Poetry

27275 views 205 replies
Reply to Topic
shaista

Age: 125
Total Posts: 4265
Points: 0

Location:
Antarctica, Antarctica
some poetry i like


Mere Dil Jigar

Mere dil jigar , kidney aur liver ho tum,
Waqt bewaqt aaye fever ho tum,
Jisme Doob kar mar jaye vo river ho tum,
Mere jivan main aab to forever ho tum…..
Posted 15 Mar 2009

Lashakir says



Tum poocho to sahi
Zindagi itni bejaan kion lagti he tumhein

Tum poocho to sahi
ke yaadein kitna stati hein tumhein

Tum poocho to sahi
ke Dil mein itna karb kion he

Tum poocho to sahi
ke raat ki tariki mein jaag kar kion roti ho

Tum eik baar poocho to sahi .

Tum poocho to sahi
ke chaand se akele mein kis ka gila karti ho

Tum poocho to sahi
ke eik khami ki itni bari saza kion mil rahi he tumhein

Tum poocho to sahi
kr ye haath aaj bhi iss qadar khali kion hein

Tum poocho to sahi
Qismat tum par hi zalim kion he

Eik baar pooch ke to dekho

Mein Dil ke raaz ginwa doongi
Bhooli bisri bata doongi
Har lafz ki tashreeh kar doongi

Bas tum poocho to sahi
ke ab mein kehna chahati hoon
Na ab chupana chahati hoon

Tum poocho to sahi
ke umeed ki esi koi deewar kion nahi jaha
Tum pal bhar keliye thak kar tek laga kar baith jao.


Mujh se tum poocho to sahi
,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
Posted 03 May 2009

shaista says

nice one.
tum poocho to sahi. nice, nice.
yehi to baat hoti hai, ke koi poochta nahin
Posted 03 May 2009

shaista says

Okha langda waqt vichoray da, bina yar guzara kon kre, dunia to kinara ho sakda, yaran to kinara kon kre,
ik din hovay tay lang javay, sari umar guzara kon kre.
Posted 04 May 2009

shaista says

Your soft voice never silent,
It’s forever in my ears,
Serenading every moment
And calming all my fears.
Posted 04 May 2009

sun_shine says
Assalam O Alaikum

*very Nice Sharing...!
Posted 05 May 2009

shaista says

WalaikumAssalaam,
thanks for liking this.

Posted 05 May 2009

shaista says

Yadon ko yad se churaya ap ne,
Door hote hue b apna banaya ap ne,

Kabi bhool nahi paen ge apko hum,
Kyon k yaad rakhna bhi sikhaya ap ne.
Posted 05 May 2009

Lashakir says
shaista said:


Wo silsle wo shoq wo nisbat nhi rahi..   
ab zindgi mein hijar ki vehshat nhi rahi..
Toota hai jab se uski maseehayi ka tilsim,,
dil ko kisi maseeha ki hajat nhi rhi..
Phir yun hua k koi shanasa nhi rha,,
phir yun hua k dard mein shiddat nhi rhi,.
Phir yun hua k ho gya wo masroof bhi buhat,,
phir hamain yad krnay ki usay fursat nhi rhi..
Ab kya kisi ko chahain k humko to in dino,,
khud apne aap se b muhabat nahi rahi

BOHAT KHOOB....
LA JAWAB SHAIRI
Posted 05 May 2009

Lashakir says
shaista said:


nice one.
tum poocho to sahi. nice, nice.
yehi to baat hoti hai, ke koi poochta nahin


OOOOHH...SHAID
ISSI LIAAY TO ZINDAGI BEJAAN LAGTI HAI...


Wo sunta to main kehta,mujhe kuch aur kehna tha,
Wo pal bhar ko jo ruk jata,mujhe kuch aur kehna tha.

kamai zindagi bhar ki,usi k naam to kar di,
Mujhe kuch aur karna tha,mujhe kuch aur kehna tha.



kahan us ne suni meri,suni b un-suni kar di,
Usay maloom tha itna,mujhe kuch aur kehna tha.

