Poetry

27273 views 205 replies
Reply to Topic
shaista

Age: 125
Total Posts: 4265
Points: 0

Location:
Antarctica, Antarctica
some poetry i like


Mere Dil Jigar

Mere dil jigar , kidney aur liver ho tum,
Waqt bewaqt aaye fever ho tum,
Jisme Doob kar mar jaye vo river ho tum,
Mere jivan main aab to forever ho tum…..
Posted 15 Mar 2009

shaista says
GHAMON KA ZEHER PEENA AA GYA HEI

GHAMON KA ZEHER PEENA AA GYA HEI
HAMEN MUSHKIL MEIN JEENA AA GYA HEI


HAMARI PYAS KI SHIDAT TO DEKHO
SUMUNDER KO PASINA AA GYA HEI

CHALO TALE LAGADO MEKADON KO
KE KAM ZARFON KO PEENA AA GYA HEI

TUM ALFAZON KE NASHTAR TEZ KAR LO
HAMEN ZAKHMON KO SEENA AA GYA HEI

LO AB ES NA KHUDA KO HOSH AAYA
KINARE JAB SAFINA AA GYA HEI

TERE BIN YOON LAGA HEI HAR MAHINE
MOHARRAM KA MAHINA AA GYA HEI

SUNA HEI UNN KO KURSI MIL RAHI HEI
JINHEN HONTON KO SEENA AA GYA HEI

Posted 08 Apr 2009

shaista says
waqt guzra to ye malaal hoa
khatam zindagi ka aik saal hoa

ajj zindagi ko urooj mila
ajj lamhaatko zawaal hoa

sooch ki jheel mein gira pathar
besabab muntashir khayal hoa

yaad ker ke wisaal ke lamhe
dil ye pagal bohat nidhaal hoa

itni shiddat se koi yaad aaya
ajj jina bara muhaal hoa

log dekhe bohat mager ab tak
koi teri kahan misaal hoa

koi ja ker zara usse keh de
hijir mein kiya hamara haal hoa.......
Posted 08 Apr 2009

ZaM says
shaista said:


Saza Pe Chor Diya Jaaza Pe Chor Diya
Her Ek Kam Ko hum Ne Khuda Pe Chor Diya
Wo Hum Ko Yaad Rakhe Ya Phir Bhula De
Usi Ka Kaam Tha Us Ki Raza Pe Chor Diya
Ab Us Ki Marzi Bhuja De Ya Jala De
Charagh Hum Ne Jala Ke Hawa Pe Chor Diya
Ab Us Se Baat Kiye Bagair Kaise Rehain Gain Hum
Ye Masla Dua Ka Tha So Dua Pe Chor Diya
Is Liye Tu Wo Kehte Hain Dewana Hum Ko
Ke Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chor Diya



niCe onE
Posted 09 Apr 2009

shaista says

Thanks ZaM, like that one too.
Posted 12 Apr 2009

Lashakir says

shaista said:


Manzile bhi uski thi, Raasta bhi uska tha,
Ek main akela tha, Kafila bhi uska tha,
Saath-saath chalne ki soch bhi uski thi,
Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha…
Aaj kyo akela hoon, Dil sawal karta hai,
Log to uske the, Kya KHUDA bhi uska hai !

BOHAT KOOB.....KHUDA TO SAB KA HAI...
Posted 16 Apr 2009

Lashakir says
nam aankhon ne dil ki kahani keh di
bhool kar aaj woh phir yaad aaye

Ik umer hoi main to hansi bhul chuka hun
tum ab bhi mere dil ko dukhana nahin bhulay

"dosto-n se is qadar sadme utha-e jaan par
dil se dushman ki adawat ka gila jata raha"

humko dushman kee nigahoN se na dekha keeJe
pyaar hi pyaar haiN hum humpe bharOsa keeJe
Posted 16 Apr 2009

Lashakir says
shaista said:

some poetry i like


Mere Dil Jigar

Mere dil jigar , kidney aur liver ho tum,
Waqt bewaqt aaye fever ho tum,
Jisme Doob kar mar jaye vo river ho tum,
Mere jivan main aab to forever ho tum…..

Yahan Apni Apni Bari Par
Sab Hanstay Hayn Sab Rotay Hayn
Dil Tu Sab He Ka Hota Hay
Or Dukh Bhi Sab He K Hotay Hayn
Kuch Ashk Dilon Par Girtay Hayn
Kuch Matti Mayn Mil Jatay Hayn
Kuch Lafz Ada Hojatay Hayn
Kuch Honton Mayn Sil Jatay Hayn
Mana K Adhoray Rehtay Hayn
Par Khawaab Tu Sab He K Hotay Hayn!!!!!!
,,,,,,,,,,,,,,,,
Posted 16 Apr 2009

shaista says

Nice ji...

Posted 18 Apr 2009

Lashakir says
shaista said:


Nice ji...

