Kya aap jantay hain k “namak haram” “namak halal” ya phir “namak khana” jaisay mohawaron k peechhay kya haqeeqat hai?
Qadeem Yunaan aur Miser k tajir pehlay zamanay main tijarat ziada ter Namak k zariye kya kerta thay . Jab who Ghulamon ki khareed o farokht kya kertay to badlay main namak mangtay. Lihaza ghulamon ka lain dain namak k badlay main hota issi liye to kaha jaat ahain k main nay aap ka namak khaya ya namak halal kerna waghaira. Word "Salary" bhi Salt hi say bana hai.
KODIYAN
Urdu zuban main akser aik jumla ya mohawara bola jata hai k “do kodi ka nahin”.kabhi aap nay ghour kya hai k derhaqeeqat KODI kya cheez hai? Der asal yeh white ya yello colour ki porsileen numa 1cm-3cm ki SEEPI hoti hai. Kodiyun kay istamal ka aghaz qadeem Cheen say hua jahan kodiyan raqam k tor per istamal hoti theen. Ibtadaye Cheeni zuban main paisay ko KODI hi ki shakal di jati thee.India say wapsi per Tajir yeh Seepiyan apnay saath apnay mulak lay aaye jo baad main west afreeqa tak pohanch gaye. Afreeqa k baaz areas main yeh seepiyan 20th century k mid tak istamal hoti rahi.
Age: 124
7773 days old here
Total Posts: 26285
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
COINS YA SIKKAY
Asia e Kochak ki aik qoum “Lidains” , Sikkay ya Coin ki Moajad (inventer) hai. Yeh sikkay, “Electrum” , jo sonay aur chandi ka aik natural mixture hai, say banay hotay thay. In sikkon ka riwaj taqreeban 500-640 BC main tha. “LIDIYA” kay badsha “ KROSIS “ jo kah 546-560 BC main hakoomat kerta tha, nay sonay kay sikkon ko mutarif kerwaya. “KROSIS JAISA RAEES” aik qadeem kahawat hai jo is hukmaran say munsalik hai.
Age: 124
7773 days old here
Total Posts: 26285
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
KAGHZI NOTE KI AAMAD
Amlee tor per KAGHZI NOTE ka aghaz “Cheen” main 1000 saal pehlay hua lakin yeh note qabil e qabool nahin samjhay gaye. Saal 1294 main aik baar phir “Persia” main in ka istamaal shuroo hua. Iss marteba bhi yeh moaashi tabahi ka bais banay. 17veen sadi kay aakhir main “Sweedan” kay aik banker “Yuhan palm stroke” nay KAGHZI NOTE aik baar phir mutaarif kerwaye. Akhir kaar kaghzi noton nay roz marrah zindagi main apna muqaam bana liya. Mojooda zamanay main Currency nay aik naye shakel ikhtiyaar ker li hai……