fasane mei jiss ka zikr na tha
woh baat un ko bohot nagavaar guzri hai

na gul khile hein, na inn se mile, na mai pee hai
ajeeb rang mei ab k bahaar guzri hai

chaman pe gharat e gulcheen se jaane kya guzri
qafas se aaj subah bekaraar guzri hai

from Dast e Saba
Posted 06 Mar 2005

Doctor Sam says
welcum G
Khush Amdeeed

bohat intazar karaya aap ne....

thanx for the ghazal....
Posted 06 Mar 2005

Doctor Sam says
Posted 07 Mar 2005

Reply to Topic