Meray dil main jo dar aya,koi mujh main b dar aya,
Waheen ik rabta toota,mujhe kuch aur kehna tha.

Rawan tha piyar NUS NUS main,bohat qurbat thi apis main,
Usay kuch aur sunnana tha,mujhe kuch aur kehna tha.

Ghalat fehmi ne baton ko barha dala younhi warna,
Kaha kuch tha,wo kuch samjha,mujhe kuch aur kehna tha...!!




Posted 05 May 2009

~CHANDNI~ says
shaista said:

some poetry i like


Mere Dil Jigar

Mere dil jigar , kidney aur liver ho tum,
Waqt bewaqt aaye fever ho tum,
Jisme Doob kar mar jaye vo river ho tum,
Mere jivan main aab to forever ho tum…..




Posted 06 May 2009

~Fragi~ says
sash nice one
Posted 06 May 2009

shaista says

Thanks chandni and fragi.

Lashakir saheb: great! ab is ka jawaab thora soochna parega. but will post more here.
Posted 07 May 2009

Lashakir says

use muj se mohabat ha
wohi takrar lafzoon ki
wohi anjaan si dastak
wohi guman si kasak
wohi har baat pe ranjish
wohi har baat pe larna
wohi likna hamaray naam ko
bay rehm mojoon par
wohi apni kitabon main gulabi titliyan rakhna
wohi muskan dhemi si
wohi kuch bolti Aankhin
wohi chup chaap sa lehja
wohi b chain si hal chal
wohi saaye se ghabrna
wohi kehne se kuch darna
sab hi Aasar kehte hain
use muj se mohabbat ha...
Posted 07 May 2009

shaista says

nice one too.

waise yeh woh hai kaun?
Posted 07 May 2009

sun_shine says
*Most welcome jee...!
Posted 08 May 2009

Lashakir says
shaista said:


nice one too.

waise yeh woh hai kaun?


Koi na koi to ho ga...
Posted 08 May 2009

shaista says
Lashakir said:

shaista said:


nice one too.

waise yeh woh hai kaun?


Koi na koi to ho ga...


hahaha
good. lekin wohi to poocha ke kaun hai?

Posted 09 May 2009

shaista says

jism tapte pathron pe
rooh sehraon main thi
woh teri yaad thi
jo chaon main thi

Posted 09 May 2009

Lashakir says
Posted 10 May 2009

Lashakir says

Dil ki dhaRkan ha khyalon main mere rehta ha
kyun ha wo jo sawalon main mere rehta ha?


jis ko dekha na khab us se wafa karta houn
dil ke aaine main main us se mila karta houn

main nai janta ye kis ki talab ha muj ko?
kis ka armaan iradon main mere rehta ha

khwab ha wo mera taaber dilayon kaise?
apni hasrat ko main taqdeer banayon kaise

muj ko milta ha sakoon us ka tasavur kar ke
wo ishara jo isharon main mere rehta hai

kis ki tareef main likhi ye ghazal kiya janon?
kis ko kehta houn MuhabbaT ka kanwal kiya janon?

main tu bas aik hi umeed main rehta houn sada
us ko dekhon jo nazron main mere rehta ha...


Posted 10 May 2009

shaista says

very nice.

Posted 12 May 2009

lildude says
Posted 12 May 2009

lildude says
Salamz!
poetry from my side

ZINDGI bewafa kyun hoti hai

WAFA krne ki saza kyun hoti hai

Choti c baat pe baha dete hen KHOON

Insan men itni ANAA kiun hoti hai

Karta hun main jis say bar bar tauba
Elahe mujh say woh khata kiyun hoti hai


banate tu hain hum apnay haton say Masjid

Namaz apni he phir qaza kiyun hoti hai"
Posted 12 May 2009

shaista says
lildude said:

Salamz!
poetry from my side

ZINDGI bewafa kyun hoti hai

WAFA krne ki saza kyun hoti hai

Choti c baat pe baha dete hen KHOON

Insan men itni ANAA kiun hoti hai

Karta hun main jis say bar bar tauba
Elahe mujh say woh khata kiyun hoti hai


banate tu hain hum apnay haton say Masjid

Namaz apni he phir qaza kiyun hoti hai"



WalaikumAssalaam,
Very nice.
Posted 14 May 2009

lildude says
thx
Posted 14 May 2009

Lashakir says

THANKS....Shaista jii and lildude
FOR LIKING POETRY...

