MOhabbat kya hai??????????

13944 views 227 replies
Reply to Topic
Rapunzel

Age: 124
Total Posts: 51848
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
kya hamari mohabaat kisi ko badal sakti hai?????????








Agar mohabbat mein sachai na ho tu kay wo mohabbat hai????????????
Posted 14 Apr 2006

Piyaar hur cheez ko badal sakta hae, piyaar mae bohot attraction hota hae.

Ager sacha piyaar nahee hae, to I will call this an infatuation, lakin piyaar hur tarhan ka sacha hi hota hae, it's all about feelings, and feelings can never lie to you!
Posted 15 Apr 2006

Bazigaar says
halwa hae sab halwa
Posted 17 Apr 2006

Rapunzel says
lolz
haan waai everyting is a puzzle

n love is a great puzzle
Posted 17 Apr 2006

Ayesha says
kis bala ka naam hay?
Posted 17 Apr 2006

Rapunzel says
donnt knowwwwwwwwwwwwwwwww
Posted 18 Apr 2006

Virdan says
Muhabbat woh lazawl aur afaaqi jazba keh jis per sawar ho jaiy usay dunya o akhirat se begana kar de usay apna aap bhi faramosh kar dainay per majboor kar de.

aisay lafani jazba keh jis ki tapish k samnay sab chhotay par jaain jis ki mojoodgi mein rayakari aur hasad aur hawas ka nam o nishan na ho kiyon keh agar yeh mojod hon gay to surely muhabbat ka wajood nahee ho ga.

no doubt Muhabbat kisi ko sudhaar sakti hay aur bigar bhi sakti hay yeh muhabbat ki ajab shan hay keh woh jis tarah chahay rukh kar jaaiy magar muhabbat mein bigarnay k 1% aur sudharnay 99% chances hotay hain bashart e keh us mien khaloos ho sachai ho kiyon keh jis mein khaloos na ho sachai na ho woh muhabbat hoti he nahe woh to dikhawa hotahay hawas hoti hay.

Allah Tala hum sab ko apni hifz o aman mein rakhein aur Muhabbat k afaaqi jazbay se us ki haqeeqi sachaiyo k sath roshnaas karwaain chahay mijazi ho ya haqeeqi ameen
Posted 19 Apr 2006

Rapunzel says
Ameen

thanxx 4 sharing such nice ideas wid us dear brother
Posted 20 Apr 2006

Virdan says
Summa Ameen
Allah Tala hum sab per apna fazal farmaain aur hamein sirat e mustaqeem per chalnay ki tofeeq dein ameen
Posted 23 Apr 2006

Gauri Khan says
Muhabbat say kuch bhi badla ja sakta hai bus insaan ko sabit qadam rehnay ki zaroorat hai. Allah bhi insaan ko muhabbat ki taleem deta hai jaisay k Allah nay bar bar farmaya hai kay wo apni makhlooq say muhabbat karta hai. isi tarha un logoon ko pasand karta hai jo us kay mehboob ko mehboob rakhain waghaira.

And the last thing i want to say is that,
Zameen per agar koee aasmani cheez safar main hai to wo Muhabbat hai.


Muhabbat aisa darya hai k barish rooth bhi jaay to pani kum nahi hota
Posted 24 Apr 2006

Virdan said:

Muhabbat woh lazawl aur afaaqi jazba keh jis per sawar ho jaiy usay dunya o akhirat se begana kar de usay apna aap bhi faramosh kar dainay per majboor kar de.

aisay lafani jazba keh jis ki tapish k samnay sab chhotay par jaain jis ki mojoodgi mein rayakari aur hasad aur hawas ka nam o nishan na ho kiyon keh agar yeh mojod hon gay to surely muhabbat ka wajood nahee ho ga.

no doubt Muhabbat kisi ko sudhaar sakti hay aur bigar bhi sakti hay yeh muhabbat ki ajab shan hay keh woh jis tarah chahay rukh kar jaaiy magar muhabbat mein bigarnay k 1% aur sudharnay 99% chances hotay hain bashart e keh us mien khaloos ho sachai ho kiyon keh jis mein khaloos na ho sachai na ho woh muhabbat hoti he nahe woh to dikhawa hotahay hawas hoti hay.

