completly agree to rebel's last line
balich
hum ko shak sa hai k aap issi liye parh rahi hein
(u r right)
daktar
time pass karne se matlab 'tafreeh' nahi tha,, read the rest of the sentence
u said ky aurat k paas itna time hota hai ??
bilkul hota hai,, kam se kam me jitni bhi families ko janti hu unn mei se majority k ghar k kaam nokar karte hein,, bache adha time school hote hein,, school k baad madrisa then tution time
(im not talking abt any rich or "high class" lady)
mujhe nahi lagta k uss k baad aur kya kaam reh jata hai
it doesnt mean k ghar pe koi kaam nahi hota,, but for giving u an example hum 4 behen bhai hein... ghar ki safai hafte mei aik din ammi karti hein aik din baki mei se koi (yar hum tameez se palay hue bche hein ghar ganda hi nahi karte na,, iss liye twice a week is enuff hehehee..)
kapre dhulte hein machine mei,, khana sab aik time ghar pe khate hein,,
aur iss sab k bawajood my mom never did a job.. Allah ka shukar hai financialy bhi zaroorat nahi pari kabhi
but NOW in this age I can see how she feels alone and cut of the rest of the world,,
meri jo family Pak mei hai unn aurton ka bhi yehi haal hai,, they r unable to teach their children anything abt the outside world
khali zehn shetan ki amaajgah hota hai suna to hoga,, par iss ka living examples hamare han ki aurtein hein, jinhein doosre k bakhiye udherne k ilawa kuch aata hi nahi (khair iss ka matlab yeh bhi nahi k working women koi galt baat nahi karti hogi)
im just giving u a reason k faltu time aur khali zehn kis hadd tak khatarnak hote hein
agar bari family hai aur kaam bohot hai to na karein job,, par me unn ki baat kar rahi hu jo faltu time hote hue ability hote hue job nahi karti,,
well mera matlab sirf do paise kamane liye kaam karna nahi hai,, studies bhi ki ja sakti hein, kiss ngo k saath kaam kiya ja sakta hai, part time job ki ja sakti hai
bohot kuch hai karne ko.........
u just need to manage ur time properly
jo aurtein saaari sari umer ghar pe bethi hoti hein aur bachon ki dekh bhal karti hein unn k bache konsa koi teeer maar lete hein,,, so it doesnt change anything
jo job nahi karti kabhi kabhi woh bhi bachon ko buri tarha neglect karti hein