ONE IS MORE FROM MY SIDE
,,,,,,,,,,,

Laoon wo tinkay kahin se Ashiyaanay kay liye


Laoon wo tinkay kahin se Ashiyaanay kay liye
Bijliyaan betaab hoon jin ko jalanay kay liye
Wayee Nakaami, Falaq nay taaq kar tora ussay
Meinay jiss dali ko Taarra Aashiyanay kay liye
Aankh mill jati hai hafta do do millat se teri
Aik Pemana tera saray zamanay k liye
Dil mein koi isS Tarah ki Arzoo Peda karooon
Lot jaye Asmaan meray mitanay k liye
Jama kar Harman to pehle dana dana chun kay tuu
Aa hi niklay gi koi bijli jalanay kay liye
Paas tha nakami-e-Saiyyad ka ae hamsafar
Warna mein aur Urr kaay aata aik danay kay liye!
Iss Chaman mein Marg-e-dil gaye na Aazadi ka geet
Aah! ye Gulshan nahe Aisay taranay kay
Posted 16 May 2009

shaista says

bahut khuub!!

really

Posted 16 May 2009

lildude says
Lashakir said:


THANKS....Shaista jii and lildude
FOR LIKING POETRY...

ONE IS MORE FROM MY SIDE
,,,,,,,,,,,

Laoon wo tinkay kahin se Ashiyaanay kay liye


Laoon wo tinkay kahin se Ashiyaanay kay liye
Bijliyaan betaab hoon jin ko jalanay kay liye
Wayee Nakaami, Falaq nay taaq kar tora ussay
Meinay jiss dali ko Taarra Aashiyanay kay liye
Aankh mill jati hai hafta do do millat se teri
Aik Pemana tera saray zamanay k liye
Dil mein koi isS Tarah ki Arzoo Peda karooon
Lot jaye Asmaan meray mitanay k liye
Jama kar Harman to pehle dana dana chun kay tuu
Aa hi niklay gi koi bijli jalanay kay liye
Paas tha nakami-e-Saiyyad ka ae hamsafar
Warna mein aur Urr kaay aata aik danay kay liye!
Iss Chaman mein Marg-e-dil gaye na Aazadi ka geet
Aah! ye Gulshan nahe Aisay taranay kay


Posted 16 May 2009

Lashakir says
Aik martaba phir
aap dono....Shaista jii aor lildude jii   .... SHUKRIA....KEH AAP KO MERI POST KI GAI POETRY PASAND AAI
.....
LIJIAAY... AAP DONO K LIAAY KHASS....AAP KI NAZAR....


Chamak Nahi Thi Raton Mein Din Bhi Kale Kale The
Jitni Door Tum The Mujse Utni Door Ujale The
Apne Khali Ghar Me Hamdam Jab Main Tanha Rehta Tha
Farsh Pe Dhool Jami Rehti Thi Deewaron Par Jale The
Khulte Hi Lifafa Soone Dil Ka Kona Kona Mehak Uthha
Khat Kuchh Aisi Khooshboo Wale Tumne Mujhko Dale The
Ai Dost Dilon Ke Milne Ko Agar Dosti Kehte Hain
Ab Tak Jitne Dost Mile Sab Haath Milane Wale The
Aaye Ho Meri Zindgi Me Zindgi Ab Tumhaari Hai
Manjeet Sans Ke Dhage Ab Tak Tere Liye Sambhale The
Posted 16 May 2009

shaista says

u are welcome.

very nice again
Posted 18 May 2009

Reply to Topic