Junaid’s Poetry (OwN)

7972 views 117 replies
Reply to Topic
junaidrauf

Age: 124
Total Posts: 95
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Posted 21 Apr 2005

Dua_786 says
Posted 21 Apr 2005

junaidrauf says
Thanks
Posted 21 Apr 2005

Dua_786 says
u r welcome
Posted 21 Apr 2005



Good Work Done junaidrauf

I'm going to stick up yours Thread

You've to post yours poetry under one thread ... and that would be great ... for us to read yours poetry under one head.

Read my PM

Posted 21 Apr 2005

junaidrauf says
As u Say ADMIN Thanks
Posted 21 Apr 2005

wafakadard says
nice but its own that not truthful
Posted 21 Apr 2005

wafakadard said:

nice but its own that not truthful


any prove ???
Posted 22 Apr 2005

paki_fan says
really nice juniad
Posted 22 Apr 2005

junaidrauf says
Wafakadard how could u say that its Mine ok
Posted 22 Apr 2005

junaidrauf says
JUDDAI

Barra ajeeb tha sama woh juddai ka
Ansoo Bhari Ankhon se
Dekhna tujh ko
Labon pay jaisse Mohar laggi thi
Alfaz bhi kho gay thy sarry
Jazb kar raha tha mein
Yujh ko apni ankhon mein
Dharkanain Doobny laggi thin
Or Akhri Lamhy mein
Jab hum dono
Apni Apni Manzil ki Taraf chal parry
Mein nay Mur k jo dekha
woh tab bhi
Sar Jhukkaye Ro rahi thi
Posted 22 Apr 2005

junaidrauf says
KABHI JO GUZRO

Kabhi jo guzro meri galli se to dekhna
Aik Saal Khorda sa Makkan
Dhool se atta hoa
Jabaja Deewaron par Deemak laggi hoi
Zang allod Darwazy
Tarakhti hoi Deewarain hongi
Kissi khandar ki Tarhan Wirran
Ibrrat k kissi Nisha ki Tarhan
Aaj bhi kharra hai
Makino ki Talash mein!
Posted 22 Apr 2005

arzoo says
good
Posted 22 Apr 2005

very good.........
if it's urzzzz......
Posted 22 Apr 2005

paki_fan says
Posted 23 Apr 2005

junaidrauf says
Thanks
Posted 23 Apr 2005

Dua_786 says
Posted 25 Apr 2005

RoZeSsMiLe says
SALAM;

VERY NICEE JUNAID JIIII
zabar10
nice post

GOD BLESS U

ALLAH HAFIIIIZ.
Posted 26 Apr 2005

junaidrauf says
Thanks
Posted 26 Apr 2005

junaidrauf says

Yunhi kabhi sochna Beth kar tum mere barry mein
Kabhi Raat k Andheery mein kabhi Din k Ujjaly mein
Posted 26 Apr 2005

junaidrauf says
Yadoon ka abar chayya hai
aaj Ansoon ki Barsat hoggi

Janny gum hoye kahan woh Chehrry
Najany aab unn se kahan Mullaqat hoggi

Kiya aab bhi Darwazy se Jhankta hogga woh Chehrra
Kiya aab bhi uss ki wohi Nigah-e-altafat hoggi

Kash mill jayien woh sab Log Mujhy
Kiya Patta aab Baqi kitni meri Hayyat hoggi
Posted 26 Apr 2005

junaidrauf said:


Yunhi kabhi sochna Beth kar tum mere barry mein
Kabhi Raat k Andheery mein kabhi Din k Ujjaly mein





Qafiya .... barry = Ujjaly

quite hard to match ... like ... bar"ry" and Ujja"ly".

but nicely end up ...

Qafiya nay kafi cover kiya hay ...

Posted 27 Apr 2005

junaidrauf said:

Yadoon ka abar chayya hai
aaj Ansoon ki Barsat hoggi

Janny gum hoye kahan woh Chehrry
Najany aab unn se kahan Mullaqat hoggi

Kiya aab bhi Darwazy se Jhankta hogga woh Chehrra
Kiya aab bhi uss ki wohi Nigah-e-altafat hoggi

Kash mill jayien woh sab Log Mujhy
Kiya Patta aab Baqi kitni meri Hayyat hoggi




soach achi hay

2nd last shair is best.

consider length.

and if you really want to write nice Ghazals

do concentrate on ...

Matlaa and Mqtaa ..

MERAI SOACH K SAFAR KI NA-JANY KAB RAAT HOGI
YADEIN AYEIN GI PURANI , NAYE BARSAAT HOGI
Posted 27 Apr 2005

ohhh ho WOL jee tusi vi shair ho........


main shair tu nahi mgar AEY HASIN
AGAY LINEZ MUJHAY ATTI NAHI.......
Posted 27 Apr 2005

cutefriend says
ha ha ha ha
Posted 28 Apr 2005

Queen of jb said:

ohhh ho WOL jee tusi vi shair ho........


main shair tu nahi mgar AEY HASIN
AGAY LINEZ MUJHAY ATTI NAHI.......



lol bas bas aap kay shair ki pehli line parh li ..... "main shair..... """" HASIN"""" "

wohi kafi hay .. thanko thanko :)

baqi mein hoon na...

rite... shair tu nahi hum but shairi ki sooojh boojh hay thori

wasay shair mera apna hi tha :) awein hi likha giya

Posted 28 Apr 2005

junaidrauf says
Thnaks WOL mujhy khud bh yeh Ghazal achi nahi lagti bas Khayyal acha hai iss ka warrna Lenght sahi nahi hai Thanks WOL ainda bhi Comments dayty rehna
Posted 29 Apr 2005

junaidrauf says
Zindagi na Ban jaye Azab dekhna
Tum Apne Aap ko MereBaad dekhna

Dhondho gay Panah kiss k Bazoon Mein
Bohat Akeela tum apne aap ko Mere Baad dekhna

Naz hai jin Khaloos par tum ko bohat
Unn k Tewar tum mere Baad dekhna

Lamhon ki Tarhan hai Din aaj laikin
Sadiyon par Muhit din tum,Mere Baad dekhna

Yeh 2 Ankhain hai Missl-e-Qandil magar
Apni Ankh k Ansoo tum mere baad dekhna
Posted 02 May 2005

very nice poetry ji..

Posted 02 May 2005

junaidrauf says
Thanks Ji!
Posted 02 May 2005

junaidrauf says
Mausam-e-Gul Chala na jaye kahin
Zindagi yeh Badal na jaye kahin

Mil gaya hai mujhy jo Qismat se
Bheer mein woh bhi kho na jaye kahin

Ban gay hain jo Naqsh Dil pay mere
Waqt inn ko Mita na jaye kahin

Raiza Raiza mujhy tu Kar k Sanam
Yun Fiza mein urra na jaye kahin

Khud se Manoos kar k itna mujhy
Tanha mujh ko tu Kar na jaye kahinjunaidrauf38476.6271527778
Posted 03 May 2005

Reply to Topic