EID ASHAAR

25519 views 79 replies
Reply to Topic
QUEEN VICTORIA

Age: 124
Total Posts: 26285
Points: 0

Location:
Lahore, Pakistan
Bin Dhaikhay usay ya Rabb yeh Eid na guzray
Ker paida koi aisa sabab, yeh Eid na guzray
Duniya ko dikhaya hay, ik chand jo too nay
Mujh ko bhi dikha day abb yeh Eid na guzray
**********************************

Aaye Khuda kar too unhain bhi Eid ki khushiyan naseeb
Jin kay dam say ham bhi hain aour hay hamaari Eid bhi
**********************************
Iss baras koi hassen khwab na tha Ankhon main
Iss baras ham say bhi daikha na gaya Eid ka chand
**********************************
Eid aayi hay musarat ki payami ban ker
Woh musarat jo teri deed say wabasta hay
**********************************
Eid ka din bhi shab-e-matam hay meray wastay
Jis khushi main woh na aaye woh khushi achi nahein
**********************************
Iss Eid par bhi mil na sakay ham to kaya hooa
jazbon main jo khaloos to Eidain hazar hain
**********************************
Phir aa gayi hay Eid magar dill udas hay
Khushiyon ki hay naveed magar dill udas hay
**********************************
Eid kay din na sahi Eid kay kuch ba'ad sahi
Eid to ham bhi manayein gay teri deed kay ba'ad
**********************************
Yeh Eid kiya hay keh duniya ki her musarat ko
Tumhari yad par qurban ker diya main nay
**********************************
Un kay abroo-e-khameeda ka tarah teekha hay
Apni aankhon main barhi daer chubha Eid ka chand
**********************************
Ghairon main hay jo shad usay Eid mubarak
Ham jis ko nahein yaad usay Eid mubarak
**********************************
Khat main likha tha Eid kab hogi
Ham ko tareekh likh kay bhijwayein
Choonkeh jhagrha tha iss liye ham nay
Likh diya Aap jabb bhi aa jayein
**********************************
Aaj kay din saaf ho jata hay dill aghiyar ka
Aao mill lo Eid, yeh maoqa nahein takraar ka
**********************************
Khoob roya main lipat kar gham-e-tanhai say
Koi bhi aa kay galay say na laga Eid kay din
**********************************
Meray aangan main dabay paaon naye rog liye
sall kay sall koi Eid chali aati hay
**********************************
Kab tery milnay ki taqreeb bana Eid ka chand
Teri yaad aayi to dekha na gaya Eid ka chand
**********************************
Dekha hilal-e-Eid to aaya tera khiyal
Woh Asman ka chand hay to mera chand hay
**********************************
Kuch musarat mazeed ho jaye
Iss bahanay say Eid ho jaye
Eid milnay jo aap aa jayein
Meri bhi Eid, Eid ho jaye
**********************************
Moyasar jin ko apnay doston ki deed hoti hay
Jo sach poocho to duniya main unhi ki Eid hoti hay
**********************************
Kitni palkon say fizaon main sitaray tootay
Kitnay afsanon ka unwan bana Eid ka chand
**********************************
Chand jab aaya nazar uss bam par
Rashk aaya apni her ikk sham par
**********************************
Eid ka din hay galay aaj to mil lay zaalim
Rasm-e-duniya bhi hay, maoqa bhi hay dastoor bhi hay
**********************************
Yeh Eid kay pakwan ka kuch aisa asar hay
Mehboob ki zulfain bhi lagti hain sawayan
**********************************

Posted 04 Oct 2007

eshajam says

EID
eiddy yaaaahhhhooo
Posted 05 Oct 2007

~CHANDNI~ says
QUEEN VICTORIA said:


**********************************
Kitni palkon say fizaon main sitaray tootay
Kitnay afsanon ka unwan bana Eid ka chand
**********************************
Chand jab aaya nazar uss bam par
Rashk aaya apni her ikk sham par
**********************************






gud work

Posted 05 Oct 2007

Posted 05 Oct 2007

~tasha~ says
Posted 06 Oct 2007

Rapunzel says
Posted 05 Sep 2008

cutefriend says
wah jiiiiii wahh

nice ji nice
Posted 10 Sep 2008

Rapunzel says
post more Qv
Posted 10 Sep 2008

eid tou anay do
Posted 15 Sep 2008









Posted 15 Sep 2008

Kiya gham hai kiya khushi maloom nahee
Wo apna hai keh ajnabi maloom nahee
Jis kay bagar aik pal nahee guzarta
Kasay aik umar guzray gi maloom nahee
In say milnay ko jee na chaha ho kabhee
Woh pal woh lamha woh ghri maloom nahee
Woh apni Zindagi baychain hai kiun
Na janay kon si kami hai maloom nahee
Posted 15 Sep 2008

eid tak stick kar do ye topic:p
Posted 15 Sep 2008

.eid k chand ghariboon ko pereyshan na kar
tujh ko maloom nahin zeest-e-giran hai kitni


.aaj phir charkh-e-sitmger ki siyaah chadar per
eid ka chand ghareboon ko rulaney nikla


