Age: 124
7273 days old here
Total Posts: 95
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Tum Kahti ho k Masroof karloon Khud ko Kissi Kaam mein Duniya k Tam Jham mein Kiya Samjhti ho aissa nahi kiya hogga mein nay? Mein nay jo Kama bhi kiya uss mein tumhain Paya Har Awaz mein Tumhain Goonjta Paya Bohat Chaha Ji ko Bahlana Magar Bay Bas apne aap ko Bohat Paya Sochon par apni Pehry Laggay magar koi Faida nahi Hawa k Jhonkon ki Tarhan hoti hain Yaadien Hawa pay kiss ka Zor chalta hai Bhala Jab Ubharti hai Teri Tasveer Dar-o-Deewar par To Tum he Battao kiya karoon mein Jab Apne he Wajood mein Tera He AKS dekhoon Jab Apni he Sansoon se Teri Mehak aye Jab Dharkain Tera he Naam Pukkarain Jab Nas Nas mein Tera Pyar Dorta ho To tum he Battao JANNA! Mein yeh Kaisse na kahoon K MERE DIL PAR MERA ZOR NAHI!
Age: 124
7273 days old here
Total Posts: 95
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Khwabon ko Sanbhak Rakhna Dekho kahin yeh Tot na jaien Jo Khwab Mil kar dekhy hain Woh Qeemti hain Bohat Nazuk bhi hain Bohat Inn Khwabon ko Sach karna Baqi hai abhi Mohabbat ko Ammar Karna Baqi hai abhi Dekho Abhi Mushkilain Bohat Aaien gi Toofan Uthaingay Andhiyan bhi bohat Aaiengi Tum Inn Mushkilon se Magar Ghabrana nahi Khwabon ko sach karna Asan nahi Itna Bas Mujh par Yaqeen Rakhna Tera Yaqeen he Mujh ko Dayta hai Agy Barhna ka Hosla Tujh ko Pany ki Chah mein Barhta jata hoon Mein Yeh Khushi Dil mein Liye K Manzil pay Tu Banhon k Har liye Tu Swagat karryga mera Mein Takkan sari Bhool kar Chupa loonga khud ko Teri Aghosh mein
Age: 124
7273 days old here
Total Posts: 95
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Tu Bhi Agar na mila to kiya hogga? Ik naya Zakham milyga Ik Naya Dard hogga Ik Kasak Dil mein or rah jayegi Yeh Zindagi to Rog ban jayegi Maut ho Naseeb aissa kahan Mera Muqadar Khudkushi karny ki Himmat kahan mujh mein Jeena to parry ga Laikin Yehi Sochta hoon Mein k Zindagi kaisse Basar hoggi Najany Sham se kaisse Sehar hoggi Han magar Dard ki na koi Kami hoggi Ankh mein Ansoon ki Nami hoggi Sukoon to milyga nahi phir kahin DIL par bany Naqsh Mit tay nahi yunhi Yaddien bhi Sanson k Saath Saath Chalti hain Kiss Qadar Aziyat or Kitna Karb Hogga Meharban jany kab Mera RAB hogga Kab Millien gi Rahatain Jeevan mein kab Sukoon hogga Tu to Bhool jayegi Mujhy hai Yaqeen Nai Duniya mein Gum hokar Milly ga Pyar to Nikhar Jayegi Zindagi teri to Sanwar jayegi Dhundhla Jayega Yaddoon ka Aainaa Waqt ki Dhool urry gi Jab Tujhy Fursat milly gi kahan k Beety lamhoon ko Yaad karry Waqt Apna Barbad Karry Teri APni Zindagi hoggi Har Taraf Khushi hoggi RAB tujh par Meharban hogga Tere Sar par to SAIBAN hogga Han mein magar rahoonga Yunhi Sada Bay Sukoon,Bay Asra!
Age: 124
7447 days old here
Total Posts: 2288
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
mashallah sei kya baat hai app ki poetry ki janab.... kya app mujay apni shagirdi mai lena pasand kareen gey ?? asal mai mujay shook hai magar woe kya hai na kay wazan nahi paeda ho raha sheroon mai.......kuch help mil sakti hai ess baray mai ?
kuch namukal ghazals paeshei khidmat hai ..meharbani farma kay kuch eslaah tu kaar dejeyee
NA ROOK SAKI KAY DOOB JANAY KAY DIN HAIN KISI KAY AAJ HOSH URADANAY KAY DIN HAIN
SUNG RAHAY APNAY NA CHAND NA TARAY KISI KO AJJ PHIR AAZMANAY KAY DIN HAIN
NA SHIKWA KEA, JO TOOTA HUM SEI DIL USSI MEHJABEEN KO MANANAY KAY DIN HAIN
KEYA QAIS KO ZAMANAY NEIN RUSVA ZAMANAY KO RUSVA KARANAY KAY DIN HAIN
TAPTI ZAMEEN PAAR RUKHAY HIAN SIR KHAAK GARDISHOON KI URDANAY KAY DIN HAIN
LUGI HUM PAY TUHMAT JAFAOON KI freddy JIGAR APNA CHALNI DEKHNAY KAY DIN HAIN
Tareef apni ka taleeb nahi hoon mai sher kehta hoon ,shayer nahi hoon mai dhondatay hain meray sheroon mai wazan koi en ko batlayee bheya,ghalib nahi hoon mai suna jo mujay,niklay mir o ghalib kabar sei elaazm hai muj pay,ghoorkan nahi hoon mein
machalti hansi ko yun tera kaboo karna kabi chasmay-mehgoon(nasha avaar aankh) ka ro-baroo karna
mileen gey qayamt mein muskura kay tera kehna woe mera haar rooz qayamaat ki aarzoo karna
dekhana yun jalway bana kay bahanay woe mera deed ki justagoo karana
Age: 124
7447 days old here
Total Posts: 2288
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
aik tu tum nein bolayaa ore hum nahi ayay :( upaar sei itni hoyee petayee kay abaa yaad ayee mara hasenoon nein jutay badal badal kay kasoor tha sirf itna hehehe aab tumheen kya batayeen.
