Assalam O Alaikum How are you All? A new topic from My Side Ghussa ya Anger Ghussa normally sabko aata hain Agar Aap ko Ghussa aata hain tho Aap kya kartay hain ya Aap kis tarah apnay Ghussay ko control kartay hain? I have heard from many people k jab unhain ghussa aata hain tho woh cheezain tortay hain yaa loud Music suntay hain etc.... Ghussay main Aap kya kartay hain? So Lets Start ............... .................... ..........................!
Age: 44
6569 days old here
Total Posts: 15020
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Helmand kon si jagah hai...??? you are right... achay buray log to har jagah hotay... ham nay sirf suna tha... personally milay nahi hain.. iss liye pocha... aadaat mean bad-ikhlaq nahi... safai pasand aur baqi aadat k waghera k liye hai... aur nature mai to yeh ham nay personally bhi dekha hai k in kay paas paisa boht hota hai... lekin ghaas pooos ki jhonpri mai rehtay hain... usi jhonpri mai expensive garian (Landcruisers, Pajero, 4x4 Latest models) bhi rakhi hoti hain... lekin baqi chezon per invest nahi kartay... khana peena, rehaish etc ki koi parwa nahi...
Age: 124
7010 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
Helmand aik Province hain Afghanistan ka wahan k log farsi boltay hain. I think Apko aik baar Afghanistan k farsi bolnay walay logo kay Areas main jana chahiye Afghanistan main farsi bolnay walay Ghareeb log hain wahan K Pathan ameer hain. Waisay yeh farsi bolnay walay log jahan bhi hotay hain Buhat safai pasand hain Ap yahan Balochistan main aa kar dekhain Inkay Area buhat saaf hotay hain like MariaAbad Quetta main Buhat saaf jaga hain. Farsi bolnay walay Log yaani kabuli people kabuli Log Taliban k wakt main pakistan aa gaye thay Inkay paas kuch bhi nahi tha Abhi jab wahan 2002 main halaat theek huay tho woh wapis Afghanistan chalay gaye Normally yeh Ghareeb log hain Abhi buhat log NGO's yaa Americans k saath kam kartay hain unko thora ziyada money milta hain Laikin ziyada tar Log ghareeb hain.
Age: 44
6569 days old here
Total Posts: 15020
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
jahan ham job kartay hain os kay rastay mai... in logon nay jhuggian banai howi hain... Land cruiser in Jhuggi Corolla 2.0D in jhuggi 3~4 excavator kharay hotay hain... ladies doooooooor dooooooooor sai pani lai kar aati hain... woh bhi barish ka pani jo ikatha howa hota hai... paas mojod well sai pani nahi laen gi...
Age: 124
7010 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
Assalam O Alaikum Right Aap Pakistan main job kartay hain? may be ho sakta hain Per I dont think so kay aik person jhuggi main rahayga jabkay unkay paas kafi paisa ho yaa yeh Normal baat hain k buhat log jo ameer hotay hain woh kisi aam Middle class area main rehtay hain May be woh Cars un k malik ki ho....!
Age: 44
6569 days old here
Total Posts: 15020
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
yesss... ham Pakistan mai hi job kartay hain... car un kay malik ki ho to daily na khari ho... aur phir jhuggi mai safe to nahi car khari karna... sab sai important baat yeh keh woh log job nahi kartay apnay business hain... kisi nay mines contract per li howi hain to kisi nay construction machinery rent per di howi hai... aur kuch coal dealer ka kaam kartay hain...
Age: 124
7010 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
Assalam O Alaikum yaa Right dekhain jahan tak woh kisi ko nuksan na puhunchaye its fine yeh unki marzi k woh kis tarah ka Life style apnatay hain. per aap kay Mind main yehi hoga kay Sab Afghani aisay hotay hain log kuch bhi kehtay ho per jab tak aap un ko khud na dekh lay,jaan lay tab aapko sahi tarah pata chalay ga k Afghani Loag kaisay hain. To be honest Afghani Loag buhat achay hotay hain specially kabaili pathan Buhat mehman nawaz aur Dildaar loag hotay hain
Age: 124
7010 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
Assalam O Alaikum yaa Discussion har baat pe ho sakti hain yaa Right Normally Ghussa har insaan ko aata hain Kuch log ghussay ko pee jatay hain yaani apna ghussa bahir nahi nikaltay khamosh ho jatay hain wohi Truly brave hain...!
Age: 124
7010 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
sun_shine said:
BadShaH1 said:
wt abt u?
hamara ghussa kaafi dangerous hota hain 5 minutes k liye hota hain per buhat shadeed kisam ka. after 5 minutes sab kuch theek thaak jaisay kuch hua hi na ho. i dont know whether its bad or good.