fav songs

2887 views 84 replies
Reply to Topic
mmja

Age: 124
Total Posts: 3835
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
my all time fav songs
1=zindge ka safar hai yeh kesa safar
koi samhga nahin koi jana nahin
hai yeh dagar chlatay hain sab magar
koi samgha nahin koi jana nahin
2=zindge pyiar ka geet hai
isay har dilko gana padrayga
3=yeh doste hum nahin todrayngay
todrayngay dum magar tera sath na chodraygay
4=dilka alim main kyia batyion tguhay
aik cheray nay boht pyiar say daykh mughay
5=tere rahon say tere bahon say youn na jayionga main
mera wadah hai yeh iarda hai loot ayionga
yours?
Posted 06 Nov 2006

mmja says
aazar film ki saari Gazals bahut achhi hein.
Aur film bhi dekhne layak hei.
yar kafi arsa pehlay daykhi thi sahi tarahn yaad bhi nahin or songs bhi nahin hain melay pach
Posted 23 Nov 2006

sun_shine says
mehdi hassan sahab ka ek interview dekha tha kuch months pehlay.unki health achi nahi thi.
yaa "raat ki hathaili per" yeh song kaafi acha hain.
bazaar film maine nahi dekhi aur na koi gaana suna hain is film ka.
yaa abhi poetry cafe main dekhti hoon.
Posted 23 Nov 2006

mmja says
mehdi hassan sahab ka ek interview dekha tha kuch months pehlay.unki health achi nahi thi.
yeh to hai kafi serious had tak kharab hai
aik or evergreen song
YEH DOSTI HUM NAHIN CHORANYGAY
TORANGAY DUM MAGER TERA SATH NA CHORAYNGAY
TERI JHEET MERI JHEET TERI HAR MERI HAR
OH MERAY YAR
JAN PAY KHAYLAYNGAY HAR GHUM JHELAYNGAY
TERAY LIAY MERAY YAAR
shayed thora ghal likh deyia ho
Posted 24 Nov 2006

sun_shine says
teri jeet meri jeet
teri haar mei haar
aisa apna pyaar
jaan se bhi khailaingay
tere liye lai laingay
sab se dushmani
yeh dosti

yeh bhi acha song hain.friendship pe mujhay jo song pasand hain wo hain

"yaari hain emaan mera yaar meri zindagi"
and "yaaron dosti bari hi haseen hain"
aapko yeh songs kaisay lagtay hain.
Posted 24 Nov 2006

danie says
S-S ji this song (yarri hei..) is one of all time hit songs. offcourse very nice one.

On the topic of dosti I remember one song which we (me and my 6 friends, was very popular gang in our collage) sung on the stage together with hands in hands in the farewell fuctiion, when we were leaving the collage.

Bane Chaahe dushman zamaana hamaraa..
Salaamat rahe dostaana hamaara..

We sung this song for 20 minutes atleast and one antara
(I don't remember the wordings exactly now) we repeated 3 times was..

(first 2 lines r missing.....)
Pataa koi pooche to kahte hein hum..
ki ik-duje ke dil mein rahte hein hum..
hei bas yehi aashiana hamaara..
Salaamat rahe dostaana hamaara.

It is really nice to recall those days.
The best years of my life.
Posted 25 Nov 2006

mmja says
yaari hain emaan mera yaar meri zindagi"
and "yaaron dosti bari hi haseen hain"
aapko yeh songs kaisay lagtay hain.
firs wala bhi acha hai lakin mughay second wala zeyiada pasend hai zabardast song hain aray koi paki song bhi likh do
yaro yehi dosti hai kismat say jo mili hai
Posted 27 Nov 2006

sun_shine says
yaro yehi dosti song by junoon buhat khoobsurat song hain.
Bane Chaahe dushman zamaana hamaraa..
Salaamat rahe dostaana hamaara..
Danie jee yeh song bhi kaafi acha hain.i think college ka zamana insaan ki zingadi ka buhat khoobsurat daur hota hain.
Posted 27 Nov 2006

mmja says
lakin parna bhi parta hai
dewanay chelayn jab sath to ban jaye bat
nahin ab dor hai manzil pas to ayio meray yar

yeh jo mohabat hai yeh unka hai kam
mehbob ka jo laytay huway nam
mar jayen mit jayen ho jaeyn badnam
choro do rehnay do janay do yar
humna karanyay pyiar
Posted 28 Nov 2006

sun_shine says
parhna parta hain laikin sirf exams ki raat ko.baki saal to masti hoti rehti hain,waisay main nay pehli baar dekha kay koi ladka parhai ki fikar karta hain.warna aksar to parhai ka naam sun kar bhaag jatay hain.
Posted 28 Nov 2006

mmja says
aray pehlay mera bhi yehi hal tha lakin ab parna parta hai regular kyia karayn main to azab main phas geyia hon mughay nahin parna na
Posted 30 Nov 2006

sun_shine says
nahi i think education must hain.aap achi education haasil karaingay to tab hi aap ko achi job milag ge.
Posted 30 Nov 2006

mmja says
yehi to masla hai ager achi job na mili to life bekar hai or uskay liay parna parayga woh bhe dheer saraso sad na
Posted 01 Dec 2006

sun_shine says
parhna to must hain aur parhai karna bhi mushkil hain.
Posted 01 Dec 2006

danie says
Mere khayal se collage ki life khaali
parrne mei hi nahi guzar deni chahiye.

Jindgi mei aur bhi gam hein parrai ke siva.

