Bin Dhaikhay usay ya Rabb yeh Eid na guzray Ker paida koi aisa sabab, yeh Eid na guzray Duniya ko dikhaya hay, ik chand jo too nay Mujh ko bhi dikha day abb yeh Eid na guzray **********************************
Aaye Khuda kar too unhain bhi Eid ki khushiyan naseeb Jin kay dam say ham bhi hain aour hay hamaari Eid bhi ********************************** Iss baras koi hassen khwab na tha Ankhon main Iss baras ham say bhi daikha na gaya Eid ka chand ********************************** Eid aayi hay musarat ki payami ban ker Woh musarat jo teri deed say wabasta hay ********************************** Eid ka din bhi shab-e-matam hay meray wastay Jis khushi main woh na aaye woh khushi achi nahein ********************************** Iss Eid par bhi mil na sakay ham to kaya hooa jazbon main jo khaloos to Eidain hazar hain ********************************** Phir aa gayi hay Eid magar dill udas hay Khushiyon ki hay naveed magar dill udas hay ********************************** Eid kay din na sahi Eid kay kuch ba'ad sahi Eid to ham bhi manayein gay teri deed kay ba'ad ********************************** Yeh Eid kiya hay keh duniya ki her musarat ko Tumhari yad par qurban ker diya main nay ********************************** Un kay abroo-e-khameeda ka tarah teekha hay Apni aankhon main barhi daer chubha Eid ka chand ********************************** Ghairon main hay jo shad usay Eid mubarak Ham jis ko nahein yaad usay Eid mubarak ********************************** Khat main likha tha Eid kab hogi Ham ko tareekh likh kay bhijwayein Choonkeh jhagrha tha iss liye ham nay Likh diya Aap jabb bhi aa jayein ********************************** Aaj kay din saaf ho jata hay dill aghiyar ka Aao mill lo Eid, yeh maoqa nahein takraar ka ********************************** Khoob roya main lipat kar gham-e-tanhai say Koi bhi aa kay galay say na laga Eid kay din ********************************** Meray aangan main dabay paaon naye rog liye sall kay sall koi Eid chali aati hay ********************************** Kab tery milnay ki taqreeb bana Eid ka chand Teri yaad aayi to dekha na gaya Eid ka chand ********************************** Dekha hilal-e-Eid to aaya tera khiyal Woh Asman ka chand hay to mera chand hay ********************************** Kuch musarat mazeed ho jaye Iss bahanay say Eid ho jaye Eid milnay jo aap aa jayein Meri bhi Eid, Eid ho jaye ********************************** Moyasar jin ko apnay doston ki deed hoti hay Jo sach poocho to duniya main unhi ki Eid hoti hay ********************************** Kitni palkon say fizaon main sitaray tootay Kitnay afsanon ka unwan bana Eid ka chand ********************************** Chand jab aaya nazar uss bam par Rashk aaya apni her ikk sham par ********************************** Eid ka din hay galay aaj to mil lay zaalim Rasm-e-duniya bhi hay, maoqa bhi hay dastoor bhi hay ********************************** Yeh Eid kay pakwan ka kuch aisa asar hay Mehboob ki zulfain bhi lagti hain sawayan **********************************
Age: 125
7058 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
QUEEN VICTORIA said:
Bin Dhaikhay usay ya Rabb yeh Eid na guzray Ker paida koi aisa sabab, yeh Eid na guzray Duniya ko dikhaya hay, ik chand jo too nay Mujh ko bhi dikha day abb yeh Eid na guzray
Aaye Khuda kar too unhain bhi Eid ki khushiyan naseeb Jin kay dam say ham bhi hain aour hay hamaari Eid bhi
Iss baras koi hassen khwab na tha Ankhon main Iss baras ham say bhi daikha na gaya Eid ka chand Eid aayi hay musarat ki payami ban ker Woh musarat jo teri deed say wabasta hay
Eid ka din bhi shab-e-matam hay meray wastay Jis khushi main woh na aaye woh khushi achi nahein Iss Eid par bhi mil na sakay ham to kaya hooa jazbon main jo khaloos to Eidain hazar hain Phir aa gayi hay Eid magar dill udas hay Khushiyon ki hay naveed magar dill udas hay
Eid kay din na sahi Eid kay kuch ba'ad sahi Eid to ham bhi manayein gay teri deed kay ba'ad
Yeh Eid kiya hay keh duniya ki her musarat ko Tumhari yad par qurban ker diya main nay
Un kay abroo-e-khameeda ka tarah teekha hay Apni aankhon main barhi daer chubha Eid ka chand Ghairon main hay jo shad usay Eid mubarak Ham jis ko nahein yaad usay Eid mubarak
Khat main likha tha Eid kab hogi Ham ko tareekh likh kay bhijwayein Choonkeh jhagrha tha iss liye ham nay Likh diya Aap jabb bhi aa jayein
Aaj kay din saaf ho jata hay dill aghiyar ka Aao mill lo Eid, yeh maoqa nahein takraar ka
Khoob roya main lipat kar gham-e-tanhai say Koi bhi aa kay galay say na laga Eid kay din
Meray aangan main dabay paaon naye rog liye sall kay sall koi Eid chali aati hay
Kab tery milnay ki taqreeb bana Eid ka chand Teri yaad aayi to dekha na gaya Eid ka chand
Dekha hilal-e-Eid to aaya tera khiyal Woh Asman ka chand hay to mera chand hay
Kuch musarat mazeed ho jaye Iss bahanay say Eid ho jaye Eid milnay jo aap aa jayein Meri bhi Eid, Eid ho jaye
Moyasar jin ko apnay doston ki deed hoti hay Jo sach poocho to duniya main unhi ki Eid hoti hay
Kitni palkon say fizaon main sitaray tootay Kitnay afsanon ka unwan bana Eid ka chand
Chand jab aaya nazar uss bam par Rashk aaya apni her ikk sham par
Eid ka din hay galay aaj to mil lay zaalim Rasm-e-duniya bhi hay, maoqa bhi hay dastoor bhi hay
Yeh Eid kay pakwan ka kuch aisa asar hay Mehbob ki zulfain bhi lagti hain sawayan....
