new_beau said:Franseesi lughat mainn aik kahawat hay keh "hunn assii aithay nayeenn haigey tey kissay di guddi tay charhni aay na"
daroon-e-gardoonn, jo tha akaila, Berg-e-Sehra ko Salam
Lay kay aayee, tujhay idher jo, Uss hawa ko salam
sameiqbal said:mr.cheeta
if u don't mind then please go back jungle
kyunke yeh insaanoon ki mehfil hai aur khaas tour par urdu ke chahne waaloon ki, is aap se yahan se tashreef ka tokra le jayen tu achha ho ga warna..........
main zoo(chirya ghar) ki intezaamiya ko fone karne par majboor ho jaoon ga.
BerG e SeHraa said:
cheeta said:app ki tashreef awari ka shukeriya app nay iss na cheez ko itna muqaam diya
zarra nawazi janab .. aap ke saath yahan kuch waqt guzarne ka moqa miley humare liye yeh khush aiyen baat hogi ..
humain khush ameed kehne ka shukrya ..
BerG e SeHraa said:
~Fragi~ said:yeh kiya baat hoyee
itnee mushkil urdu k baad hum kissi ko welkum nahi kaha kartey
waisey b entry mashkook hai
janab e aali sirf entry hi naheen hum poore ke poore mashkook hain .. wese sun'ne main ata hey ke jahan shak o shohbaat ke baadil mandlaate hon wahan sab ki tawaja berkha rut ki tarah hoti hey .. :p
ek baat aur urdu se asaan aur meethi zubaan koi nahin .. :)
~Fragi~ said:

tawaja ko paney k liye mashkook hona zarooori nahi
BerG e SeHraa said:
new_beau said:Franseesi lughat mainn aik kahawat hay keh "hunn assii aithay nayeenn haigey tey kissay di guddi tay charhni aay na"
daroon-e-gardoonn, jo tha akaila, Berg-e-Sehra ko Salam
Lay kay aayee, tujhay idher jo, Uss hawa ko salam
haaayen is franseesi lugat ki ek copy humen bhi dila dein ... wese isii franseesi lugat main kahin likha hoga k ' paawen jinyaan v gudiyan hon saadi guddi tay charh hi jani ae ' ;)
aapka salam ptcl broadband ko bijhwaa diya hey :)
BerG e SeHraa said:Assalam Alaykum Ehliyaan-e-forum
Buhat dino ki soch pujaar kay baad bilaakhir hum is pur'ronaq forum par qadam ranja farma chukay hain..
Khawateeen aur Khawateen :p sey guzarish hai kay woh baqaae'da humare roo'baroo tashreef lakar raker humain is mehfil-e-yaraa'n main khush aamdeed kahen ... yeh un sab kay liye baais-e-musarat hoga...
aur yaqeenun after beautifools yani kay khoobsorat khawateen kay baad mard hazrat bhi is saa'dat se fayda len ...
Takhliyaa ... i mean abhi kay liye itna hi ..
o haan .. hum apna taruf karwana tou bhool hi gaye ..
Hum Berg E SeHraa ... Roshniyo'n kay shaher(jisay kisi ki kaali nazar khaa gayee) se hain ...
Itna kafi hai na ?
umer,qadoqaamat,paisha,mushaagil .. yeh sab tou marriage beuru walay ya NADRA walay poochte hain inhen rehne hi diya jaay ... kya khyal hay ??
QUEEN VICTORIA said:wa allaikum assalam
aap ki tashreef awari per hum bohat mamnoon o mashkoor hain
ye hamari khush bakhti hai kay aap nay yahan tashreef la kay hamaray is ghar ko ronaq bakhshi
werrna aap ki aamad kay bagher tou is forum main tareekiyan hi theen
wesay azrah e islaah hum aap ki khidmat main ye guzarish kar dain kay aap k is khitaab main kuchh urdu qwaido insha ki ghlatiyan hain
nagawar e khatir na guzray tou bara e meharbani islah ferma lijiye
asal mohawara qadam ranja fermana hota hai
ramja qdam fermana nahin
aur dusray
bais e musarat ka moqa nahin kaha jata
ya tou aap is ko sirf bais e musarat tehreer kijiye ya phir musarat ka moqa fermaiye
umeed hai aap hamari is islah ka bura nahin manain gay
Allah hami o nasir
olldman said:
BerG e SeHraa said:Assalam Alaykum Ehliyaan-e-forum
Buhat dino ki soch pujaar kay baad bilaakhir hum is pur'ronaq forum par qadam ranja farma chukay hain..
Khawateeen aur Khawateen :p sey guzarish hai kay woh baqaae'da humare roo'baroo tashreef lakar raker humain is mehfil-e-yaraa'n main khush aamdeed kahen ... yeh un sab kay liye baais-e-musarat hoga...
aur yaqeenun after beautifools yani kay khoobsorat khawateen kay baad mard hazrat bhi is saa'dat se fayda len ...
Takhliyaa ... i mean abhi kay liye itna hi ..
o haan .. hum apna taruf karwana tou bhool hi gaye ..
Hum Berg E SeHraa ... Roshniyo'n kay shaher(jisay kisi ki kaali nazar khaa gayee) se hain ...
Itna kafi hai na ?
umer,qadoqaamat,paisha,mushaagil .. yeh sab tou marriage beuru walay ya NADRA walay poochte hain inhen rehne hi diya jaay ... kya khyal hay ??
SEMAJ TO KAM HI AYI APP KI SHAHERI, LAKAN LAGHI BAHUT PIYARI.
OH HAN HUM ANGRAZON KA THORA KHAYAL RAKHYEY GHA. KHUSH AMDEED.