Collage life mei sabse jyada zarroori hei
Time-Management. It is upto u how u manage ur time.

Parrai ko hawwaa nahi banaa lena chahiye.
Must take it easy. Cool aur Easy rahkar thorre time mei
jyada parra ja sakta hei. Ratte marna is not parrai.
Kai Baar Doston ke saath discuss karne se concept jyada clear hota hei.
Posted 01 Dec 2006

mmja says
yara yehi to masla hai concept clear karnay say bhi pehlay parna parta hai or discusion to usi barayn main ki ja sakti hai jiskay baray main pata ho wesay har jaga to nahin lakin kaye dafa rata zeyiada behter hota hai concept say
wesay hum boys esay hi badnam hain hamari class main top ten students main srif 2 hi larkyian hongi mushkil say
Posted 02 Dec 2006

sun_shine says
nahi i think mainay buhat boys dekhay hain jo kaafi parhai kartay hain.
insaan ko parhai k saath saath life bhi enjoy karni chahiye.
Posted 02 Dec 2006

danie says
Agreed with Sun-Shine. Mei ye life Guzaar chuka hoon. Mei apne experiance se kah sakta hoon ki Life mei parrai ke alawa bhi esi kai baten hein jo pay karti hein baad mein.

Mein ne 20 years ki age mein graduation complete kar liya tha aur chance mil gaya to Dubai nikal gaya tha. 4 saal DXB mei tha aur ab 5 mahine se China mei hoon.

Ye calculation hui sirf 6 saal ki. (now I am 26)
Lekin in 6 salon ke experiance se mei kah sakta hoon ki parrai ke alawa insaan ko aur kai baaten pay karti hein. Agar parrai ko hi base banana hei to you must be in over 90% marks range.

Mein aaj aese bahut se logon ko janta hoon jo apni life mei parrai mei kabhi achhe nahin rahe lekin apni practical life mei bahut sucsess kahe ja sakte hein.

Aur kuch ek mere classfellow jo 90% ke uuper ki range mei rahte the aaj bhi mamuli naukri kar rahe hein.
So I want to say ki life mein vo hi sucsess nahin hei jo bahut jyada parrte hein. Vo log generally aapko apne se kam parre likhe logon ki naukari bajate hue hi dikhenge.     
Posted 03 Dec 2006

sun_shine says
yaa
achi job to unki kismat hain.wah aap ne 20 saal ki umr main graduation kar li.
yaa kabhi aapki education buhat achi hoti hay per aapki job us lihaaz se koi khaas nahi hoti jabkay kabhi aapki education koi khaas nahi hoti per aapki job kaafi achi hoti hain.
yaa life ko enjoy karna chahiye per khud bhi enjoy karay aur doosron ko bhi enjoy karnay day.
mainay apni college life buhat enjoy ki aur parhai bhi average huee.
Posted 04 Dec 2006

danie says
Meri collage life bhi bahut achi thi.
Kam parrte the aur 70% par satisfy bhi. isliye parrai ke alwa kafee activities mei participation rahta tha.
AAj bhi jab India jaata hoon to collage jakar lecturers ke pair chu-kar blessings zaroor lene jata hoon.
Posted 04 Dec 2006

sun_shine says
achi baat hain.Insaan ko apno se baron specially teachers ki buhat izzat karni chahiye.college ya school life main hamain unki baatein ya naseehat buhat buri lagti hain per phir baad main hamain ehsaas hota hain kay they were right.
Posted 05 Dec 2006

Ye topic PARHAI se related hai ya songs se?
Posted 05 Dec 2006

mmja says
bat kahan say kahan nikal jaye yeh kisko pata hai
parhaye na karna yaro pishtayiogi sari raat
Posted 05 Dec 2006

mmja says
kyia hwua sir je
Posted 06 Dec 2006

sun_shine says
Aasman se tapki jee mujhay aapka naam nahi aata isi waja se mainay yeh likha so dont mind plz.
pehlay yeh topic songs se related tha ab beech main education aa gaye.
Posted 06 Dec 2006

mmja says
darsal song zeyiada sun leyiay thay socha thori parhaye sharhaye ho jaye

aik din zindgi kitne hogi hasen
jhomayga asmaan gayegi yeh zameen
mainay socha na tha
Posted 07 Dec 2006

sun_shine says
aray aisa kya hua?
Posted 07 Dec 2006

mmja says
sabkay samnay bata don mughay sharim a rahi hai main bara sharmila bahca hon
chelo hint dayta hon samgh jana
dilka alim main kyia batyion tughay
aik cheray nay boht pyiars ay daykha mguhay
woh to hontoon say kuch bhi kehti nahin
uski ankhon main aik kahani hai
us kahani main nam hai mera
mugh pay rab ki yeh mehrbani hai
mugh pay rabki yeh mehrbani hai
Posted 08 Dec 2006

sun_shine says
hint to samajh main aa gaya .
hhhhmmmmmm
kon hain woh?
Posted 09 Dec 2006

mmja says
main isharah bhi jo karta hon
is main hum dono ki ruswaye hai
aray mazak kar raha tha ap to seriou hi ho gaye main masom sa bnada hon main nahin karta esay kam
Posted 10 Dec 2006

sun_shine says
acha jee
waisay masoom log hi in chakaron main phas jatay hain
kyunki jinko experience hota hain wo to mauka aatay hi ghayab ho jatay hain.
Posted 10 Dec 2006

Reply to Topic