Berg E Sehraa ki aamad

4183 views 44 replies
Reply to Topic
BerG e SeHraa

Age: 124
Total Posts: 37
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Assalam Alaykum Ehliyaan-e-forum

Buhat dino ki soch pujaar kay baad bilaakhir hum is pur'ronaq forum par qadam ranja farma chukay hain..

Khawateeen aur Khawateen :p sey guzarish hai kay woh baqaae'da humare roo'baroo tashreef lakar raker humain is mehfil-e-yaraa'n main khush aamdeed kahen ... yeh un sab kay liye baais-e-musarat hoga...

aur yaqeenun after beautifools yani kay khoobsorat khawateen kay baad mard hazrat bhi is saa'dat se fayda len ...

Takhliyaa ... i mean abhi kay liye itna hi ..

o haan .. hum apna taruf karwana tou bhool hi gaye ..

Hum Berg E SeHraa ... Roshniyo'n kay shaher(jisay kisi ki kaali nazar khaa gayee) se hain ...

Itna kafi hai na ?
umer,qadoqaamat,paisha,mushaagil .. yeh sab tou marriage beuru walay ya NADRA walay poochte hain inhen rehne hi diya jaay ... kya khyal hay ??

Posted 19 Jan 2008

lol ... aap ka taruf dekh kar laga k aap urdu k news caster hein jo k ....

"adam abaad e mardaan" mein rehty hein .....

idhar aap ko khushamdeed kehty hein ...

Posted 19 Jan 2008

Hazoor humara andaaz zara mukhtalif hi hota hay.. Rahi baat urdu ki tou is say tou humain inteehai hadh tak lagao hay .. isi liye jahan moqa milta hay urdu se hi kaam chalatay hain ..

Urdu aur Hum main jaadoo wali khasiyat hay chal jata hay ;)

Aap ne humain khushameed kaha is k liye aap kay mamnoon hain ...

Posted 19 Jan 2008

sab log hi mukhtalif hoty hein ... dastoor_e_zindagi hay aur masheeat_e_ayezdi bhi......

Urdu humari madari zuban hay .... aur jadooo islam mein haraam hay.

stay gud......    
Posted 19 Jan 2008

sun_shine says
yaa welcome to the forum
aap ko yahan bhi kuch mukhtalif log milaingay
Enjoy your stay
Posted 19 Jan 2008

sweetie says
ham aap ko janubaba k forum par khush amdeed karte hain
aur umeed karte hain k aap idhar bohot enjoy karain gay

Posted 19 Jan 2008

wa allaikum assalam
aap ki tashreef awari per hum bohat mamnoon o mashkoor hain
ye hamari khush bakhti hai kay aap nay yahan tashreef la kay hamaray is ghar ko ronaq bakhshi
werrna aap ki aamad kay bagher tou is forum main tareekiyan hi theen

wesay azrah e islaah hum aap ki khidmat main ye guzarish kar dain kay aap k is khitaab main kuchh urdu qwaido insha ki ghlatiyan hain

nagawar e khatir na guzray tou bara e meharbani islah ferma lijiye

asal mohawara qadam ranja fermana hota hai
ramja qdam fermana nahin
aur dusray
bais e musarat ka moqa nahin kaha jata

ya tou aap is ko sirf bais e musarat tehreer kijiye ya phir musarat ka moqa fermaiye
umeed hai aap hamari is islah ka bura nahin manain gay
Allah hami o nasir
Posted 19 Jan 2008

~Fragi~ says
ooops too hard
Posted 19 Jan 2008

WARMTH OF LOVE said:

sab log hi mukhtalif hoty hein ... dastoor_e_zindagi hay aur masheeat_e_ayezdi bhi......

Urdu humari madari zuban hay .... aur jadooo islam mein haraam hay.

stay gud......    



Bila'shuba sahi kaha aap ne ..hum apkibaat se itfaaq kerte hain ..
Rahi baat jaadoo kay haram honay ki tou humen is baat se bhi koi ikhtilaaf nhin , bus itna kahen gey kay sufed jadoo samjhiye ..jo k haram ky zim're main nahin ata :)


sun_shine said:

yaa welcome to the forum
aap ko yahan bhi kuch mukhtalif log milaingay
Enjoy your stay



buhat shukrya Muhtaram! umeed-e-wasiq hay kay humara aur apka waqt sath main acha basar hoga

sweetie said:

ham aap ko janubaba k forum par khush amdeed karte hain
aur umeed karte hain k aap idhar bohot enjoy karain gay




AAp ka buhat shukrya .. yaqeenun humara qayyam yahan kaafi khushgawar saabit hoga ..