Allah Tala hum sab ko apni hifz o aman mein rakhein aur Muhabbat k afaaqi jazbay se us ki haqeeqi sachaiyo k sath roshnaas karwaain chahay mijazi ho ya haqeeqi ameen




HAQEEQI is better......

Posted 25 Apr 2006

Xtreme says
Umm U mean love, Love is what i have for my 4 year old niece Laiba Khan !!
Posted 25 Apr 2006

Virdan says
Queen of jb said:

Virdan said:

Muhabbat woh lazawl aur afaaqi jazba keh jis per sawar ho jaiy usay dunya o akhirat se begana kar de usay apna aap bhi faramosh kar dainay per majboor kar de.

aisay lafani jazba keh jis ki tapish k samnay sab chhotay par jaain jis ki mojoodgi mein rayakari aur hasad aur hawas ka nam o nishan na ho kiyon keh agar yeh mojod hon gay to surely muhabbat ka wajood nahee ho ga.

no doubt Muhabbat kisi ko sudhaar sakti hay aur bigar bhi sakti hay yeh muhabbat ki ajab shan hay keh woh jis tarah chahay rukh kar jaaiy magar muhabbat mein bigarnay k 1% aur sudharnay 99% chances hotay hain bashart e keh us mien khaloos ho sachai ho kiyon keh jis mein khaloos na ho sachai na ho woh muhabbat hoti he nahe woh to dikhawa hotahay hawas hoti hay.

Allah Tala hum sab ko apni hifz o aman mein rakhein aur Muhabbat k afaaqi jazbay se us ki haqeeqi sachaiyo k sath roshnaas karwaain chahay mijazi ho ya haqeeqi ameen




HAQEEQI is better......


HAqeeqat hamaisha he behtar hoti hay magar haqeeqat ka samna har kisi k bus mein kaha hota hay queen. hope u will understand what m i saying
Posted 25 Apr 2006

Rapunzel says
nice n extreme
Posted 26 Apr 2006

Virdan says
Thanks sweet sister
Posted 27 Apr 2006

Rapunzel says
so mohabbat aik rishta hai agar ye mohabbat Allah se karien tu wo hamein is ka respose behtaren dein gay aur ager bandoon se karein tu bhi ye aap ki luck pe depend kerta hai k wht will his/her response
Posted 03 May 2006

Virdan says
Luck se barh kar i think aap k jazbay ki shiddat per aur ikhlaas per depend karta hay keh aap ko badlay mein kaya milta hay hijar ya wasal aur dainay wala to WOHI Khuda hay na jo sab se behtar jan.nay wala hay so shikwa to hona he nahee chahyay although hum baaz phir bhi nahee aatay
Posted 04 May 2006

Rapunzel says
haan bhai aap ki baat sahih hai
Posted 04 May 2006

cutegirl says
haan mohabbat kisi ko bhi badal sakti hai
kyunki pyar mein insaan wo sab kuch karta hai jo wo waise nhi karta.
Posted 04 May 2006

Rapunzel says
hmm mmmmm
Posted 05 May 2006

haan bilkul badal sukti haiii
ager wo muhabbat sachii ho to
but piyar kary to tum say kary
jaisay hoo waisay kary
jo badal ker kary wo piyar nahii soda kary
rapunzel said:

kya hamari mohabaat kisi ko badal sakti hai?????????








Agar mohabbat mein sachai na ho tu kay wo mohabbat hai????????????