.Eid Ka Ger Hilal Ho Jaye
Rehmat Zuljalal Ho Jaye
Aap Kushyian Mana,iye Lekin
Kuch Mera Bhi Kheyal Ho Jaye




.mubarak naam tera mubarak eid ho tujh ko
jaisey tu dekhna chahey uski deed ho tujh ko




.Kitni palkon say fizaon main sitaray tootay
Kitnay afsanon ka unwan bana Eid ka chand



.EID kee sham ko afaaq ki soorkhi sey parey
tujh ko dhoondoonga jahan tak nigaah jaye gi


Posted 15 Sep 2008





Posted 15 Sep 2008

Rapunzel says
Zaberdast

tussi cha gye ho
Posted 15 Sep 2008

Agli Eid ki tarah yeh Eid Bhi Rulai Gee
Yeh Eid Bhi Band Kamre Main Guzer Jai gi


Posted 15 Sep 2008

Manao Eid bahar e chaman ko yaad karo
Payam e shouk ke ek ek sehan ko yaad karo
Hajuum e shouk se fursat miley tu ahle watan
Watan se dour kisi bewatan ko yaad karo


Maine chaha ke tumhein Eid pe kuch peech karon
Jis mein tabinda sitaron ki chamak shamil ho
Jis mein guzray hoye halaat ki tasveerein hoon
Jis mein anjaan jazeeron ki mehak shamil ho
Posted 15 Sep 2008

Posted 15 Sep 2008



Posted 15 Sep 2008



Posted 15 Sep 2008

Rapunzel says
Posted 15 Sep 2008

Posted 15 Sep 2008



Posted 15 Sep 2008

Posted 15 Sep 2008






Posted 15 Sep 2008




Posted 15 Sep 2008



Posted 15 Sep 2008

Rapunzel says
QV tussi cha gye ho
Posted 15 Sep 2008

sun_shine says
Assalam O Alaikum

*Really Nice Dil se...!
keep it up..!
Posted 15 Sep 2008

thanx to both of u
Posted 15 Sep 2008

Bin Dhaikhay usay ya Rabb yeh Eid na guzray
Ker paida koi aisa sabab, yeh Eid na guzray
Duniya ko dikhaya hay, ik chand jo too nay
Mujh ko bhi dikha day abb yeh Eid na guzray

Aaye Khuda kar too unhain bhi Eid ki khushiyan naseeb
Jin kay dam say ham bhi hain aour hay hamaari Eid bhi

Iss baras koi hassen khwab na tha Ankhon main
Iss baras ham say bhi daikha na gaya Eid ka chand
Eid aayi hay musarat ki payami ban ker
Woh musarat jo teri deed say wabasta hay

Eid ka din bhi shab-e-matam hay meray wastay
Jis khushi main woh na aaye woh khushi achi nahein
Iss Eid par bhi mil na sakay ham to kaya hooa
jazbon main jo khaloos to Eidain hazar hain
Phir aa gayi hay Eid magar dill udas hay
Khushiyon ki hay naveed magar dill udas hay

Eid kay din na sahi Eid kay kuch ba'ad sahi
Eid to ham bhi manayein gay teri deed kay ba'ad

Yeh Eid kiya hay keh duniya ki her musarat ko
Tumhari yad par qurban ker diya main nay

Un kay abroo-e-khameeda ka tarah teekha hay
Apni aankhon main barhi daer chubha Eid ka chand
Ghairon main hay jo shad usay Eid mubarak
Ham jis ko nahein yaad usay Eid mubarak

Khat main likha tha Eid kab hogi
Ham ko tareekh likh kay bhijwayein
Choonkeh jhagrha tha iss liye ham nay
Likh diya Aap jabb bhi aa jayein

Aaj kay din saaf ho jata hay dill aghiyar ka
Aao mill lo Eid, yeh maoqa nahein takraar ka

Khoob roya main lipat kar gham-e-tanhai say
Koi bhi aa kay galay say na laga Eid kay din

Meray aangan main dabay paaon naye rog liye
sall kay sall koi Eid chali aati hay

Kab tery milnay ki taqreeb bana Eid ka chand
Teri yaad aayi to dekha na gaya Eid ka chand

Dekha hilal-e-Eid to aaya tera khiyal
Woh Asman ka chand hay to mera chand hay

Kuch musarat mazeed ho jaye
Iss bahanay say Eid ho jaye
Eid milnay jo aap aa jayein
Meri bhi Eid, Eid ho jaye

Moyasar jin ko apnay doston ki deed hoti hay
Jo sach poocho to duniya main unhi ki Eid hoti hay

Kitni palkon say fizaon main sitaray tootay
Kitnay afsanon ka unwan bana Eid ka chand

Chand jab aaya nazar uss bam par
Rashk aaya apni her ikk sham par

Eid ka din hay galay aaj to mil lay zaalim
Rasm-e-duniya bhi hay, maoqa bhi hay dastoor bhi hay

Yeh Eid kay pakwan ka kuch aisa asar hay
Mehbob ki zulfain bhi lagti hain sawayan....

Posted 16 Sep 2008

Reply to Topic