QUEEN VICTORIA said:

wa allaikum assalam
aap ki tashreef awari per hum bohat mamnoon o mashkoor hain
ye hamari khush bakhti hai kay aap nay yahan tashreef la kay hamaray is ghar ko ronaq bakhshi
werrna aap ki aamad kay bagher tou is forum main tareekiyan hi theen

wesay azrah e islaah hum aap ki khidmat main ye guzarish kar dain kay aap k is khitaab main kuchh urdu qwaido insha ki ghlatiyan hain

nagawar e khatir na guzray tou bara e meharbani islah ferma lijiye

asal mohawara qadam ranja fermana hota hai
ramja qdam fermana nahin
aur dusray
bais e musarat ka moqa nahin kaha jata

ya tou aap is ko sirf bais e musarat tehreer kijiye ya phir musarat ka moqa fermaiye
umeed hai aap hamari is islah ka bura nahin manain gay
Allah hami o nasir




Buhat buhat shukrya Muhtarma! aap kay is istaqbaal main kaafi chaashni paai jati hay... :)

wese hum aapke mam'noon hain kay aap na sirf humari tehreer min khamiyan talash ki'n balky unki isla'a bhi krdii ... humen qata'e nagawar nhin guzra , balkay khushi hui k yeh tanqqed baraa-e-tanqeed kay bajaay tanqeed baraay isla'a thi ... yaqeenun humain aap se kaafi kuch seekhne ki saa'dat naseeb hogi .. Khush rahiye...
ek baar phir tah-e-dil se aap kay shukar guzaar hain .. :)

Ma'as'Sallama
Posted 20 Jan 2008

BerG e SeHraa said:



Bila'shuba sahi kaha aap ne ..hum apkibaat se itfaaq kerte hain ..
Rahi baat jaadoo kay haram honay ki tou humen is baat se bhi koi ikhtilaaf nhin , bus itna kahen gey kay sufed jadoo samjhiye ..jo k haram ky zim're main nahin ata :)



chalein aap k anay say yeh ho ga k jo humar urdu ko zangh lag chuka tha woh door ho jaye ga... InshAllah aap humaray saath is'e joash k saath roanaq pazeer rahein gay aur hum aap ki shakal mein ek acha inaaan aur qadardaan_e_urdu say basharaf_e_mulaqat rahein gay.

hum nay ek baat suni thie kawa sufaid hay ..... chahay us par ata giraa ho .....

lekin humari tahqeeqat yeh kehti hein k ... bay-shak us par sufaid ata gira ho hota woh kala hi hay.....

is liye hum islami mamulaat mein kissi bhi kisam ki gunjayesh aur tavelaat nahi nikalty ... jo cheez mana hay woh mana hay ..... chahay woh hari ho yeah neeli ...

aap k saath baat kar k buhat acha lagta hay .... demagh aur hathoun ki warzish ho jati hay... umeed hay aap say jald hi guftagu karny ka moqat mily ga.

Fe'amaan Ullah
Posted 20 Jan 2008

Miss mine says


Welcum to JB
Posted 20 Jan 2008

arre sahib hum aap ki baat ko hi harf-e-akhir samjh lete hain kay jado ko sufaid rung laga diya jaay ya kaala rehna jaado hi hay ... jo kay sab jantay hain ky haram hi hy.. ab hum ny tou khudh ko tashbeeh'h di thi kay jis tarah jaadoo chal jata hay bilkul usi tarah hum yani BerG e SeHraa bhi chal hi jata hy... chahey woh koi behas o mubaaisa ka forum ho ya koi virtul home ... ghul mil jana humain aese hi ata hay jese jaadoo ka chal jana :) ...

wese humen tou guma'n hota hay k humain yahan achi urdu seekhne ko milay gi .. aap tou saahib-e-zouq hain urdu ki gehraai bhi jantay hain aur guftagoo k dao pech bhi ..:)
Posted 20 Jan 2008

Miss mine said:



Welcum to JB



Buhat Shukrya Miss Mine ..:)
Khush Rahiye..!!
Posted 20 Jan 2008

BerG e SeHraa said:

arre sahib hum aap ki baat ko hi harf-e-akhir samjh lete hain kay jado ko sufaid rung laga diya jaay ya kaala rehna jaado hi hay ... jo kay sab jantay hain ky haram hi hy.. ab hum ny tou khudh ko tashbeeh'h di thi kay jis tarah jaadoo chal jata hay bilkul usi tarah hum yani BerG e SeHraa bhi chal hi jata hy... chahey woh koi behas o mubaaisa ka forum ho ya koi virtul home ... ghul mil jana humain aese hi ata hay jese jaadoo ka chal jana :) ...

wese humen tou guma'n hota hay k humain yahan achi urdu seekhne ko milay gi .. aap tou saahib-e-zouq hain urdu ki gehraai bhi jantay hain aur guftagoo k dao pech bhi ..:)



aaj hilaf_e_mamool hum jaag bhi rahy hein aur aap say guftagu ka sharf bhi hasil kar rahy hein... baqi URDU tu ek buhat bara samundar hay jis ki jitni gehraye mein jayein gay utnay hi asraar khultay jayein gay ... kabhi Urdu say farsi ka safar tay ho ga... kabhi urdu zuban k shahsaany irani zubaan say miltay nazar ayein gay ... kabhi arbi ka rang jhalky ga aur kabhi is mein aaap ko engrezi k alfaaz sheer_o_shakir nazar ayein gy. hum khud bhi is zuban k balkay har elam k talib e elam hein ... bas Allah Subhan a Tallah say dua hay k humary ilam mein izafa farmaye.

janty hein k istaray aur tashbihaat mustamal hein lekin humari is zuban URDU par dosray mazahib ka bhi kafi asar raha hay tu kuch ayse hawaly zuban_zad_e_aaam ho gaye jo ba'hasiyat_e_musalman shayad agar na'qabil_e_qabool nahi tu Pasandeeda nahi hoon.

baqi rahi Jado k bary mein aap ki tashbeh .... us say URDU ko tu shayad aap say ayteraz nahi ho but humara nuqta_e_nazar jo tha woh aap ko batany ki ek sa'eee ki thie agay aap ki marzi .... lekin bara_he_karam is baat ko humari zaati raye hi samjha jaye. tu hum aap k mashkoor_o_mamnoon hoon gay.

Allah Waris
Posted 20 Jan 2008

~Fragi~ says
yeh kiya baat hoyee

itnee mushkil urdu k baad hum kissi ko welkum nahi kaha kartey




waisey b entry mashkook hai
Posted 20 Jan 2008


agreed with fragi...


Posted 21 Jan 2008

cheeta says
app ki tashreef awari ka shukeriya app nay iss na cheez ko itna muqaam diya
Posted 21 Jan 2008

sameiqbal says
uffffffff
itni pyari lekin mushkil urdu main baaten ho rahi hain ke par kar bahut masroor bi ho rahe hain aur hairan bi ke ab bi aisi urdu bolne aur likhne waale mojoud hain.
bahut shukriya is ta'aruf ka aur urdu forum waloon ki jaanib se urdu ki pazeerai ka.
Posted 21 Jan 2008

cheeta says
ok now back to the jungli lang
Posted 21 Jan 2008

sameiqbal said:

uffffffff
itni pyari lekin mushkil urdu main baaten ho rahi hain ke par kar bahut masroor bi ho rahe hain aur hairan bi ke ab bi aisi urdu bolne aur likhne waale mojoud hain.
bahut shukriya is ta'aruf ka aur urdu forum waloon ki jaanib se urdu ki pazeerai ka.






meray khayl mein jis insaan ny yeh topic start kiya tha woh ziada tareef ka mustahiq hay....

hum nay tu bas jawab hi diya hay:)
Posted 22 Jan 2008

cheeta says
itni urdu.........

itni urdu tu main nay matric main b nahi perhi hoo ge


tell me app sab itni urdu akhir nikal kahaan say rahay ho
Posted 22 Jan 2008

Fairl_Girl says
BerG e SeHraa said:

Assalam Alaykum Ehliyaan-e-forum

Buhat dino ki soch pujaar kay baad bilaakhir hum is pur'ronaq forum par qadam ranja farma chukay hain..