bachayaa na kisi nein muj masoom ko pitnay sei rootay rahay ,pitTay rahay detay rahay dohayee choot lugi hai kuch ayesi he juga paar.... sharam aa rahi hai lagatay hoyee davayee....
end mein mukta aarz hai
yaad tumheen kartay hain aksaar sanam.......phir sochtay hain tum toe ho he parayeee
khuda ki rehmaat pai hai bharosa hameen.....kabi tu metay gi teray dil sei seyahee.
Age: 124
7273 days old here
Total Posts: 95
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Faradiya ji kiya baat hai aap ki mujh Nacheez se aap yeh kehti hain k Apni Shagirdi mein lay laien humain aap ki Poetry Masha ALLAh bohat achi hai aap aissa Kah kar hum ko Sharminda na karien bal k aap hum ko apni Shagirdi mein lay lijye.
Age: 124
7273 days old here
Total Posts: 95
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Mera Tujh pay koi HAQ to nahi Phir bhi Magar! Yeh Chahat hon k Mere Saath tu rahy Zindagi Bhar Yeh Safar mill kar tay Karien Faslon ki Hum Parwah na karien Aik Doojy ko dekhty hoye Sapny Nay Bunty hoye Duniya ki Parwah na karty hoye Apni Khushi se Jiyen Iss Bay Rang Zindagi mein Khushiyon k Rang Bharain Har Khauf ko mita kar hum Bas Pyar ki Battien BAS PYAR KI BATTIEN KARIEN!
Age: 124
7273 days old here
Total Posts: 95
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
"Apni Ankhon mein UmeedoN k Deep Jallaye Kab se Betha hon teri Rah par k Shayyad kabhi tu aye Meri Zindagi Sanwar jaye Mein bhi phir GaoN Mohabbat ka Tarana Bhool jaoN mein yeh Gham ka Fasana Bhula kar Zamany k har gham ko Lgalon Gally se mein Humdum ko Honton se Hont phir Baatien karien Hum tum mill kar Pyar ki Baatien karien Apni Ankhain Moond kar So jaon teri Aghosh mein or phir kabhi JagooN na Neend se! Aao aab a bhi jao Sapan mera yeh Sach kar bhi jao AAO!!!!!!
Age: 124
7273 days old here
Total Posts: 95
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
"TERE CHEHREY PAR PHELI HOI HAIRRAT Ankhon ki Hairrani Mera Deewangi se Dekhna tujh ko Taktty rahna bus tujhi ko Tera Honton ko Sakorna Kabhi mon ko Basorna Ajeeb Andaz tha Mulaqat ka Woh bhi Yun lagtta tha 2 Ajnabi mily hon jaisse Magar~! Waqt-e-Rukhsat ka woh Walihana paan Nihal kardayta tha Rooh ko Kainnat Simatti nazar atti thi Zindagi bari Haseen nazar atti thi Kaal tak kay liyan tujh se Bichar kar Jiyen gay kaisse Yehi Sawal uthta tha Dil main bar bar Lagta tha jaisse Nabz tham jaye gi Yeh Sa atain phir na aiengi Zindagi magar phir millati thi hum ko Khushi se Hamkinar kartti thi Yumhi Park ki Beanch par beth kar Taktta rahta tha ek Tak tum ko Kiss qadar acha lagtta tha Teri Ankhon main Jhankna mujh ko Acha lagta tha Zindagi ko tujh se Bantna mujh ko Masnoi Jheel kay kinarry hatton main hath dal kar Ghomna Zulfon ka woh tere Galon ko Chomna AH!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! Magar aab towoh chin gaya sab kuch Tu hai kuch or main bhi or Kuch Faqat Yadoon ka Azab Apne sar par Utthaye phir raha hon main Yunhi na janny samny ki Beanch par bethy Jorry ko dekh kar agaya Mazi yaad mujh ko Woh bhi Yunhi Duniya se Baigany ek Dosrry ki Chahat main Deewane Bethy thy najany kab se Yadoon ko Jhattak kar main chal diya wahan se Yeh DUA kartta hoa kay YARAB!!!!!!!!!! Phir se na 2 Dilon ko Torna Phir kissi ko kissi se Judda na karna!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Age: 124
7442 days old here
Total Posts: 6204
Points: 0
Location:
United States, United States
sukria janab
Tute hue pehmane per jaam nahi aata ishq ke mareez ko aaram nahi aata ehhh dil todne wale tune yeh to socha hota ki tuta hua dil kissi ke kaam nahi aata.