THANKS.... AAP KI PASANDEEDGI KA SHUKRIA....JI
Posted 19 Apr 2009

Lashakir says
shaista said:


Kitabon ma rakh k sulaa gaya humko,
Aankh band ki or bhula gaya humko,
Koi ajeeb Mussafir tha jo barishon k mousam ma,
Kachi diwaroon pe bana gaya ham ko.   

[email protected] NICE ,,,Shaista ji
Posted 19 Apr 2009

shaista says

thanks, i like this one. bahut hi true hai.
Posted 19 Apr 2009

lildude says
AS-SALAM ALAIKUM!
NICE SHARING FRIEND
Posted 19 Apr 2009

shaista says
WalaikumAssalaam
thank you ji. and welcome back. how are u?
Posted 19 Apr 2009

shaista says

na mila tera pata tu mujhe log kaya kahein gaiN
yuun hee dar-badar raha tu mujhe log kaya kahein gaiN

tujhe zindagi kaha hai tu hai zindagi ka haasil
tujhe be-wafaa kaha tou mujhe log kaya kahein gaiN

meray dil mein zabt-e gamm ka jo chiraag jal raha hai
wo chiraag bhujh gaya tu mujhe log kaya kahein gaiN

ye jahaan na jaane kaya kaya mujhe keh raha hai lekiN
kabhi tum ney kuch kaha tu mujhe log kaya kahein gaiN

maiN chala tu hoon suna'ney ussay dasta'N wafa kee
koi hadsaa hua tu mujhe log kaya kahein gaiN
Posted 22 Apr 2009

lildude says
shaista said:

WalaikumAssalaam
thank you ji. and welcome back. how are u?


iam fine thanks n u?
Posted 22 Apr 2009

lildude says
yeh sub poetry mery liye haina?
Posted 22 Apr 2009

shaista says
lildude said:

yeh sub poetry mery liye haina?



am fine too.

haan, tum apne naam karlo.
Posted 23 Apr 2009

Lashakir says
shaista said:


Wo silsle wo shoq wo nisbat nhi rahi..   
ab zindgi mein hijar ki vehshat nhi rahi..
Toota hai jab se uski maseehayi ka tilsim,,
dil ko kisi maseeha ki hajat nhi rhi..
Phir yun hua k koi shanasa nhi rha,,
phir yun hua k dard mein shiddat nhi rhi,.
Phir yun hua k ho gya wo masroof bhi buhat,,
phir hamain yad krnay ki usay fursat nhi rhi..
Ab kya kisi ko chahain k humko to in dino,,
khud apne aap se b muhabat nahi rahi



silsle/shoq/nisbat/vehshat....
SAB KOOCH GIA AOR....BILAAKHIR MUHABBAT NA RAHIAAH....KOCH NA RAHA
silsle/shoq/nisbat/vehshat....
Posted 23 Apr 2009

sun_shine says
shaista said:


na mila tera pata tu mujhe log kaya kahein gaiN
yuun hee dar-badar raha tu mujhe log kaya kahein gaiN

tujhe zindagi kaha hai tu hai zindagi ka haasil
tujhe be-wafaa kaha tou mujhe log kaya kahein gaiN

meray dil mein zabt-e gamm ka jo chiraag jal raha hai
wo chiraag bhujh gaya tu mujhe log kaya kahein gaiN

ye jahaan na jaane kaya kaya mujhe keh raha hai lekiN
kabhi tum ney kuch kaha tu mujhe log kaya kahein gaiN

maiN chala tu hoon suna'ney ussay dasta'N wafa kee
koi hadsaa hua tu mujhe log kaya kahein gaiN



Assalam O Alaikum

*Nice Sharing jee...!
Posted 23 Apr 2009

shaista says

thanks sun shine, that one is really good.
Posted 25 Apr 2009

shaista says

cheharaa meraa thaa nigaahe.n us kii


cheharaa meraa thaa nigaahe.n us kii
Khaamushii me.n bhii vo baate.n us kii

mere chehare pe Gazal likhatii ga_ii.n
sher kahatii hu_ii aa.Nkhe.n us kii

shoKh lamho.n kaa pataa dene lagii.n
tez hotii hu_ii saa.Nse.n us kii

aise mausam bhii guzaare ham ne
subahe.n jab apanii thii.n shaame.n us kii

dhyaan me.n us ke ye aalam thaa kabhii
aa.Nkh mahataab kii yaade.n us kii

faisalaa mauj-e-havaa ne likkhaa
aa.Ndhiyaa.N merii bahaare.n us kii

niind is soch se TuuTii aksar
kis tarah kaTatii hai.n raate.n us kii

duur rah kar bhii sadaa rahatii hai
mujh ko thaame hue baahe.n us kii

Posted 26 Apr 2009

Lashakir says

shaista said:


cheharaa meraa thaa nigaahe.n us kii


cheharaa meraa thaa nigaahe.n us kii
Khaamushii me.n bhii vo baate.n us kii

mere chehare pe Gazal likhatii ga_ii.n
sher kahatii hu_ii aa.Nkhe.n us kii

shoKh lamho.n kaa pataa dene lagii.n
tez hotii hu_ii saa.Nse.n us kii

aise mausam bhii guzaare ham ne
subahe.n jab apanii thii.n shaame.n us kii

dhyaan me.n us ke ye aalam thaa kabhii
aa.Nkh mahataab kii yaade.n us kii

faisalaa mauj-e-havaa ne likkhaa
aa.Ndhiyaa.N merii bahaare.n us kii

niind is soch se TuuTii aksar
kis tarah kaTatii hai.n raate.n us kii

duur rah kar bhii sadaa rahatii hai
mujh ko thaame hue baahe.n us kii


VEEEEEEEEERY NICE
Bohat Khoob Shairy hai....W@H W@H

Posted 26 Apr 2009

shaista says

thanks
parveen shakir is rocking
Posted 26 Apr 2009

shaista says

khulii aa.Nkho.n me.n sapanaa jaagataa hai


khulii aa.Nkho.n me.n sapanaa jaagataa hai
vo soyaa hai ke kuchh kuchh jaagataa hai

terii chaahat ke bhiige jangalo.n me.n
meraa tan mor ban ke naachataa hai

mujhe har kaifiyat me.n kyo.n na samajhe
vo mere sab havaale jaanataa hai

kisii ke dhyaan me.n Duubaa huaa dil
bahaane se mujhe bhii Taalataa hai

sa.Dak ko chho.D kar chalanaa pa.Degaa
ke mere ghar kaa kachchaa raastaa hai

Posted 27 Apr 2009

shaista says
Khushbuu hai vo to chhuu ke badan ko guzar na jaaye


Khushbuu hai vo to chhuu ke badan ko guzar na jaaye
jab tak mere vajuud ke andar utar na jaaye

Khud phuul ne bhii ho.nTh kiye apane niim-vaa
chorii tamaam rang kii titalii ke sar na jaaye

is Khauf se vo saath nibhaane ke haq me.n hai
khokar mujhe ye la.Dakii kahii.n dukh se mar na jaaye

palko.n ko us kii apane dupaTTe se po.Nch duu.N
kal ke safar me.n aaj kii gard-e-safar na jaaye

mai.n kis ke haath bhejuu.N use aaj kii duaa
qaasid havaa sitaaraa ko_ii us ke ghar na jaaye

Posted 27 Apr 2009

Lashakir says


shaista said:

Khushbuu hai vo to chhuu ke badan ko guzar na jaaye


Khushbuu hai vo to chhuu ke badan ko guzar na jaaye
jab tak mere vajuud ke andar utar na jaaye

Khud phuul ne bhii ho.nTh kiye apane niim-vaa
chorii tamaam rang kii titalii ke sar na jaaye

is Khauf se vo saath nibhaane ke haq me.n hai
khokar mujhe ye la.Dakii kahii.n dukh se mar na jaaye

palko.n ko us kii apane dupaTTe se po.Nch duu.N
kal ke safar me.n aaj kii gard-e-safar na jaaye

mai.n kis ke haath bhejuu.N use aaj kii duaa
qaasid havaa sitaaraa ko_ii us ke ghar na jaaye


use muj se mohabat ha
wohi takrar lafzoon ki
wohi anjaan si dastak
wohi guman si kasak
wohi har baat pe ranjish
wohi har baat pe larna
wohi likna hamaray naam ko
bay rehm mojoon par
wohi apni kitabon main gulabi titliyan rakhna
wohi muskan dhemi si
wohi kuch bolti Aankhin
wohi chup chaap sa lehja
wohi b chain si hal chal
wohi saaye se ghabrna
wohi kehne se kuch darna
sab hi Aasar kehte hain
use muj se mohabbat ha...
Posted 27 Apr 2009

shaista says

wah, aapki bhi shayeri kamaal ki hai.

good.
Posted 28 Apr 2009

Lashakir says
Dil ki dhadkan ha khyalon main mere rehta ha
kyun ha wo jo sawalon main mere rehta ha?


jis ko dekha na khab us se wafa karta houn
dil ke aaine main main us se mila karta houn

main nai janta ye kis ki talab ha muj ko?
kis ka armaan iradon main mere rehta ha

khwab ha wo mera taaber dilayon kaise?
apni hasrat ko main taqdeer banayon kaise

muj ko milta ha sakoon us ka tasavur kar ke
wo ishara jo isharon main mere rehta hai

kis ki tareef main likhi ye ghazal kiya janon?
kis ko kehta houn MuhabbaT ka kanwal kiya janon?

main tu bas aik hi umeed main rehta houn sada
us ko dekhon jo nazron main mere rehta ha...


Posted 30 Apr 2009

shaista says

Posted 02 May 2009

Lashakir says
Poetry....aap ko pasnd aai SHAISTA JII
S H U K R I A
Posted 03 May 2009

Reply to Topic