Posted 06 May 2006

Rapunzel says
hmm soda
Posted 06 May 2006

lolzz haan wo milti hain na bottles soda ki ahahahha

Posted 07 May 2006

hmmmmmmmmmmmm mohabbat k baray me har insan ki apni soch hoti hai.kisi k lia zindgi kisi k liya is k koi mayni nahi hotay.

aur agar pyar k lia ap apany ap ko badal bhi lo to is me kia buri hai haan agar woh badlao ap k lia bhi positive hai to.aur zarrori nahi hota jis say ap pyar kero us me sari woh qualities ho i mean ideal milna buhut mushkal hota hai aur waisay bhi jin say ap pyar kertay ho un k lia ap apnay ap ko thora buhut badal bhi lo to ap ko he khushi hoti hai is lia pyar k lia apnay ap ko badlna koi ghalat to nahi hai.har insan ki soch alag hoti hai agar kabhi menay kisi say pyar kia aur agar usay mujhe me koi change chaiyea ho ga to i vil do that kynk uski khushi me meri khushi ho gi.
Posted 08 May 2006

veer_zaara says
WELDONE
samreen malik whatever usa id i agree . u know y coz
pyaar qismat walo ko milta hain
every one doesnt deserve sacha pyaar and whoever has found real love . goodluck for them .may ALLAH make them happy forever
Posted 08 May 2006

Rapunzel says
heart_hacker said:

lolzz haan wo milti hain na bottles soda ki ahahahha



mohabbat mein sodda kahan se aaya
Posted 08 May 2006

Rapunzel says
samreen malik said:

hmmmmmmmmmmmm mohabbat k baray me har insan ki apni soch hoti hai.kisi k lia zindgi kisi k liya is k koi mayni nahi hotay.

aur agar pyar k lia ap apany ap ko badal bhi lo to is me kia buri hai haan agar woh badlao ap k lia bhi positive hai to.aur zarrori nahi hota jis say ap pyar kero us me sari woh qualities ho i mean ideal milna buhut mushkal hota hai aur waisay bhi jin say ap pyar kertay ho un k lia ap apnay ap ko thora buhut badal bhi lo to ap ko he khushi hoti hai is lia pyar k lia apnay ap ko badlna koi ghalat to nahi hai.har insan ki soch alag hoti hai agar kabhi menay kisi say pyar kia aur agar usay mujhe me koi change chaiyea ho ga to i vil do that kynk uski khushi me meri khushi ho gi.




nice ideas
Posted 08 May 2006

veer_zaara said:

WELDONE
samreen malik whatever usa id i agree . u know y coz
pyaar qismat walo ko milta hain
every one doesnt deserve sacha pyaar and whoever has found real love . goodluck for them .may ALLAH make them happy forever


AMEEN and thanx
yeah u r rite sacha pyar unhi ko hasil hota hai jo pyar ka matlab jantay ho.likin zarrori nahi hota khe ap jis say pyar kero usi k sath ap sari umer raho.meray mana hai khe insan apnay pyar say door reh ker bhi us k sath wafa ker sakta hai
Posted 09 May 2006

thanx rapu
Posted 09 May 2006

Rapunzel says
its ok dear
Posted 09 May 2006

Virdan says
Pyar to sada se he sacha hota tha aur hay yeh to hum log isay sacha jhoota kar daitay hain. Nice Comments Samreen Malik.

Laikan ik baat kaho yaad rakhiyay ga insan jo kuchh karta hay apnay liyay karta hay maira matlab yeh nahee hay keh kisi ki khushi k liyay kuchh nahee karta bal keh maira matlab hay keh woh kisi k liyay bhi jo karta hay infact us mein usi ka faida hota yani woh apnay liyay he karta aur aisay lamhay yeh nahee kehna chahyay keh mein ne yeh apnay pyar k liyay kiya hay ya kisi k liyay kiya hay bal keh samajhna aur jan.na chahyay keh yeh to khud us ne apnay liyay kiya hay apnay pyar4 k liyay kiya hay mean apni khushi k liyay he kiya hay na kiyon k us ki khushi us k pyar ki khushi hay to apni zaat ki pehchaan k liyay zaroori hay keh hum apni zaat k khol se bahir aa kar khud ki pemaish karein aur dosro ko is ka moqa dein.

Allah Tala hum sab ko khud ko jan.nay ki tofeeq dein ameen
Posted 10 May 2006

Reply to Topic