Age: 124
7806 days old here
Total Posts: 26285
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
maiN ne chaaha tujhe eid pe kuchh nazar karooN jis meiN ehsaas ke sab raNg hoN raushan raushan jis meiN aaNkhoN ke taraashe hu-ai moti laakhoN jis meiN shaamil ho mere qalb ki dhaRhkan dhaRhkan
eid ke chaaNd ko dekh ker mere lab kap-kapaaye per yeH duaa is saal bhi mere honToN se azaad na hui ke ai kHuda!!! ab ke mujhe chaaNd maiN us ka chehra dikhaai na de....
dastoor hai duniya ka magar yeH to bataao hum kis se mileiN kis se kaheiN eid mubarik?
Eid ka din hai gale aaj to lag ja zaalim rasme-duniya bhi hai, mauqa bhi hai, dastoor bhi hai
chaand dekha teri aaNkhoN meiN na honToN pe shafaq milti julti hai shab-e-gHam se teri deed ab ke dil dukha hai, na voh pehlaa sa, na jaaN taRhpi hai ham hi gHaafil the ke, aayee hi nahiN Eid ab ke ..
iss meharbaan ki nazr-e-inayat ka shukria tohfa dia hai eid pe hum ko judaai ka
hum ne is saal bhi paayi na tere gHam se nijaat hum ne is saal bhi na dekha eid ka chaaNd
Age: 124
7806 days old here
Total Posts: 26285
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
na jaane kyuN mere rukHsaar mahak uTh-te haiN jab kabhi kaan maiN woH chupke se kahe \"eid ka chaaNd\"
dekha halal-e-eid to tum yaad aaye is mehwiat meiN eid hamari guzar gayi
aayee hai Eid aaj bhi har saal ki tarhaa par, aise ke, tarab ka koi silsilaa na ho pichhle baras thaa khauf, tujhe kho na dooN kahiN ab ke baras duaa hai teraa samnaa na ho
meri jaanib se bhi mubarik ho log kahte haiN eid aai hai
ik lamhe ko maiN ne tujhe dekha tha phir umar bhar meri nazar meiN na jacha eid ka chaaNd
Eid ki sachchi khushi to dostoN ki deed hai tum nazar se door ho, kiyaa khak apni Eid hai
eid aayi hai masarrat ki payaami ban kar woH masarrat jo teri deed se wabasta hai
Age: 124
7806 days old here
Total Posts: 26285
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
kia lutf-e-eid hai jo agar tum se door haiN guzre-ga roz-e-eid tasavvur maiN aap ke
woH subaH eid ka manzar tere tasavvur meiN woH dil maiN aa ke ada tere muskraane ki
Eid ke roz bhi majboor the taqdeer se ham ro paRhe mil ke gale aap ki tasveer se ham
kHud chaand unheeN kee deed ki chaah meiN haazir-e-kHidmat hota hai Voh chaand ki nazroN meiN aa'aiN ,ik rashk kaa aalam hota hai kiyaa tum ko bataaiN ham yaro kiyaa zeest ka aalam hota hai jab uTh-te haiN un ke hinaaee hath aur adab se sar kHam hotaa hai
wafa ka sandes le kar utre tumhaare aaNgan meiN gawaah rafaqtoN ka, muhabbatoN ka ban kar hilaal-e-eid
Age: 124
7806 days old here
Total Posts: 26285
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
guzre hue wasal ke din raat bhool ja milne na deiNge ab hameiN haalaat bhool ja mausam badal gaye haiN zamana guzar gaya ai dost tu bhi eid-e-mulaqaat bhool ja
ahbaab puchhte haiN baRhi saadgi ke saath tu ab ke saal eid manaye- ga kis tarah?
gHam hi gHam haiN teri ummid meiN kia rakha hai eid aaya kare ab eid meiN kia rakha hai?
dekha hilaal-e-eid to aaya tera kHiyaal woH aasman ka chaaNd hai, tu mera chaaNd hai
aane wali rutoN ke aaNchal maiN koi saaet-e-sayed kia ho gi gul na ho ga to jashn-e-kHushbu kaisa tum na ho ge to eid kia ho gi
kHud to aae nahi aur eid chali aayi hai eid ke roz mujhe yuN na sataye koi
Age: 124
7806 days old here
Total Posts: 26285
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
Labon pe rang e tabasuum na dil mein moj e saroor Mere watan ke garibon ki Eid kya ho gii
Teri basat se bhar ker teri umeed se zayada Bhar dey khushiyon se daman iis Eid per Mola tera
Nazer ka chain dil ka saroor hotey hain Kuch aaisey log jahan mein zaroor hotey hain Sada chamakta rahey iin ki Eid ka tehwar Qareeb re ke bi ju hum se dour hotey hain
Age: 124
7806 days old here
Total Posts: 26285
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
Eid leka aate hai dher sare khusiya, Eid mita deta hai insan mai duriya, Eid hai khuda ka ek nayam tabarok Eisi liye kahte hai sab Eid Mubarik
Sada haste raho jaise haste hain phool, Duniya ki sare gham tumeh jaye bhool, Charo taraf phalao khushion ka geet, Eisi ummid ka sath dost tumhe...Mubarik ho Eid