ROYE HAIN BUHAT

6029 views 155 replies
Reply to Topic
Fairl_Girl

Age: 124
Total Posts: 26920
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan

Roye Hein Buhat Tab Zara Karaar Mila He

Is Jahan Mein kise Bhala sacha Pyar Mila He



Guzar rahi hey zindagii Imtehan ke daur se

Ek khatam Howa To Dosra Tayar Mila He



Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal

Gham ka khazana jo isko beshumar mila he



Who kamnasib hein jinhe mehboob mil gaya

Mein khushnasib ho mujhe Intezar mil gaya



Gham nahi mujhe ke Dushman howa yeh zamana

Jab Dost Hathoon Mein Liye Talwar Mila Hey



Sab Kuch Khuda Ne Tum Ko Bhala KaiseyDe Diya

Mujhe To Uske Dar Se Sirf Inkaar Hi Mila hey
Posted 03 Mar 2005


Boht khub




Posted 03 Mar 2005

genius says
Posted 03 Mar 2005

Fairl_Girl says
Posted 03 Mar 2005

Fairl_Girl says
Meray Naseeb Main


Meray naseeb main likha nahi gia tujh ko

Magar main chahti hoon had say bhi ziada tujh ko

Tera hi aks numayan hai meri ankhoon main

Kareeb a k dikhaoon main aaina tujh ko

Mujhay tu teri khushi zindagi say barh kar hai

Khafa hua hai mujh hi say ye kia hua tujh ko

Mujhay tu jagna har shab teray khayaloon main

Jo so bhi jaon tu khwaboon main dekhna tujh ko

Tu chand ban k meray ghar main chandni karta

Magar ruttoon ki ghata nay chupa liya tujh ko

Main janti hoon k tu baywafa nahi hai magar

Kabhi mili hi nahi mohlat-e-wafa tujh ko

Kabhi parhay ga agar tu,too mil hi jaiy ga

Meri ghazal main kahin mera madda tujh ko
Posted 06 Mar 2005

genius says
Posted 06 Mar 2005

paki_fan says
very nice...
Posted 06 Mar 2005

arzoo says
nice
Posted 06 Mar 2005

Fairl_Girl says
nice
Posted 06 Mar 2005

Fairl_Girl says
HUM TU HAIN PARDES MAIN.....!!!



hum to hain pardes mein, des mein niklaa hogaa chaand
apnii raatkii chhat par kitnaa, tanhaa hogaa chaand
hum to hain pardes mein, des mein niklaa hogaa chaand

jin aNkhon mein kaajal ban kar tairii kaalii raat
un aNkhon mein aNsuu kaa ek khatraa hogaa chaand
hum to hain pardes mein, des mein niklaa hogaa chaand


raat ne aisaa pech lagaayaa, Tuutii haath se Dor
aaNgna vaale niim mein jaakar aTkaa hogaa chaand
hum to hain pardes mein, des mein niklaa hogaa chaand


chaand binaa har din yuuN biitaa jaise yug biitein ho
mere binaa kis haal mein hogaa, kaisaa hogaa chaand
hum to hain pardes mein, des mein niklaa hogaa chaand
apnii raatkii chhat par kitnaa, tanhaa hogaa chaand
hum to hain pardes mein, des mein niklaa hogaa chaand
Posted 06 Mar 2005

Fairl_Girl says
Posted 07 Mar 2005

Fairl_Girl says
chahat ke armaan bohat hein
lakin hum nadaan bohat hein

piyar bhi us se kartay hein hum
lakin woh anjaan bohat hein

wo hum ko mil jaata lakin
us pe tu qurbaan bohat hein

kuch jo chahein mil jaata hai
isi liye hairaan bohat hein

us ke dar se uth kar jaana
rastay tu veeraan bohat hein

us jaisa na hoga jag mein
tujhe per ham meherbaan bohat hein
Posted 07 Mar 2005

genius says
Posted 08 Mar 2005

Dua_786 says
very nice
Posted 08 Mar 2005

paki_fan says
Posted 08 Mar 2005

Fairl_Girl says
Aapka saath har kadam pe zaruri hai
Zindagi aapke bina to adhuri hai
phir bhi, hamse hi Ae janab, kyu ye duri hai
Aap hai, to ye zindagi hamari puri hai
Posted 11 Mar 2005

Fairl_Girl says
"Izhar nahi karti......"
      
     
Mein lafzon mein kuch nahi izhar karti
Is ka matlab nahi ke mein tujhsey pyar nahi karti

Chahti hoon mein tujhey aaj bhi magar
Teri soch mein apna waqt bekar nahi karti

Tamasha na ban jaey mohabbat meri
Is liyey apney dard ke namoodar nahi karti

Jo kuch mila hai us mein khush hoon mein
Tere liyey khuda se takraar nahi karti

Par kuch to baat hai teri fitrat mein zaleem
Varna tuhjey chahney ki khata mein baar baar na karti

Posted 11 Mar 2005

genius says
Posted 11 Mar 2005







Posted 11 Mar 2005

Fairl_Girl says
genius said:

Posted 11 Mar 2005

Fairl_Girl says
Ager Hum Dost Hotay Tu
To Karam Ki Inteha Kartay
Tumay Palkon Mein Basatay Hum
Ager Tum Rooth Jatay To
Tumhay Kitna Manatay Hum
Jo Milnay Tum Nahi Aatay To
Aa Kar Khud Tumhan Miltay
Tumhari Laghzishon Ko Bhi
Hansi Main Hum Ura Detay
Ager Apni Khata Hoti
To Khud Ko Bhi Saza Detay
Magar Ye Sab Jabhi Hota
Ager Hum Dost Hotay To
Magar Itna Hi Jana Hai
K Tum Ney Aaj Tak Hum Ko
Paraya Keh Ker Jana Hai
Kabhi Hamdam Naa Ma
Ager Hum Dost Hotay Tu
To Karam Ki Inteha Kartay
Tumay Palkon Mein Basatay Hum
Ager Tum Rooth Jatay To
Tumhay Kitna Manatay Hum
Jo Milnay Tum Nahi Aatay To
Aa Kar Khud Tumhan Miltay
Tumhari Laghzishon Ko Bhi
Hansi Main Hum Ura Detay
Ager Apni Khata Hoti
To Khud Ko Bhi Saza Detay
Magar Ye Sab Jabhi Hota
Ager Hum Dost Hotay To
Magar Itna Hi Jana Hai
K Tum Ney Aaj Tak Hum Ko
Paraya Keh Ker Jana Hai
Kabhi Hamdam Naa Mana hai
Ager Hum Dost Hotay To.....
Aankhain Kuch Zuban Kuch Lab Kia Kuch Keh Jaatay Hain,
Hum Unhain Apna Aur Wo Humhain Ajnabi Keh Jaatay Hain,
Kabhi Tu Suno Seenay Main Chupi Hamaari Us Awaaz Ko,
Hum Jisay Aap..Aur Aap Dheeray Say Dharkan Keh Jaatay Hain
Posted 11 Mar 2005

paki_fan says
Kisi Ki Aankh Jo Pur Nam Nahi Hay
Na Samjho Ussay Ghum Nahi Hay
Yeh Basti Hay Hum Ghumkhuwaron Ki
Yahan Koe Kisi Se Kam Nahi Hay.
Posted 12 Mar 2005

nice_roni says
maiN bhool jaaoon tumhe, ab yahi munaasib hai

i magar bhoolna bhi chaahoon to kis tarah bhoolooN

ke tum to fir bhi haqikat ho koi khwaab nahiN

yahan to dil ka ye aalam hai kyaa kahoon 'kambakht'

bhula saka na ye wo silsila jo thaa hi nahiN

wo ik khyaal jo awaaz tak gaya hi nahin

wo ek baat jo maiN keh nahiN saka tumse

wo ek rawt jo hum meiN kabhi raha hi nahiN

muJhe hai yaad wo sab jo kabhi huwa hi nahiN

agar ye haal hai dil ka to koi samjhaaye

tumhe bhulaana bhi chaahoon to kis tarah bhoolooN

ke tum to fir bhi hakikat ho koi khwaab nahiN

Posted 12 Mar 2005

Fairl_Girl says
Posted 12 Mar 2005

Fairl_Girl says
tumhare bad khone ke liye abb kuch nahi baki

magar khone se darta hoon
na koi rok paeya hai

na koi rok paye ga


tumhain kiss baat ka dar tha

muje beshak jaga detien

main tum ko dekh hi leta

tumhain koi dua deta

kam_az_kam yoon to na hota

mere sath haqeeat hai

main abb sone se darta hoon
mohabbat ki tabiyat main zabardasti nahi hoti

jisse rasta badalna ho usse rasta badalne se

jisse had se nikalna ho usse had se nikalne se

Posted 12 Mar 2005







Posted 13 Mar 2005

paki_fan says
Posted 13 Mar 2005

Fairl_Girl says
nawzesh
Posted 13 Mar 2005

Fairl_Girl says

Kahin Khuwaab Na Tuut Jaaye



Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein
Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga

Khvabon aur Khyaalon Mein
Mera hi Chehra Tarasha Ho ga

Raah Chaltey jo us ko
Mera khyaal Aaya Ho ga

Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chand ko Dekha Ho ga
Jab Saath They to Roz hi Larta Tha Mujh sey

Ab Din Mein so Baar khud peh Bigarta Ho ga
Mail Box Kholtey hi Naam mera Dhondta Ho ga

Aur na Pa ke Mujhey
Aap hi Aap Mujh sey Roth ta Ho ga
Zaror Masrof Hon buhat ya koi Test hai Mera

Tawelein Ghurr ke khud hi Behal Ta Ho Ga
Tanha Sard Raat Mein

Yuon hi Sarak peh Tehaltey Huvey
Khyaalon hi Khyaalon Mein

Haath us ney Mera Thama Ho ga

Phir Kisi Pool ke Nechey Ruk kar
Aankhon Mein Mere us ney Jhaanka Ho ga

Phir Yaqenan

Meri Aankhoon Mein doob Gaya Hoga
Jabhi to Main Ab Aksar

Aankhein Band Rakhti Hoon
Keh Kaheen Woh Bhi Merey Aansoon key Saath

Beh na Jayee

Kaheen Khawab Toot Na Jaye
Posted 14 Mar 2005












Posted 14 Mar 2005

Fairl_Girl says
Posted 15 Mar 2005

Reply to Topic