Khawateeen aur Khawateen :p sey guzarish hai kay woh baqaae'da humare roo'baroo tashreef lakar raker humain is mehfil-e-yaraa'n main khush aamdeed kahen ... yeh un sab kay liye baais-e-musarat hoga...

aur yaqeenun after beautifools yani kay khoobsorat khawateen kay baad mard hazrat bhi is saa'dat se fayda len ...

Takhliyaa ... i mean abhi kay liye itna hi ..

o haan .. hum apna taruf karwana tou bhool hi gaye ..

Hum Berg E SeHraa ... Roshniyo'n kay shaher(jisay kisi ki kaali nazar khaa gayee) se hain ...

Itna kafi hai na ?
umer,qadoqaamat,paisha,mushaagil .. yeh sab tou marriage beuru walay ya NADRA walay poochte hain inhen rehne hi diya jaay ... kya khyal hay ??


wsalam
khusamadeed
Posted 23 Jan 2008

cheeta says
Posted 23 Jan 2008

new_beau says
Franseesi lughat mainn aik kahawat hay keh "hunn assii aithay nayeenn haigey tey kissay di guddi tay charhni aay na"


daroon-e-gardoonn, jo tha akaila, Berg-e-Sehra ko Salam
Lay kay aayee, tujhay idher jo, Uss hawa ko salam
Posted 23 Jan 2008

sameiqbal says
mr.cheeta
if u don't mind then please go back jungle
kyunke yeh insaanoon ki mehfil hai aur khaas tour par urdu ke chahne waaloon ki, is aap se yahan se tashreef ka tokra le jayen tu achha ho ga warna..........
main zoo(chirya ghar) ki intezaamiya ko fone karne par majboor ho jaoon ga.

Posted 24 Jan 2008

sameiqbal says
Posted 24 Jan 2008

~Fragi~ said:

yeh kiya baat hoyee

itnee mushkil urdu k baad hum kissi ko welkum nahi kaha kartey


waisey b entry mashkook hai



janab e aali sirf entry hi naheen hum poore ke poore mashkook hain .. wese sun'ne main ata hey ke jahan shak o shohbaat ke baadil mandlaate hon wahan sab ki tawaja berkha rut ki tarah hoti hey .. :p

ek baat aur urdu se asaan aur meethi zubaan koi nahin .. :)
Posted 24 Jan 2008

cheeta said:

app ki tashreef awari ka shukeriya app nay iss na cheez ko itna muqaam diya



zarra nawazi janab .. aap ke saath yahan kuch waqt guzarne ka moqa miley humare liye yeh khush aiyen baat hogi ..

humain khush ameed kehne ka shukrya ..
Posted 24 Jan 2008

sameiqbal said:

uffffffff
itni pyari lekin mushkil urdu main baaten ho rahi hain ke par kar bahut masroor bi ho rahe hain aur hairan bi ke ab bi aisi urdu bolne aur likhne waale mojoud hain.
bahut shukriya is ta'aruf ka aur urdu forum waloon ki jaanib se urdu ki pazeerai ka.



hazoor yeh tou insan ke apne khayalaat hein na ke woh apni maadri zuban ko saamne laaye ya khudh ko jidat pasandi ka shayeq bana ker angerzi main guftagoo kere .. humara tou yeh hi maan'na hey ke jahan bhi urdu samjhne wala ek bhi banda miley wahan sirf urdu hi boli ya likhi jaay tou acha lagta hey ..

humare liye yeh nihayat khushi ki baat hey key aap ne humen yahan khush aamdeed kaha ..

khush rahiye..


Posted 24 Jan 2008

Fairl_Girl said:


wsalam
khusamadeed



Apkaa buhat shukriya .. :)
Posted 24 Jan 2008

KING OF JB said:


thanks app ka introduction newpaper walo ko day dia hain ager koi rishta milla to app ko inform ker diya jaey ga ub app ja sakatai hain

dont mind

welcome here



Zile e elahi kuch tou apne rutbey ka khayal karen .. takht o taaj k saath rishte kerwane wala kaam kuch na munasib sa hey :p


khush aamdeed kehne k liye buhat shukrya .. :)
Posted 24 Jan 2008

Reply to Topic